Search found 138 matches

by Anmol
Sun Jun 12, 2005 9:08 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)
Replies: 16
Views: 1944

Re: Meri Tarahee Ghazal (Guz. # 6)

MaiN zameeN tum ho aasmaaN yaaro “Tum kahaN aur maiN kahaN yaaro” Zabt-e Gham ka tha imtihaaN yaro Kaise hum kholte zubaaN yaaro TooT jaate haiN pyaar ke rishte Jab anaa aaye darmiyaN yaaro Khaar aayeN keh phool daman meN Hum ko pyara hai gulsitaaN yaaro Jab bhi “Jawaid” per paRa hai waqt Jaane tum...
by Anmol
Sun Jun 12, 2005 8:58 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: EK GHAZAL: ye baat alag, ehd-e-jahaaN-geer naheeN hay
Replies: 22
Views: 1629

Re: EK GHAZAL: ye baat alag, ehd-e-jahaaN-geer naheeN hay

aiy dost! mubarak ho tujhaty tark-e-ta,alluq shayad tujhe paana miree taqdeer naheeN hay hay aaj bhi majboori-e-insaan, mohabbat ye baat alag, is meiN wo taaseer naheeN hay zinda ho, to phir zinda ujaaloN ko bhi samjho dunya ye, faqat kaaGhazi tasweer naheeN hay insaaniyat ab sirf kitaboN meiN hay ...
by Anmol
Sun Jun 12, 2005 8:54 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: BADLA NAHEEN HAY EHL-E-JAHAAN KA CHALAN ABHII===NAFIS AHMAD
Replies: 15
Views: 2177

Adaab Najma Ji,

Aap ke walid sahib ka kalaam acha laga, meri jaanib se un ko daad pohnche.

Shukria.
by Anmol
Sun Jun 12, 2005 8:51 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: KOEE KHOOBII MIREE, DIKHII BHII NAHEEN
Replies: 16
Views: 1654

Adaab Najma Ji,

AAp ki ghazal Khoob hay, sher # 3,4 aur maqta mujhe zyada pasand aaye, daad pesh hay. :-)
by Anmol
Sun Jun 12, 2005 8:43 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Karo mujh pe itne sitam dosto
Replies: 13
Views: 884

zmufti wrote:anmol jee
Aadaab
buhat khoob
dair se hi sahi
meri janib se daad qabool kijye
tamam sher buhat khoob hain
take care
zarqa
Der aayad durust aayad.

Zarqa ji aap ki daad sar aankhoN per. Meri jaanib se pyaar bhara shukria qubool kijiye. :-)
by Anmol
Sun Jun 12, 2005 8:42 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Karo mujh pe itne sitam dosto
Replies: 13
Views: 884

dear anmol, salaam. waah bohat khoob ghazal kahi ho, 6. Abhi dard lafzoN meiN Dhaala nahiN Abhi se na chheeno qalam dosto! waah awesome! bohat khoob! aek dilkush kavish per dhairon daad aur mubarakbaad qubool karo. tumhari is ghazal se mutassir hokar bohatse sukhanwar ne bhi taba azmaii ki hai,zara...
by Anmol
Sun Jun 12, 2005 8:40 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek taazah ghazal baraaye Islaah / 30 May
Replies: 2
Views: 110

Adaab, Dunya Ji!

Kesi heN aap? :-) mujhe abhi abhi Sara se pata chala k aap ne meri zameen meiN ghazal likhi hay to mai N doRi chali aayi dekhne, aur behad Khushi hui k aap ne itni achi koshish ki hay. Sabhi ashaar Khoob heN, daad qubool kijiye. :P
by Anmol
Thu Jun 09, 2005 12:42 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Karo mujh pe itne sitam dosto
Replies: 13
Views: 884

Re: Bahut khoob waah waah

A N M O L Purkhuloos Tasleemaat, :-) Waah Anmol, kyaa kehne, aaki yeh ghazal beHad pasand aayiee. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN aur paRhne waale ke dil per gehraa acar chouRne waale heiN. KiyuN nahiN, aek do din kii riyaazat thouri hii hei. Saalhaa saal kii mashq-e-sukhan ne aapko is qaa...
by Anmol
Thu Jun 09, 2005 12:38 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Karo mujh pe itne sitam dosto
Replies: 13
Views: 884

Re: Karo mujh pe itne sitam dosto

waah waah anmol! bohat khoooooob. itna umdah kalam hay, baar baar paRhaa aur har baar ik naya lutf paya. 5. LuTaati rahi apni khushyaN wahaN JahaaN se milaa sirf Gham dosto ! wah kya baat hay bohat hi khoob bhar-pur daad qubool karo aur sada khushraho :-) Dear Najma Ji, adaab! Ghazal per aap ki is ...
by Anmol
Thu Jun 09, 2005 12:36 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Karo mujh pe itne sitam dosto
Replies: 13
Views: 884

wah wah wah anmool ji buhut khoob, kia matla , kia hi khoob ashaar aur kia hi khubsoorat maqta hay .. daad hazir hay ..kia hi khubsoorat ghazal kahi aap nay , waqar masood Waqar Sahib , adaab! Aap ki besaakhta daad se bohot hosla'afzayi hui. :grin: Mere adna se kalaam ko is qadar saraahne ka behad ...
by Anmol
Thu Jun 09, 2005 12:34 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Karo mujh pe itne sitam dosto
Replies: 13
Views: 884

Arayyyyyyyyyy Waaaaah wah wah!!! :rose :rose :rose :rose :rose Kiya kehnay haiN!!! =D> =D> =D> Bahut khoob!!! (tum tou waaqayiiiiiiiiiiiiiiiii Shairah ban gayi ho!!! :wink: ) :shock: To aap mujhe ab tak kya samajh rahay they? Wese baqol-e-shayir, Abhi to nikharna hay fann ko bohot Abhi aur Khoon-e-...
by Anmol
Wed Jun 08, 2005 3:02 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Replies: 11
Views: 577

Assalam-o-alaikum Walekum Salam, jeete rahiyye. :wink: Guz.50 ke teHt meri kawish haazir hai, her chand ke is zameen meiN she'r kehna mere liye ju-e-sheer laane ke mutaraadif hua, radeef ne bahot si paabandiyaaN aayed karne ki koshish ki :D, phir bhi jo ash'aar hue, aap ke saamne haiN : Radeef ne t...
by Anmol
Wed Jun 08, 2005 12:29 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Karo mujh pe itne sitam dosto
Replies: 13
Views: 884

Karo mujh pe itne sitam dosto

Ghazal 1. Karo mujh pe itne sitam dosto! K saanseN bhi paR jayeN kum dosto! 2. Jo har'soo hoN ranj-o-alam dosto! KahaN ja ke chup jayeN hum dosto! 3. MaiN raah-e-wafa per chalooNgi sadaa RukeNge na mere qadam dosto! 4. Abhi tak judayi ka Ghum hay mujhe Abhi tak ye aankheN heN num dosto! 5. LuTaati ...
by Anmol
Thu Jun 02, 2005 11:24 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHi Ghazal (Guz.3). Irfan Barabankwi, Jeddah.
Replies: 11
Views: 802

Re: TaraHi Ghazal (Guz.3). Irfan Barabankwi, Jeddah.

Muhtaramaat o Muhtarameen Ahbaab-e-meHfil, Aadab o Tasleemaat, Guzarish No.3 ke TaraHi misreA per apni ghazal paish karrahaa hooN. Ummeed ke aap apni giraaNqadr aaraa se mustfeed houne kaa mauqaA denge. Shukriyah. Khair Andesh, Irfan. [/size][/color] http://forum.urdubandhan.com/phpBB2/files/a_irf_...
by Anmol
Thu Jun 02, 2005 11:18 am
Forum: Moshaairah
Topic: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN......................
Replies: 12
Views: 1620

Re: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN..................

jawaid badauni wrote: KyooN gurezaN haiN aap aane se
Rabt baRhta hai aane jaane se

Ek insaaN ka qatl behtar hai
Ek insaaN ka dil dukhane se

AaKhirash woh bhi Khalee haath gaya
Shaah ko kya mila Khazane se



Adaab, Jawaid Sahib!

Aap ki taraHee ghazal bohot pasand aayi, daad aur mubarakbaad pesh hay. :-)