Search found 138 matches

by Anmol
Mon Mar 17, 2008 8:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yeh laRkii Khushi ko tarastii rahe gi
Replies: 8
Views: 804

Re: yeh laRkii Khushi ko tarastii rahe gi

moHtarmah Anmol SaaHibah aadaab. aapkii Ghazal paRhi, daad HaaZir hai gar qabool uftaad. moHtaram jawaid badauni SaaHib kay mashwaroN maiN bila shubaa aap kay liye raahnumaa~ii hai. aur aapkii kaamyaabi yehi hai kay aapkii Ghazal apni fazaa qaaim kar rahi hai, aur jaisa kay aap nay kaha kay kaafi A...
by Anmol
Wed Mar 12, 2008 7:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yeh laRkii Khushi ko tarastii rahe gi
Replies: 8
Views: 804

Re: yeh laRkii Khushi ko tarastii rahe gi

Azeezah Ayesha "Anmol" SaaHibah, aadaab aap ki Ghazal nazar nawaz huuwee. achchi Ghazal hai. zameen bhi achchi hai aap ne qawafee bhi achche istaimal kiye haiN. daad Hazir hai. chuNd ashAAr ke hawaley se kuch Arz karna apna farZ samajhta hooN lekin mere nacheez mashwaroN se aap ka muttafi...
by Anmol
Tue Mar 11, 2008 8:30 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yeh laRkii Khushi ko tarastii rahe gi
Replies: 8
Views: 804

Re: yeh laRkii Khushi ko tarastii rahe gi

MOHTARAM AYESHA ANMOL JI Ghazal koi nayi ya purani nahin hoti..... Ghazal to ghazal hoti hai..... jab bhi padho..... achchi lagti hai..... shart yeh hai ke... Dil buddha na hoa ho. Aapki Ghazal majmooyi taur pe achchi lagi magar..... aksar jagah mujhe aisa laga (sirf mujhe aisa laga) jaise... aap k...
by Anmol
Fri Mar 07, 2008 8:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yeh laRkii Khushi ko tarastii rahe gi
Replies: 8
Views: 804

yeh laRkii Khushi ko tarastii rahe gi

Aadaab! aik ghazal jo maiNe kaafi arse pehle kahi thi, lekin shaayad kabhi is forum meiN post nahiiN ki, aaj aap sab se share kar rahi huuN. Ghazal: mire dil pe Hasrat barastii rahe gi yooNhii zindagii mujh pe haNstii rahe gi! liye raaKh KhwaaboN ki apnii nazar meiN yeh laRkii Khushi ko tarastii rah...
by Anmol
Thu Mar 15, 2007 7:23 am
Forum: Quran O Hadeec
Topic: A butterfly's lesson
Replies: 1
Views: 425

Wow!!!

What a great message!

Thanks, Sara.
by Anmol
Wed Mar 07, 2007 8:14 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: TARHI GHAZAL....
Replies: 2
Views: 204

Re: TARHI GHAZAL....

[size=0] Urdubandhan ke Saathiyo, Salam-o-Rehmat! Ek Ghazal pesh khidmat hai. Mujhe pata nahin hai ke "misra" kis Shair ka hai. Mujhe pasand aaya aur main ne us pe ghazal keh di hai. Agar kisi ko Shair ka naam pata ho to bara-e-meherbani mujhe batadein, nawazish hogi. Khuda Hafiz, aap sab...
by Anmol
Fri Mar 02, 2007 5:04 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: MERI TAZA GHAZAL
Replies: 4
Views: 260

GHAZAL (1) Unki nazaroN meN andhera hi andhera hoga jisne sooraj ko bohat paas se dekha hoga Bhao Bazar Ke Girne ki Dua Mat Mango Bhao Girne Se Lahu Aur Bhi Sasta Hoga DastakeN Di ThiN Yahi soch Ke DarwazoN Par Shahar Mera hai Yahan Koi To apna Hoga Aadaab, Rizwan SaaHib! Aap ki ghazal bahut achchh...
by Anmol
Sun Feb 25, 2007 8:00 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Meri ek taza ghazal aapki samaatoN meN
Replies: 14
Views: 1283

Aadaab, Rizwaan SaaHib!

Bahut Khoob ghazal hai. Umda mazameen haiN, daad qubool kijiye.

:-)
by Anmol
Sun Feb 25, 2007 7:57 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: DO-BARA POST KIYA.....Dil ki Hasrat Hai....
Replies: 14
Views: 893

Mujhe to image hi sire se nazar nahiiN aa raha.

:(
by Anmol
Thu Feb 15, 2007 10:19 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek "seedhi-saadhi-ghazal"......!!
Replies: 4
Views: 381

Aadaab, Armaan SaaHib!

Aap ki ghazal achchhi hai. teesra she'r paRh kar lutf aaya.

daad!!!!!
by Anmol
Thu Feb 15, 2007 10:16 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: zaroorat khurdare jismon ko itna dhaar kar de gi(gazal)
Replies: 4
Views: 400

Dilshad SaaHib, aadaab!

aap ka kalaam hamesha mujhe kuchh munfarid sa lagta hai. is baar bhi aap ki ghazal paRh kar bahut mutassir hui. Bahut Khoob mazameen aur umda andaaz-e-bayaaN!!! aik aik sher nageena hai. maiN daad pesh karti huuN.

:-)
by Anmol
Thu Feb 15, 2007 10:12 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Mujhe Shair Na Kaho.......
Replies: 4
Views: 344

Armaan SaaHib,

Bahut Khoob nazm kahi hai aap ne. isey to maiN apne favourites meiN add kar rahi huuN.

Daad pesh hai!!!
by Anmol
Thu Feb 15, 2007 10:09 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Gazal by Syed Abubaker Maliki, Dubai
Replies: 2
Views: 347

Aadaab Sayyad Saahib,

aap ki ghazal achchhi lagi. meri jaanib se daad pesh hai. aise hi umda mazameen baandhte rahiyye.

:-)
by Anmol
Mon Jan 15, 2007 8:18 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish -----#19!
Replies: 5
Views: 423

Re: Guzarish -----#19!

:saNg dil se dosti aChhii nahiN: apne dil se dushmani aChhii nahiN! soch us ki har ghaRi aChhii nahiN, is qadar bhi aashiqi aChhii nahiN! gham nahiN aChha rahe gar mustaqil, aur khushi bhi aarazi aChhii nahiN! mira kaChha ghar hai mujh se keh raha? baarishoN se dosti aChhii nahiN! aap kahiye aap ki...
by Anmol
Tue Dec 12, 2006 1:13 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge
Replies: 5
Views: 775

Re: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge

Dear Sara,

Ghazal per itne Khuloos se daad dene ke liye maiN tumheN thanks .......... nahiiN kahooNgi. :grin: Hamesha khush raho, aur mera kalaam paRh kar ash ash karti raho. :wink: