Search found 2622 matches

by Abdullah Nazir
Sun Feb 13, 2005 6:59 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aik maAmooli sii Taazah Ghazal - -- - ABDULLAH NAZIR
Replies: 3
Views: 383

Aik maAmooli sii Taazah Ghazal - -- - ABDULLAH NAZIR


MuHtaramaat o MuHtarameen
Ahbaab-e-Sukhan,
- -- -


Purkhuloos Tasleemaat,

Apni aik mamooli sii taazah ghazal paish karrahaa hooN is ummeed se ke aapko pasand aayegi.

Aapki giraaNqadr aaraa kaa intizaar rahegaa. Shukriyah.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

by Abdullah Nazir
Sun Feb 13, 2005 3:37 am
Forum: Moshaairah
Topic: TARAHI GHAZAL....GUZ.#2
Replies: 9
Views: 910

Bahut khoob Waah waah

MuHtarami ANIS HASAN Saahib Aapki TaraHi ghazal baasirah navaaz houi aur bahut pasand aayi. 1) DAALA HAI TASHNAGI NAY YEH KAISAY AZAAB MEIN DARYA TALASH KARTAY HAIN HUM HAR SARAB MEIN 1) MaTlA bahut achcha hei. 2) AB DAIKHNA HAI HOTI HAI KAB MEHR'BAN WOH AANKH REHNA HAI AUR KITNAY DINON TAK ATAAB M...
by Abdullah Nazir
Sat Feb 12, 2005 9:31 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Welcome akifghani saahib
Replies: 6
Views: 367

Khushaamaded

[rainbow][h1] KHUSHAMDED AKIFGHANI SAAHIB [/rainbow][/h1] MuHtarami AKIF GHANI Saahib Aapko apni hii is meHfil meiN dekhkar bahut khushi houi. Ham sab aapka tah-e-dil se isteqbaal karte heiN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr takhleeqat se hameN navaazenge aur shukriyah adaa karne ka mauqA denge. Aapke ...
by Abdullah Nazir
Sat Feb 12, 2005 5:09 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ab meri baari hai......meri ghazal paRhiyega :))
Replies: 5
Views: 368

Bahut khoob


MuHtaramah
S A A R A SaaHibah

Purkhuloos Tasleemaat,


Aapki ghazal bahut hii dilkash hei jis ke liye meri daad aur mubaarakbad haazir. Ummeed hei ke aayindah bhii aapki isi taraH kii dilkash takhleeqaat paRhne ke milengi. shukriyah.


Aapka Mukhlis,

Nazir.

by Abdullah Nazir
Sat Feb 12, 2005 11:36 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik puraani Nazm
Replies: 8
Views: 588

Bahut dilkash nazm hei

Janaab Mahtab Qadr Saahib Purkhuloos Tasleemaat, Aapki nazm bahut pasand aayi. Ba'z misraoN ke beHr se khaarij houne kaa sabab mumkin hei kuch typing mistakes houN. a) chand chahre ko aur zulfoN ko mai saaya likhoN a) Yeh msraA beHr se khaarij hei. Isko yooN kiyaa jaasaktaa hei: (chand chehre ko to...
by Abdullah Nazir
Sat Feb 12, 2005 5:40 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal:mujhe to TooT k har Haal mein bikharna tha
Replies: 3
Views: 342

Bahut khoob Waah Waah Naheed Saahibah

MuHtarami NAJM Saahib Purkhuloos Tasleemaat, Aapki ghazal bahut pasand aayi. Saare ashAar bahut hii achche heiN jin ke liye meri daad aur mubaarakbaad haazir hei. Baz loagaoN kaa khayaal hei ke aapke matleAh kii tarah jab qaafiyaoN meiN mumaacilat houti hei jaise "bikhkharna" aur "bh...
by Abdullah Nazir
Fri Feb 11, 2005 12:59 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khusaamaded Janab. Fersahab Saahib
Replies: 3
Views: 279

Khusaamaded Janab. Fersahab Saahib

[rainbow][h1] Khushamdeed janab FERSAHAB saahib [/rainbow][/h1] Muhtarami FERSAHAB Saahib Purkhuloos Tasleemaat, Aapki apni hii is meHfil meiN ham aapkaa istiqbaal karte houe khud ko khush qismat samajhte heiN. Ummeed ke aap hameN apni giraNqadr takhleeqaat se navaazkar mazeed mamnoon farmayenge. Sh...
by Abdullah Nazir
Fri Feb 11, 2005 12:47 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Meri tarhee Ghazal...Jigar kis hisaab meN.....
Replies: 10
Views: 1148

MuHtarami JAWAID BADAYUNI Saahib, Aapki ghazal bahut pasand aayi jou yooN hei: GHAZAL Aayee kahaN se itni haraarat sharaab meN Shayad kisi ni aag mila dee ha aab meN Ginte haiN kaar-e Khair bhi f’el-e azaab meN Kamzor ho gaye haiN farishtay hisaab meN Darta hooN lag na jaaye gahan aftab meN Waq-e s...
by Abdullah Nazir
Thu Feb 10, 2005 1:18 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khushaamaded hamare azeez taraeen buzurg SARDAR JAHANGIR SB.
Replies: 12
Views: 1070

Khushaamaded hamare azeez taraeen buzurg SARDAR JAHANGIR SB.

[rainbow][h1] Khushamdeed hamare buzurg SARDAR JAHANGIR saahib [/rainbow][/h1] Muhtarami Sardar Jahangir Saahib Aap apni hii is site per bawaqt-e-munaasib tashreef laaye. Ham sab aapka tah-e-dil se poori garmjoushi ke saath isteqbaal karte heiN. Kaun hei jo aapko nahiN jaanaata aur kaun hei jo aapki...
by Abdullah Nazir
Tue Feb 08, 2005 12:22 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Muhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte
Replies: 9
Views: 917

Haqeeqat kyaa hei?

MuHtarami RAJ KUMAAR Saahib, Purkhuloos Tasleemaat o Ihtiraam, Sab se pahle maiN aapka aur Sarwar Saahib kaa shukriyaa adaa kartaa hooN ke aap dounon ne mujhe kisi nateejeh per pahonchne meiN madad farmaayi. Dar asl maiN ne Anmol se yeh hargiz nahiN kahaa ke wo apnaa misraA badal de. Jou kuch maiN ...
by Abdullah Nazir
Tue Feb 08, 2005 3:41 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: na maiN ranj huN na malal huN na huN soz-e-ishq-e-azaab meN
Replies: 7
Views: 529

bahut khoob

MuHtaram HASHMAT USMANI Saahib Purkhuloos Tasleemaat, :) Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Gahre mazaameen kaa AHaaTa karne kii koushish bahut khoob hei. Tafseeli tabsirah karne meiN bahut ziyaada waqt kii zaroorat paish aati hei. Lekin itnaa zaroor kahungaa keh bahut achchi koushish kii hei ...
by Abdullah Nazir
Mon Feb 07, 2005 6:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik nazm
Replies: 7
Views: 553

Bahut khoob Waah waah

MuHtarami DAWOOD RIZWAN Saahib, Purkhuloos Tasleemaat, :) Kyaa kehne kitni khoobsoorat aazad nazm paish kii hei aapne! Yeh aap hii kaa haq hei ke aap ne isqadar dilkash alfaaz se is ko aaraastah kiyaa hei. Meri bharpoor daad aur mubaarkbaad Haazir hei. Ummeed ke aayindah bhii aap isi taraH se apne ...
by Abdullah Nazir
Mon Feb 07, 2005 5:52 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: maiN shehr meiN kisi k baraabar naheeN rahaa
Replies: 10
Views: 684

Bahut khoob Waah Waah

MuHtarami NAJM Saahib Pukhuloos Tasleemaat, :) Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Aap jaise shoAaraa hazraat ne is meHfil kii raunaq baRhaayi hei jiske liye ham URDUBANDHAN se munsalik afraad aapke beHad shukrguzaar heiN. Aapke saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN. Ummeed karte heiN k...
by Abdullah Nazir
Mon Feb 07, 2005 5:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: AIK GHAZAL
Replies: 8
Views: 830

Bahut khoob Waah Waah

MuHtaram Anis Hasan Saahib Purkhuloos Tasleemaat, :) Aap ne apni hii is meHfil meiN tashreef laakar hameN behad mamnoon farmaayaa hei aur saath hii saath aik bahut dhii ikash se hamaaraa dil bhii jeet liyaa hei. Aapki ghazal ke saare ashAar bahut hii khoobsoorat mazaameen ke saath baasirah navaaz h...
by Abdullah Nazir
Mon Feb 07, 2005 5:19 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: WELCOME DAWOOD RIZWAN SAAHIB....:))
Replies: 4
Views: 265

KHUSHAAMADED

[rainbow][h1] KHUSHAMDEED DAWOOWD RIZWAN SAAHIB [/rainbow][/h1] MuHtarami Dawood Rizwan Saahib Purkhuloos Tasleemaat, :) Aapki hii is meHfil meiN khaksaar aapkaa garmjoushi se isteqbaal karte houe khushi meHsoos karrahaa hei. Aap jaise fankaraoN kii aamad se is meHfil kii raunaq meiN din badin izaaf...