Search found 2622 matches

by Abdullah Nazir
Mon Mar 21, 2005 2:47 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--"BARISH "
Replies: 47
Views: 5862

"baarish"




Chaagayaa abr-e-karam, baarish kaa imkaN thaa bahut

naagahaaN kyaa hougayaa, us ne nighaaheN pahirleeN



Nazir.

by Abdullah Nazir
Thu Mar 17, 2005 2:43 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khush Aamaded Janab Zaamin Saahib
Replies: 2
Views: 162

Khush Aamaded Janab Zaamin Saahib

MuHtarami ZAAMIN Saahib Purkhuloos Tasleemaat, Aapko is meHfil meiN dekhkar bahut khushi houi. Ham sab aapki hi is site per garmjoushi se aapka isteqbaal karte heiN. Ummeed hei ke aap apni adabi kaawishaoN se navazkar is mehfil kii raunaq baRhaayenge. Aapka Mukhlis, Nazir. [/size][/color]
by Abdullah Nazir
Thu Mar 17, 2005 2:32 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL
Replies: 8
Views: 824

Bahut khoob


MuHtarami
Anis Hasan Saahib


Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ashAar meiN mazmoon aafreeni hei aur majmooAi taur per paRhne waalaoN ke liye aek paigham bhii hei.

Khaksaar kii daad aur mubarakbaad haazir hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Mar 15, 2005 7:41 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aap ka hukm sar aaNkhooN par aik nazm kay sath waipis
Replies: 6
Views: 398

Bahut khoob waah waah

MuHtarami o Azeezi DAWOOD-RIZWAN Saahib Purkhuloos Tasleemaat, Sab se pahle maiN aapka behad shukrguzaar hooN ke aap ne apni hii is site kii forum se munqatiA houne ke khayaal ko multavi kardiyaa. Yehi nahiN balkeh apne khuloos-e-dil kaa izhaar karte houe aek bahut hii dilkash nazm "naye ta'al...
by Abdullah Nazir
Tue Mar 15, 2005 2:58 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--"BARISH "
Replies: 47
Views: 5862

"baarish"




Andheri raat hei aur haulnaak baarish hei

nah chaandni hei, nah hii muzda-e-saHar hei yahaN



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Mar 15, 2005 4:06 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AOA
Replies: 1
Views: 187

Yeh hamari forum kaa ibtedayi marhala hei

MuHtarami o Azeezi RIZWAN Saahib Purkhuloos Tasleemaat, Aapki aazurdagi ke asbaab ka ham ko andaazah hei. Ham sab ke sab aisi hii kaifiyat meiN mubtalaa heiN. Bahut saari sites khul gaii heiN jin meiN pahli jaisi Harakat nahiN hei. JahaN tak is forum kaa taAlluq hei, is meiN bahut saare mashwire di...
by Abdullah Nazir
Mon Mar 14, 2005 1:01 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 76336

"dil"




Dil kii Haalat khdaa hii jaane hei

Poochte kiyooN hou mujh se Haal apnaa



Nazir.

by Abdullah Nazir
Mon Mar 14, 2005 12:50 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--"BARISH "
Replies: 47
Views: 5862

"baarish"




baarish meiN bhii jo aatish-e-dil bujh nahiN sakii

mujhko gilah hei tum se Azaab-e-firaaq kaa



Nazir

by Abdullah Nazir
Sun Mar 13, 2005 5:30 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Anjum sahib ka isteqbal.
Replies: 3
Views: 198

KHUSH AAMADED


MuHtarami
ANJUM Saahib



Purkhuloos Tasleemaat,

Aapka is meHfil meiN ham sab tah-e-dil se isteqbaal karte heiN. Ummeed hei ke aap apni giraaNqadr aaraa se aur takhleeqaat se is meHfil kii raunaq baRhaayenge. Khushaamaded Anjum Saahib.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

by Abdullah Nazir
Sat Mar 12, 2005 3:10 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--"BARISH "
Replies: 47
Views: 5862

"baarish"


"baarish"


baarish meiN taazagi sii jou aayiii gulaab per

hansne lagaa maiN Dhalte houe aaftaab per




Nazir.

by Abdullah Nazir
Sat Mar 12, 2005 2:41 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 76336

mere



"mere"


Mere dil kaa thaa Ajab haal tiri furqat meiN

aise lagtaa thaa ke hei saans bhii lenaa mushkil



Nazir.

by Abdullah Nazir
Mon Mar 07, 2005 6:52 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Jo muhabbat se daamaan churaataa raha
Replies: 6
Views: 652

Bahut achcchi ghazal hei aapki

MuHtaramah Raji Saahibah, Purkhuloos Tasleemaat, Aapki ghazal majmooAii taur per pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad Haazir hei. Tabsirah karne se pahle ye bataadenaa chaahtaa hooN ke aapka meri aaraa se muttafiq hounaa zaroori nahiN hei. Jo muhabbat se daamaan churaataa raha har ghRe...
by Abdullah Nazir
Sat Mar 05, 2005 2:36 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Lafz par Ashaar#4--"IBADATH "
Replies: 14
Views: 1013

"ibaadat"




Ibaadat karrahaa hooN bekhudii meiN

uThegaa sar nah tere aastaaN se



Nazir.

by Abdullah Nazir
Sat Mar 05, 2005 2:17 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal..Guzarish #3
Replies: 14
Views: 1342

Bahut khoob


MuHtaramah
NIGAH Saahibah,

Purkhuloos Tasleemaat,

Guzarish No.3 ke misreA per aapki TaraHi ghazal bahut achchi hei, beHad pasand aayi khaaskar ghazal ke aakhiri 5 sheAr.

Meri daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/b]
by Abdullah Nazir
Thu Mar 03, 2005 7:27 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Meri tarhee Ghazal..Idhar kyaa nigaah-e-muHabbat nah hogi..
Replies: 15
Views: 1821

Bahut khoob

Muhtarami JAWAID BADAYUNI Saahib, Purkhuloos Tasleemaat, Ujlat meiN kehi houii aapki TAraHi ghazal bahut pasand aayii. Agar ashAar meiN izaafah hou, to yahaN edit karke mazeed ashAaar likhne kii zeHmat gawaaraa farmaayiye. Aapka sawaal: "tou kyaa Urdubandhan meiN izzat nah houg" Yaqeenan ...