Search found 2622 matches
- Mon Feb 07, 2005 5:09 am
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: Asslamu Alikum
- Replies: 10
- Views: 801
KHUSHAAMADED
MuHtarami SK Saahib, Purkhuloos Tasleemaat, :) Aapko ham aapki hii is meHfil meiN khudhaamaded kehte houe khushi meHsoos karte heiN. Aap kii tashreefaavari se yahaaN kii raunaq meiN izaafah houaa. Ham sab Urdubandhan se juRe houe loag aapko apne saath paakar ummeed karte heiN ke aapki rehnumaayi ...
- Mon Feb 07, 2005 4:02 am
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: KHUSHAAMADED RAJ KUMAR Saahib
- Replies: 5
- Views: 296
KHUSHAAMADED RAJ KUMAR Saahib
[rainbow][h1] Khushamdeed herdil-Azees RAJ KUMAR saahib [/rainbow][/h1] Muhtarami RAJ KUMAR Saahib MaiN yeh souch rahaa thaa ke kahiN meri nazar is qadar kamzour tou nahiN hougaiee ke aap jaise jagmagate houe sitaare ko maiN dekh nahiN paarahaa hooN. Aap ne meri ghalaTfehmi door kardi aur apni hii ...
- Sun Feb 06, 2005 9:33 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Muhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte
- Replies: 9
- Views: 954
Patah nahiN ke kaun ghalaT hei
Muhtarami SARWAR A. RAZ SARWAR Saahib, Aadaab o Tasleemaat, Aap ne likhkhaa hei: ((is tashreeH ke baa-vujood aap kehte haiN keh maiN ne "nayee baat paidaa kee hai"! ba-eeN aql-o-daanish be-baayad gireest! kam se kam aap doosroN kee baateN tavjjuh se dekh` to liyaa kareN. us ke ba'd jaa,iz, munaasib ...
- Sat Feb 05, 2005 10:07 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Muhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte
- Replies: 9
- Views: 954
Sarwar Saahib ne phir mujhe kehne per majboor kiyaa hei
A N M O L Aapke mandarja-e-zail misreA per maiN ne apni raaye paish kii thii: Use bhaati thii TooTe kaanch kii aavaaz kyaa karte MaiN ne kahaa thaa ke "TooTe kaanch" kii bajaaye "TooTi kaanch" kahaa jaanaa chaahiye kiyoonke lafz kaanch "mo'annac" hei. Sarwar Saahib ne aik nayi baat paidaa kii hei ...
- Sat Feb 05, 2005 9:06 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: EK GHAZAL
- Replies: 18
- Views: 2921
- Sat Feb 05, 2005 3:30 pm
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: Khush_aamded ASAD saaHib
- Replies: 11
- Views: 1038
KHUSHAAMADED
[rainbow][h2]Khush-aamded As'ad Ms Saahib [/h2][/rainbow] MuHtarami As'ad Saahib Purkhuloos Tasleemaat, :) Aapko apni hi is meHfil meiN dekhkar behad khushi houi. MaiN aapka tah-e-dil se isteqbaal kartaa hooN. Ummeed ke aap apni giraNqadr takhleeqaat se navaazte rahenge. Aapka Mukhlis, Nazir ...
- Sat Feb 05, 2005 3:18 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Ghazal: ~*shikast.e.khawaab ka manzar bhi daikho*~
- Replies: 6
- Views: 697
Bahut khoob Waah waah
MuHtarami Nazimuddin Khalish Saahib Purkhuloos Tasleemaat, :) Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi jo aapke dili iHsaasaat kaa muraqqaA hei. Saare ke saare ashAaar bahut hii dilkash heiN aur jaisaa ke maiN yeh kehne per majboor hooN (saans lete houe maloom houte heiN). Meri dili daad aur ...
- Sat Feb 05, 2005 3:10 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: EK GHAZAL
- Replies: 18
- Views: 2921
Bahut khoob
MuHtaramah N A J M A Saahibah Purkhuloos Tasleemaat, Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye khaksaar kii daad aur mubaarakbad haazir hei. Sir aakhiri misraA beHr se khaarij hei jisko yooN kiyaa jaasaktaa hei: keh ab maiN surkhroo houne lagii hooN Aapka Mukhlis, Nazir. [/size][/color]
- Sat Feb 05, 2005 6:50 am
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: 4 ISLAAH ----Haq tu yeh hai k Haq adaa naa howa...
- Replies: 16
- Views: 1374
Bahut khoob waah waah
MuHtaramah R A J I Saahibah Purkhuloos Tasleemaat, Aapki ghazal paRhkar bahut khushi houi. Tamam ashAaar achche heiN. Apni raaye ke izhaar meiN takheer ke liye muAafi chaahtaa hooN. Waise yeh takheer mere bas meiN nahiN thii kiyooNkeh internet line kii mutavaatir problems kii vajah se hasb-e-mamool ...
- Sat Feb 05, 2005 6:35 am
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: Welcome Khalish Saahib.
- Replies: 10
- Views: 801
KHUSHAAMADED
MuHtaram Bhaayi NAZIM KHALISH Saahib Purkhuloos Tasleemaat, MaiN aapki hi is site per tah-e-dil se aapka isteqbaal kartaa hooN. Zehe naseeb ke aap is meHfil meiN tashreef laaye aur aik bahut hii dlkash ghazal ke saath. Umeed hei ke aap isi tarah se hameN apni takhleeqaat se navaazte rahenge. Aapka ...
- Sat Feb 05, 2005 6:26 am
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: HAMARA KHAIR-MAQDAM KIJIYEY-----
- Replies: 12
- Views: 1583
KHUSHAAMADED
MuHtaramah N A J M A Saahibah [/size][/color] Purkhuloos Tasleemaat, BaRi khushi kii baat hei ke aap apni hii is meHfil meiN tashreef laayeN jiski vajah se yahaaN kii raunaq meiN izaafah houaa. MaiN Urdubandhan se munsalik saare aHbaab ke saath aapk dili isteqbaal kartaa hooN. Ummeed kartaa hooN ...
- Fri Feb 04, 2005 1:29 pm
- Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
- Topic: Muhabbat ke anokhe they sabhi andaaz, kya karte
- Replies: 9
- Views: 954
Bahut khoob
A N M O L Purkhuloos Tasleemaat, Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri daad aur mubaarakbaad Haazir hei. Aapka mandarja-e-zail misreA meiN aap ne lafz "kaanch" ko muzakkar baandhaa hei jisko ham her soorat meiN mo'annac isteAmaal karte heiN. "Use bhaati thii TooTe kaanch kii aawaaz kyaa ...
- Wed Feb 02, 2005 1:41 pm
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: Khushamdeed hnaqvi2 saahib
- Replies: 4
- Views: 286
Khushaamaded
MuHtarami SHAHZAD HAIDER Saahib Purkhuloos Tasleemaat, [h2][rainbow]Khush-aamded Shahzad Haider Saahib[/rainbow][/h2] [/size][/color] Ham sab URDUBANDHAN se juRe houe loag aapka istiqbaal karte houe khushi meHsoos karrahe heiN. Is meiN koiee shak nahiN ke aapka vujood aapki hii is site per hamaare ...
- Tue Feb 01, 2005 10:10 pm
- Forum: Moshaairah
- Topic: tum sey shaid koii sawaal na ho
- Replies: 8
- Views: 1045
Aapki TaraHi Ghazal jou bahut hii achchi hei
F A T I M A H Purkhuloos Tasleemaat, Aapki TaraHi ghazal paRhkar bahut khushi houi ke ab aap ke saare sheAr beHr (vazn) meiN heiN. 1 :Zindagi itnii bhi muhaal na ho Her kadam per nayaa vabaal na ho Is maTleA ke pahle aur doosre misreA meiN yooN kahaa gayaa hei: Pahle misreA meiN: zindagi ...
- Tue Feb 01, 2005 8:33 pm
- Forum: Khushamdeed/Taarruf
- Topic: Mei Apne Aap Ko Khushamdeed Kerta Hoon
- Replies: 18
- Views: 1697
KHUSHAAMADED
MuHtarami Muhammed Amoodi Saahib Purkhuloos Tasleemaat, :) URDUBANDHAN per aapki tashreef aavari kii khabar us waqt mili jabkeh meri internet line ko muqarrar waqt per bill ki Adam adaayagi kii vajah se rouk diyaa gayaa thaa. Bahut khushi hei keh aap ab apni hii site per aagaye aur apni adabi ...