Search found 138 matches

by Anmol
Sun Nov 20, 2005 4:55 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
Replies: 6
Views: 510

Re: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"

Adaab, Amjad Sahib! rastay jo munsalik the mire koo-e-yaar se ab tak aTey hue haiN voh dil ke ghubaar se Raste bhi sanwar jayeNge, inshaAllah. :-) Matla bohot pasand aaya. maaloom ye hua hai mujhe hijr-e-yaar se koi sazaa nahiN haiN baRee intizaar se Well said. Very nice sher. :-) ChaleN koi to mera...
by Anmol
Fri Sep 16, 2005 8:15 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: bandhan
Replies: 5
Views: 382

Waah bohot Khoob Tahira Aapi, bohot sacchi aur khari nazm kahi aap ne. Dil per asar kar gayi.

:-)
by Anmol
Wed Sep 07, 2005 10:01 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii(taaza ghazal)
Replies: 20
Views: 1700

kahin ho na jaaye mera ghar bhi raushan isi khauf se zau hijaaboN meiN guzrii Mera>>>>Miraa ok theek kar dungi magar sher kaisa laga? Sher bohot Khoob hay. :-) naseehat kya degaa woh naaseH ke jiskii hai shaam-o-sehar bas kharaaboN meiN guzrii "Kya" is always a long sound. I don't think k...
by Anmol
Wed Sep 07, 2005 7:55 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: aaKhir is dard ki dawaa kyaa hai ? :: ( t^araHi Ghazal )
Replies: 4
Views: 169

yaaran-e-meHfil , aadaab Jeete rahiyye. :grin: aaj hi meHfil-e-suKhan k pehle mushaai'ra maiN Ghalib ka ye miSra' " aaKhir is dar ki dawaa kyaa hai" diyaa gayaa thaa , so maiN ne aek adnaa si Ghazal keh Daali , ummed hai k apnee aaraa , tanqeed se nawaazeNge ! shukriya Adnaa si ghazal aur...
by Anmol
Tue Sep 06, 2005 11:06 pm
Forum: Moshaairah
Topic: tarhi Ghazal guz. NO 9 dard tha lazawaal kyaa karte
Replies: 8
Views: 635

Waah waah bohot Khoob ghazal hay Husaini Sahib....sabhi ashaar umda heN, mujhe sher#3 me lafz "nafs e natiqah" ka matlab bata deejiye. :-)
by Anmol
Tue Sep 06, 2005 12:08 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: shab-e-hijr merii azaaboN meiN guzrii(taaza ghazal)
Replies: 20
Views: 1700

Assalam-o-alaikum ahl-e-bazm! Walekum salaam, Khush raho dost! :) Is baar ek munfarid zameen meiN kuch likhne ki koshish ki hai...zameen khaasi mushkil lagi ab aap paRhiye aur bataaiye ke main kis hadh tak kaamyaab ho saki hoon ise nibhaane mein..shukriya :) aur han is baar sirf ek MATLA rakha hai ...
by Anmol
Mon Sep 05, 2005 2:13 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Jab kabhi DhoNDhne nikle the khushi ka chehrah
Replies: 16
Views: 1455

----- 1-Jab kabhi Dhoondne nikle thay khushi kaa chehrah hamko miltaa hii rahaa gham ka shanaasaa chehrah 3-chand saalaoN kii masaafat meiN Ajab haal houaa Dard kii dhoop paRii jal gayaa saaraa chehrah 4-Waqt-e-raftah se koii cheen ke laade mujhko Meraa masoom saraapaa vohi piyaaraa chehrah Dear Ra...
by Anmol
Mon Sep 05, 2005 1:53 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi
Replies: 12
Views: 1153

Re: TaraHi Ghazal / Guz.8 ke miSreA per: Irfan Barabankwi

wahi zinda rahega sar-khushi se jo samjhauta karega zindagi se miri ghairat Talab karti nahiN kuchh nibahey ja rahi hai tishnagi se bura hota hai yeh shauq-e-tajassus chhuRai isne jannat aadmi se kahiN behtar thi laa-ilmi hamari sukuN khuya hai apni aagahi se [/size][/color] Mohtaram Irfan Sahib , ...
by Anmol
Mon Sep 05, 2005 1:43 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHi Ghazal - -- - (Guz.8). Abdullah Nazir.
Replies: 11
Views: 993

Re: TaraHi Ghazal - -- - (Guz.8). Abdullah Nazir.

Mohtaram Nazir Sahib, adaab!

:-) Waah bohot Khoob ghazal hay, sabhi ashaar acche lage, lekin quoted sher paRh kar to bohot zyada lutf aaya. Waah kesi khinchayi ki hay meHboob ki. :grin: :wink:
WEBMASTER wrote:
miraa dil le ke bhii detaa nahiN kuch
paRaa hei waasTah kis maTlabi se
by Anmol
Fri Sep 02, 2005 2:04 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aek taazah Ghazal chouTi beHr meiN. Abdullah Nazir.
Replies: 12
Views: 1022

Re: Shukriya

Azeezah A N M O L Purkhuloos Tasleemaat, Aapki zarrah navaazi hei ke aap ne meri is chouTi beHar meiN kahii houi ghazal kiii pazeeraayi kii. Mujhe khushi hei ke aapke intikhaab meiN meri ghazal ke 2 sheAr shaamil houe. Meraa maqTaA hei: 16-chaand aaye jo Nazir ke ghar chaandni kii phaban dekhiye. D...
by Anmol
Wed Aug 31, 2005 1:24 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aek taazah Ghazal chouTi beHr meiN. Abdullah Nazir.
Replies: 12
Views: 1022

Re: Aek taazah Ghazal chouTi beHr meiN. Abdullah Nazir.

6-sabr kii Had se maiN baRhgayaa ab jabeeN per shikan dekhiye 12-saans mushkil se chalti hei ab zindagi kii thakan dekhiye [/size][/color] Mohtaram Nazir Sahib, adaab! ChoTi beHr meiN aap ki yeh Khoobsoorat ghazal paRhi, behad pasand aayi, khusoosi taur per quoted ashaar.. :-) Maqte meiN "phab...
by Anmol
Wed Aug 31, 2005 1:17 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aek maAmooli sii Ghazal Abdullah Nazir.
Replies: 4
Views: 251

Waah waah waah...........bohot hi zabrdast ghazal irshaad farmayi aap ne, Nazir Sahib.
by Anmol
Tue Aug 30, 2005 11:29 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: samagayaa suraj -aik taza ghazal
Replies: 16
Views: 946

Adaab, Mehtaab Sahib!

Hamesha ki tarah munfarid zameen le kar aaye heN aap. Ye ghazal bhi Khoob rahi, Khusoosi taur per matla aur sher#2 behad pasand aaye, DheroN daad pesh hay.
by Anmol
Tue Aug 30, 2005 11:08 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Sarwar Sahib ki di hui taraH per ghazal
Replies: 10
Views: 588

Re: Bahut khoob waah waah

Azeezah A N M O L Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Saare ke saare ashAar bahut dilkash heiN. [/size][/color] Waah waah Anmol kyaa kehne!. Isi TaraH apni sukhan gouii jaari rakhiye aur saare paRhne waalaoN ko Hairat meiN Daaliye ke kal kii mubtadi shaayeraat ne aaj aek munaasib muqaaqm ...