Search found 2622 matches

by Abdullah Nazir
Wed Jan 17, 2007 12:37 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ham huwe gardish-e-dauraaN se pareshaaN kyaa kyaa!
Replies: 9
Views: 713

Bahut khoob, waah waah

MuHtarami Sarwar A. Raz :Sarwar SaaHib, PurkhulooS Tasleemaat, Aapki mandarja-e-zeil ghazal baghair kisi mulaaHizaat ke bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbad qubool keejiye. GHAZAL: ham huwe gardish-e-dauraaN se pareshaaN kyaa kyaa! kyaa thaa afsaanah-e-jaaN aur the u'nwaaN ky...
by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 7:07 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: TooTne ko ikk.. taazah ghazal
Replies: 7
Views: 749

achcha yuN karleejiye



MuHtaramah
Tahirah Masood SaaHib,

PurkhulooS Tasleemaat,

Dekhiye aek pahle se behtar tajveez yeh housakti hei:



YuN nah dil ko aazmaanaa chaahiye

TooTne is ko bahaanah chaahiye.



Agar aap is maTleA se muTma'in heiN tou badal leejiye.


Aapka MukhliS,
Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 4:08 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal # 25..........Sara Jabeen
Replies: 7
Views: 1778

Bahut khoob, waah waah

MuHtaramah Saara JabeeN SaaHibah, - -- - PurkhulooS Tasleemaat, :-) Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Aapki ghazal yuN hei: Ghazal: 1. Behr-e-hastee meiN heiN aane lage toofaaN kyaa kyaa ... apni saansaoN ke tamavvuj meiN hei pinhaaN kyaa k...
by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 3:57 pm
Forum: Moshaairah
Topic: guz.25 per meri ghazal. Irfan barabankwi.
Replies: 6
Views: 728

Bahut khoob, waah waah

MuHtarami, Irfan Barahbankwi SaaHib, PurkhulooS Tasleemaat, :-) Aapki ghazal mere computer se bhejne se pahle hee nazar se guzar chuki hei jiske saare ashAar bahut dilkash heiN. Is khoobSoorat takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Aapka MukhliS, Nazir. [/size][/color]
by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 3:53 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guz. 25 ke miSreA per TaraHi ghazal. A. Sahil, Jeddah.
Replies: 3
Views: 443

Bahut khoob, waah waah

MuHtarami Abdulqayyum SaaHil SaaHib, PurkhulooS Tasleemaat, :-) Aapki ghazal mere computer se bhejne se pahle hee nazar se guzar chuki hei jiske saare ashAar bahut dilkash heiN. Is khoobSoorat takhleeq per meri dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. Aapka MukhliS, Nazir. [/size][/color]
by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 6:32 am
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar: Duniya, jahaan, zamaana, aalam!
Replies: 42
Views: 14647

duniyaa




ik doosre se shikwah kareN yaa ke chup raheN

dunyaa ko dakhl kyaa hei yeh aapus kee baat hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 6:25 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par ashaar#33- Mai/Sharaab...
Replies: 110
Views: 30832

sharaab




"mujh mast ko bahaar meiN hei aarzoo yehi

daryaa dili se saaqi kee tairooN sharaab meiN"


Shaayer: Haider Ali :aatish:



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 5:45 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101169

pasandeedah




"takh'yeel peh utri tire anwaar kee shabnam

maiN raat kaa raahi thaa mujhe tuu ne saHar dee".


Shaayer: Qateel Shifaayi



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 5:40 am
Forum: Anjuman
Topic: riwayati 'bait-baazi'
Replies: 265
Views: 48693

"ye"




YuN nah itraake chalo Husn kee daulat peh kabhi

qarZ kaa maal hei kuch din meiN chalaa jaayegaa.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Tue Jan 16, 2007 5:27 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par ashaar#33- Mai/Sharaab...
Replies: 110
Views: 30832

sharaab




daroon-e-pardah jamaal-e-shabaab kaafi hei

sharaab gar nahiN jaam-e-sharaab kaafi hei.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Mon Jan 15, 2007 5:15 pm
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar: Duniya, jahaan, zamaana, aalam!
Replies: 42
Views: 14647

duniya




kiyuN nah aapus meiN raheN pyaar se is dunyaa meiN

aakhirat ke liye eHsaas-e-nadaamat hei bahut.


Shaayer: Abdullah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Mon Jan 15, 2007 4:53 pm
Forum: Anjuman
Topic: riwayati 'bait-baazi'
Replies: 265
Views: 48693

sheen




shaam-e-gham aape meiN rehnaa hougayaa dushwaar jab

begaraar aankhaoN se uski beh gaye aansoo bahut.


Shaayer: Abdullah Nazir.

"te" se


Nazir.

by Abdullah Nazir
Mon Jan 15, 2007 2:50 am
Forum: Anjuman
Topic: is HAFTE kaa lafz hai ... "RAAT yaa SHAB" par ash'
Replies: 111
Views: 29705

shab




[ukhushboo-e-daaman-e-gul be'aasraa jo karde

houjaaye saans lenaa shayad muHaal her shab.[/u]

Shaayer: Abdujllah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Mon Jan 15, 2007 2:41 am
Forum: Anjuman
Topic: Adabi Maloomat 1 NAYA SILSILA
Replies: 8
Views: 2747

nayaa silsilah




silsilah jab nah baRhaa apne HaseeN khwaabaoN kaa

sougaye oaRhke ham loag sukooN kee chaadar.


Shaayer: Abdujllah Nazir.



Nazir.

by Abdullah Nazir
Mon Jan 15, 2007 2:34 am
Forum: Anjuman
Topic: Harf 'Gain' se ash'aar qalam_band kijiiye
Replies: 47
Views: 11123

ghain




ghalaTfehmi hei dunyaa ko, mujhe apnaa samajhti hei

maiN wo bismil hooN jisko hei muHabbat apne qaatil se.


Shaayer: Abdujllah Nazir.



Nazir.