Search found 2622 matches

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 5:48 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: 2006 ki aakhri ghazal pesh e khidmet.................:))
Replies: 2
Views: 188

Bahut khoob, waah waah

MuHtaramah Saara SaaHbah, - -- - PurkhulooS asleemaat, Aapki mandarja-e-zeil ghazal paRhkar beHad khushee houee. Saare ashAar bahut achche heiN, waah waah. Is kaamyaab koushish per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. [align=center] Ghazal: 1. din bhi guzar gaya hei yunhi eitebaar mei...
by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 5:38 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Yeh Ghazal Kaisi Hai ???
Replies: 5
Views: 561

zameen bahut sanglaakh hei

MuHtarami o Azeezi Munir armaan Nasimi SaaHib, PurkhulooS Tasleemaat, Aap ne koushish zaroor kee hei lekin bilkul banjar zameen kee jaisi Zameen meiN . Aapko chaahiye ke Aam Zameen meiN likhkhaa kareN taakeh un per khulkar tabSirah kiyaa jaaske. MaiN apni is raaye per iktifaa kartaa hooN aur ummeed...
by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 4:37 am
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 64090

maqTaA




"ab chaman meiNjaa nikalte heiN tou jee lagtaa nahiN

phool gul se Meer us dihn dil bahujt bahlaachuke".


Shaayer: Meer Taqi Meer



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 2:29 am
Forum: Anjuman
Topic: **one emoticon..one sher**(naya silsila)
Replies: 18
Views: 4252

emotion

:idea:




mushkil hei bahut dil kee Haqeeqat ko pahoujnchnaa

aasaaN hei talaffuz ke liye naam-e-muHabbat.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 2:20 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par ashaar#28-"taSveer" per ashAar likhiye
Replies: 60
Views: 12892

taSveer




mujh se her dam tiri taSveer yehi poochti hei

lauTkar waadiy-e-ghurbat se nahiN aaouge kyaa.


Shaayer: Abdullah lNazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 2:15 am
Forum: Anjuman
Topic: is HAFTE kaa lafz hai ... "RAAT yaa SHAB" par ash'
Replies: 111
Views: 29787

raat




aane waalaa hei koii aayegaa khushyaaN le kar

is tavaqquA peh guzartee hei dil-e-zaar kee raat.


Shaayer: Abdullah Nazir



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 2:10 am
Forum: Anjuman
Topic: Harf-e-"CHE" se ash'aar raqam kijiiye...plz.
Replies: 65
Views: 13366

vjrr,




cheeN ba-jabeeN houne se kyaa faayidah

sab se muHabbat se milaa keejiye.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 1:59 am
Forum: Anjuman
Topic: riwayati 'bait-baazi'
Replies: 265
Views: 48990

"ray" se




raat kee zulf kaTne nah paayi magar

jagmagaate houe meh-jabeeN aagaye.


Shaayer:Abdullah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 1:52 am
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar: Duniya, jahaan, zamaana, aalam!
Replies: 42
Views: 14677

zamaanah




bahaar-e-gulshan-e-mehr o wafaa kuch aur kehti hei

sitam parvar zamaane kee hawaa kuch aur kehti hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 1:48 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101539

pasandeedah




"sitam karte rahe tum aur ham ne

nah jaanaa yeh keh houtaa hei sitam kyaa".


Shaayer: MusHafi



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 1:44 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par ashaar#33- Mai/Sharaab...
Replies: 110
Views: 30947

mai




"koii mai band kare koii pari sheeshe meiN

mukhtariA ham heiN ke aatish hei bhari sheeshe meiN".


Shaayer: naa maAloom



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Dec 26, 2006 1:37 am
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 40852

sabaq-aamouz




"nizaam-e-beHr meiN khoukar sanbhal jaa
taRapjaa pech khaa, khaakar sanbhal jaa
nahiN saaHil tiri qismat meiN ai mauj
ubharkar jis Taraf chaahe nikaljaa".


Shaayer: Iqbal



Nazir.

by Abdullah Nazir
Sun Dec 24, 2006 4:39 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101539

pasandeedah




"khamoushi mujhko Hairat se hei warnah

bhare heiN lab se kejar sgujwe taa duk".


Shaayer:: Meer taqi :Meer:



Nazir.

by Abdullah Nazir
Sat Dec 23, 2006 7:21 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guz#24 ------> lagaate jaayeN ge naara divaaane!
Replies: 7
Views: 910

Bahut khoob, achcha kalaam hei maashaaAllah

MuHtarami Hassan Bashir SaaHib, PurkhulooS Tasleemaat, Guzarish 24 ke miSreA per aapki naAT sherif SAWS aur ghazal bahut pasand aayeeN jinke liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. MULAAHIZAAT: lage firqe kaee jab sar uThaane bachaaya deen ko :Ahmed Raza: ne diyaa paigham hai mujh k...
by Abdullah Nazir
Sat Dec 23, 2006 6:20 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75597

shab




"shab-e-viSaal bujhaado tum in charaaghaoN ko

khushee kee bazm meiN kyaa kaam jalne waalaoN kaa".


Shaayer: naamaAloom

khushee / kaa



Nazir.