Search found 2622 matches

by Abdullah Nazir
Tue Apr 05, 2005 7:07 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--" ZAKHAM"
Replies: 81
Views: 10379

zakhm




zakhm-e-dil jiski inaayat hei bhalaa kiyaa jaane

Uskaa beemaar tarastaa hei maseeHaayi ko




Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Apr 05, 2005 1:42 am
Forum: Anjuman
Topic: Shair ka jawab shair main dejeye
Replies: 637
Views: 98606

javaab




saaqi kii ek nigaah ne, mastiy-e-umr bakhsh dii

jaane kidhar ko rind ne, baadah o jaam rakh diyaa.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Apr 05, 2005 1:32 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 77695

"housh"




Housh se kyaa kaam hei raah-e-muHabbat meiN mujhe

her qadam per yeh gumaaN houtaa hei minzil aagaiee.


(her / aagaiee)

[/color
Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Apr 05, 2005 1:08 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--" ZAKHAM"
Replies: 81
Views: 10379

"zakhm"




zakhm sehte rahe jafaa'oN ke

Lab pah faryaad tak nahiN aayii.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Apr 05, 2005 1:02 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: hosh_mandaan-e-adab hoNT siyaa karte haiN...taazah Ghazal
Replies: 6
Views: 438

Bahut khoob


MuHtarami
Hashmat Usmani Saihba Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,


Aapki ghazal bahut pasand aayi khaas Taur per SheAr No.2, 6 aur maqTaA. Waise saare ke saare ashAar bahut achche heiN.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

by Abdullah Nazir
Mon Apr 04, 2005 4:59 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye
Replies: 20
Views: 2194

Bahut khoob, waah waah

MuHtaramah Najma Saahibah, Purkhuloos Tasleemaat, Aapki ghazal behut pasand aayi. Saare ashAar pasand aaye. MaiN is ghazal per tabsirah karte houe yeh bataadenaa chaahtaa hooN ke maiN usko aek kuhnah mashq shayer kii ghazal samajhkar apni raaye pesh karraha hooN jis se aapka muttafiq hounaa zaroori...
by Abdullah Nazir
Mon Apr 04, 2005 10:37 am
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: Aek sawaal ustad-e-mohtaram se.
Replies: 3
Views: 1929

Javaab Haazir hei

MuHtaramah Saara Saahibah Purkhuloos Tasleemaat, TaraHi ghazal ke liye diye houe misreA kii gireh Ke taAlluq se aapke sawaal ka mukhtasar javaab yeh hei: KitabaoN se paRhne waalaoN ko ghalaTfehmi housakti hei kiyoonke akcar jagah yehi likhkhaa hei ke diye houe misreA per doosra misrA lagaanaa. Loag...
by Abdullah Nazir
Mon Apr 04, 2005 9:56 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ghazal
Replies: 14
Views: 1069

Aapki ghazal meiN lafz "dekh" se harf kaaf kaa gir

MuHtaramah Naheed V. Saahibah, Lafz dekh ke baare meiN aap ne likhkha hei: aap kee tavajjoh ke liye mamnoon hooN aur hoslah afzaayee ke liye buhat shukriya! haaN, mujhye iss baat kaa idraak hai ke mandarja baala she'r meN :diekh: kee :kaaf: gir rahi hai, kyaa iss behr meN ye ravaa ho saktaa hai? bu...
by Abdullah Nazir
Sun Apr 03, 2005 5:31 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 77695

woh




Woh kyaa suneNge kisi benawaa ke ranj o alam

fughaaN hei jin ke liye naghmah o Tarab kii TaraH


(fughaaN / Tarah)


Nazir.

by Abdullah Nazir
Sun Apr 03, 2005 5:24 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--" ZAKHAM"
Replies: 81
Views: 10379

"zakhm"




zakhm-e-aazurdagiy-e-dil jou diyaa hei tuu ne

souchtaa hooN ke muHabbat kii nishaani tou nahiN



Nazir.

by Abdullah Nazir
Sun Apr 03, 2005 10:02 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: g
Replies: 3
Views: 222

Bahut khoob


Janab
Atiq ulrahman safi Saahib,


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi. saare ashAar bahut hii khoobsoorat andaaz meiN kahe houe heiN.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

by Abdullah Nazir
Sun Apr 03, 2005 9:56 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: g
Replies: 3
Views: 200

Bahut khoob

Janab Aakif Ghani Saahib, Purkhuloos Tasleemaat, MaiN apna tabsirah shurooA karne se pahle yeh bataadenaa chaahtaa hooN ke aapkaa meri aaraa se muttafiq hounaa zaroori nahiN hei. [/color] 1-ManzileN mil jaayengi, gar rehnumaa koii tou hou Chal paRenge ham bhii lekin raastah koii tou hou Pahle misre...
by Abdullah Nazir
Sat Apr 02, 2005 2:35 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 77695

"ab"




ab tak heiN khush naseeb jo baaham heiN dousto

dunyaa meiN purkhuloos bahut kam heiN dousto


(dunyaa / dousto)


Nazir.

by Abdullah Nazir
Sat Apr 02, 2005 2:18 pm
Forum: Anjuman
Topic: Shair ka jawab shair main dejeye
Replies: 637
Views: 98606

javab




Kisko hei khauf-e-kharzaar-e-alam

jab miraa ghamguzaar baaqii hei.




Nazir.

by Abdullah Nazir
Sat Apr 02, 2005 2:04 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--" ZAKHAM"
Replies: 81
Views: 10379

"zakhm"




Ilaaj-e-zkham-e-dil-e-nasaboor kar na sake

aur us pah kehte hou tum ghamguzaar hou mere.



Nazir.