Search found 138 matches

by Anmol
Sun Dec 10, 2006 8:31 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge
Replies: 5
Views: 775

Re: Bahut khoob, waah waah

Mohtaram Nazir SaaHib, aadaab!

Aap ne hamesha meri bahut hausla'afzaayi ki hai. ab aap ko meri shaayri meiN itni behtari mehsoos hui hai, ye jaan kar bahut achchha laga. Aap ne mere ashaar ko dekha aur pasand kia, bahut shukria. Aainda bhi aap ke giraaN'qadr taa'ssuraat ka intizaar rahega.

:P
by Anmol
Sun Dec 10, 2006 8:28 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge
Replies: 5
Views: 775

Hashmat SaaHib, aadaab! Ghazal ki pazeerayi ke liye bahut shukria. Aap ko matle meiN 'laGhzish karna' khaTak raha hai. mera Khayaal hai k aksar insaan jaan boojh kar laGhzish ya Ghalati karta hai, so laGhzish karna durust hai. Doosre she'r ka doosra miSra mujhe to Theek lag raha hai, asaatiza ne bhi...
by Anmol
Fri Dec 08, 2006 7:35 am
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal - # 24 Sara Jabeen
Replies: 9
Views: 987

Waah Saara, tumhaari taraHee ghazal achchhi lagi aur presentation bhi Khoob hai. Dono per daad qubool karo.

:-)
by Anmol
Wed Dec 06, 2006 10:10 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge
Replies: 5
Views: 775

Phir bhi ilzaam qismat ko deN ge

sabhi aihl-e-bazm ko aadaab! aik taaza kalaam pesh kar rahii huuN. umeed hai k aap ko pasand aaye ga. :-) http://www.tanhaa.net/anmol/site1/ghazal_36.gif Ghazal: 1. log laGhzish to Khud hi kareN ge phir bhi ilzaam qismat ko deN ge! 2. aap kis kis ki parwa kareN ge? log to bolte hi raheN ge 3. zindag...
by Anmol
Wed Dec 06, 2006 2:31 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ab zindagi mein koi masarrat nahi rahi...Ghazal
Replies: 6
Views: 964

[quote author=anmol link=topic=3741.msg36281#msg36281 date=1165415090] [quote author=Sara_j link=topic=3741.msg36218#msg36218 date=1165295171] Salaam, aek ghazal aap sab ki nazar. Aray waah,, ghazal to meri farmaayish thi, phir sab ki nazr kaise kar di. :( Dekho ji ye cheating na karo, itni pyaari g...
by Anmol
Wed Nov 15, 2006 5:41 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ye har waqt aaNdhi ka Dar kis liye ho...ghazal
Replies: 5
Views: 447

Mohtaram Nazir Saahib,

Aap ki daad aur mubarakbaad sar aankhoN per. Hausla'afzaayi ke liye behad shukria.

:grin:
by Anmol
Tue Nov 14, 2006 11:02 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ye har waqt aaNdhi ka Dar kis liye ho...ghazal
Replies: 5
Views: 447

Anmol saahiba, bohat khoob Sher kahe haiN aap ne.. Kya khoob andaaz hai.. har Sher ess dil par chhuriyaaN chala rahe haiN .. aap ko Shaayad aaj pahli martaba paRhna huaa... haalaki, aap se guftgu kaii baar ho chuki hai... ek dilkaSh Ghazal ke liye mere jaanib se bharpoor daad qubool keejiye.. yuuN ...
by Anmol
Sun Nov 12, 2006 1:45 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ye har waqt aaNdhi ka Dar kis liye ho...ghazal
Replies: 5
Views: 447

Dear Sara,

Tumhaari jaanib se daad paa kar bohot Khushi hui.

thanks a lot. :grin:
by Anmol
Sun Nov 05, 2006 7:40 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Nazr e Saani ke baad...shiyaar aNkhoN mai
Replies: 9
Views: 778

abhi to us ne zamaana kahaaN se dekha hai abhi to kuch bhi nahi honihaar aNkhoN maiN Mahtaab SaaHib, Urdu duniya per Muzaffar Saahib se hue tabaadla-e-Khayaal ke baad aik tajveez dena chaahti huuN. UnhoN ne "zamaana kahaaN se dekha" per aiteraaz kia hai, aur she'r meiN shaturgurba ka bhi ...
by Anmol
Sun Nov 05, 2006 4:11 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ye har waqt aaNdhi ka Dar kis liye ho...ghazal
Replies: 5
Views: 447

Ye har waqt aaNdhi ka Dar kis liye ho...ghazal

Aadaab! Ghazal pesh hai. Umeed hai k sab ko pasand aaye gi. http://www.tanhaa.net/anmol/site1/ghazal_40.gif Ghazal: 1. ye har waqt aaNdhi ka Dar kis liye ho miree zeest girta shajar kis liye ho 2. koi tohmateN aap per bhi lagaaye har ilzaam mere hi sar kis liye ho 3. har ik zulm kab tak yuN hans kar...
by Anmol
Sun Nov 05, 2006 3:02 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Nazr e Saani ke baad...shiyaar aNkhoN mai
Replies: 9
Views: 778

Aadaab, Mahtab SaaHib ! wafa jafaa ke mile sab shiyaar aNkhoN mai huve haiN dil ke sabhi kaarobar aNkhoN mai She'r achchha hai lekin 'Wafa jafa' kuchh Khaas jach nahiiN raha. :( ye kah rahi haiN teri surkh o malgaji aNKheiN simat ke aagaya dil kaa ghubaar aNkhoN mai Teri>>> tiree. Bohot Khoob she'r...
by Anmol
Sat Nov 04, 2006 3:00 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN(Taaza ghazal)
Replies: 14
Views: 1572

Shu, pms aur St forum per is baare meiN kaafi discussion ho chuki hai.

Mohtaram Nazir SaaHib ne tumheN achchhi tajaaveez di haiN, un per ghaur karo.

Achchhe se achchha likhti raho.
by Anmol
Fri Nov 03, 2006 11:58 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN(Taaza ghazal)
Replies: 14
Views: 1572

Come on, sharminda mat ho. Just concentrate on your poetry and take time to revise it.

...
by Anmol
Fri Nov 03, 2006 4:07 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal:kahaaN tak kisi par sitam dhhaaiyegaa
Replies: 10
Views: 806

Re: Ghazal:kahaaN tak kisi par sitam dhhaaiyegaa

Aadaab, Mayank SaaHib!

Aap ko is bazm meiN dekh kar Khushi hui. Aap ki ghazal ka lehja bohot dilchasp laga. Sabhi ashaar paRh kar lutf aaya, daad qubool kijiye.

:-)
by Anmol
Fri Nov 03, 2006 4:01 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Woh jo kabhi shareek the pursaan-e-haal meiN(Taaza ghazal)
Replies: 14
Views: 1572

ban ke sapole unki har ik baat..kyaa kareiN dasne lagi hain ab to khwaab-o-khayaal meiN Khwaab-o-Khayaal should be 22-121, tum ne isey 122-121 baandha hai. [/b] again jahan tak I know 'o' and 'e' izaafaat mein dono wazan pe ho sakte hain 1/2 ...again lets see ustaad log kya kehte hain(hope ab to un...