Search found 57 matches

by Waqar Zaidi
Mon Jun 20, 2005 5:18 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

mat sehl hamain jaano phirtaa hay falak barson

tab khaak kay parday say insaan nikaltay hain

Shaair : Mir Taqi Mir.
by Waqar Zaidi
Sun Jun 19, 2005 1:35 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

kehtaa nahin hay koii bhi sach baat in dinon

achhay nahin hain shehr kay haalaat in dinon

Shaair : Arif Shafeeq.
by Waqar Zaidi
Sun Jun 19, 2005 1:32 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

ab hawaayain hi karain gi raushni kaa faislah

jis diye main jaan ho gi woh diyaa reh jaaye ga

Shaair : Mehshar Badaayuni.
by Waqar Zaidi
Sun Jun 19, 2005 1:28 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

waar kar saktaa to hoon main apnay dushman par magar

sochtaa hoon darmiyaan phir farq kia reh jaaye ga

shaair : Arif Shafeeq.
by Waqar Zaidi
Sat Jun 18, 2005 6:13 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

too agar buraa na maanay to jahaan e rang o boo mayn

main sakoon e dil ki khaatir koii dhoondh loon sahaaraa

naa maAloom
by Waqar Zaidi
Sat Jun 18, 2005 6:10 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

tum saath thay to ham bhi thay manzil say aashnaa

ab tum nahin to lagtay hain rastay ajeeb say

naa maAloom
by Waqar Zaidi
Sat Jun 18, 2005 6:07 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

baAd masaaib kay milaa karti hay raahat aksar

talab e gul hay to phir tehni e pur khaar na daikh

shaair : Waqar Zaidi.
by Waqar Zaidi
Sat Jun 18, 2005 6:02 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

aay baad e saba naama o paighaam kay badlay

ek bosa miraa un lab o rukhsaar ko ponhchaa

shaair : Sehba Akhtar
by Waqar Zaidi
Sat Jun 18, 2005 5:59 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

mairay naakhun e wafaa pe koii qarz reh na jaaye

tairay dil main jo girah hay usay neem baaz rakhna

shaair : Shaz Tamkanat.
by Waqar Zaidi
Sat Jun 18, 2005 5:55 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

yeh shab rang zulfon kay bad mast baadal

mairay dil pe aay kaash khul kar barastay

shaair : Habaab Tirmazi.
by Waqar Zaidi
Sat Jun 18, 2005 5:51 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

ajeeb hotay hain aadaab e rukhsat e mehfil

keh uth kay woh bhi chalaa jis ka ghar na tha koii

shaair : Sahar Ansari.
by Waqar Zaidi
Sat Jun 18, 2005 5:48 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101284

umr kuchh shiddat e ahsaas ki barhh jaaye gi

aaiye aap mairay deeda e tar main rahiye

shaair : Baikal utsaahi (India)
by Waqar Zaidi
Mon May 30, 2005 8:22 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal
Replies: 1
Views: 134

Ghazal

GHAZAL KUCHH ASAR KIYA NA UN PAR MIRI AAH O ILTIJA NAY MIRI KAIFIYYAT JO DAIKHI TO LAGAY WOH MUSKURAANAY KISI GHAIR KI JAFA KA NA GILA HI HAM SAY HO GA HAMAIN DUKH DIYE KISI NAY TO DIYE HAIN AASHNA NAY KOI AIK BAAT HO TO CHALO BHOOL JAYAIN HAM BHI KIYA QATL HAM KO LAIKIN TIRI AIK EK ADAA NAY HAMAIN ...
by Waqar Zaidi
Fri May 13, 2005 6:53 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL
Replies: 3
Views: 188

AIK GHAZAL

GHAZAL SAB KUCHH BAHA KAR LAY GAYA HAY WAQT KA SAIL E RAWAAN DIL KA MAKAAN HAY SOKHTA AUR UTH RAHA HAY AB DHUwAAN BARQ E FALAK NAY DAIKH LI HAY GULSHAN E HASTI KI RAH AB HO CHUKII haiN gum bahaareN, chaaee HAY har suu KHIZAAN saya tirii yaadoN ka hay is regzar-e-zeest meiN har ik QADAM, bas dhoondta...
by Waqar Zaidi
Sat Apr 30, 2005 5:24 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalib ki zameen main aik Ghazal
Replies: 4
Views: 358

NAWAZISH

MOHTARAM NAZIR SAHIB AUR MOHTARMA NAJMA SAHIBA !
SALAM E MASNOON ! NAWAZISH,KARAM,SHUKRIYA,MEHRBAANI.

WAQAR ZAIDI.