Search found 80 matches

by Brijinder
Tue Nov 23, 2010 10:06 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Sazaa
Replies: 0
Views: 1115

Sazaa

Sazaa Na raatoN ko hui naseeb apnay khwaaboN ki tabeer Na din meray nay payaa apnay ujaalon ka humnashiN Na mili sehra-e-jahaaN main zeest ko thandi chaaNv Na jazbaat meray nay paayaa aqs apna kahiN Tu to tha mushtaaq haqeeqat ki gawaahi hai Shiddat-e-ahsaas magar bani teri tabaahi hai Tunay gaRd m...
by Brijinder
Wed Nov 03, 2010 2:26 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Azm
Replies: 0
Views: 1135

Azm

Azm Jo waqt ki aaNdhi main bikhar gayay Nahi mujhko un tootay huay ghroNdoN ka malaal Na hi mujh main un maraahil ki qashis baaki JahaaN bechan-o-ajnabi sa rahay daur-i-hazir ka swaal Madhoshkun hai to bahut waqt-i-maazi main laut jaanaa Pathar kay but banaanaa aur un pay sar jhukaanaa Ik aqs-i-khu...
by Brijinder
Fri Oct 22, 2010 11:32 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Inki sadaaon say bachna
Replies: 1
Views: 1308

Inki sadaaon say bachna

Inki sadaayon say bachna Yeh nafarat ki hawaaon pay palnay waalay Ki mazhab jinkay hamesha khatray main haiN Apnay khyaaloN ko pahnaai hai khud salaasil Aur Dil quaid-tanha bahut kurakhat pehray main haiN Ki jnooN nay jinkay pehna hai mazhab ka naqaab Gunah-e-Qatl bhi jinko lagta hai swaab Inki sad...
by Brijinder
Mon Oct 11, 2010 8:08 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Apnay batay kay naam
Replies: 1
Views: 1328

Apnay batay kay naam

APNAY BATAY KAY NAAM NanhaiN pairoN pay dorta bachpan HaNsta gaata muskurata bachpan Teri kilkaarioN main sabaa kay jhoNkay Teri shokhi main bahaaroN kay aNdaaz Teri udaasi say tarap jaayay kahkashaaN saari Teri tutlahat main raagoN ka riyaaz Koi Suqraat bhi kya teray zauq-e-talab kay aagay Teri mas...
by Brijinder
Mon Oct 04, 2010 6:54 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Kaisay hua yeh??
Replies: 0
Views: 555

Kaisay hua yeh??

Kaisay hua yeh??? Ik waqt tha k mujhsay milnay ki umeed baraa daiti thi teray dil ki darkan Pighal jaati thi tum meri baahoN maiN aakar Bun jaati thi bus mera unwaan-e-sukhan Teri aankhoN maiN umar umar aataa tha pyaar Meray liyay tha teray jism-o-jaaN ka saraa khumaar meri furqat guzarti thi bun k...
by Brijinder
Wed Sep 29, 2010 3:51 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Kaisa ha yeh dil??
Replies: 0
Views: 385

Kaisa ha yeh dil??

Kaisa hai yeh dil??? Ab jab toot gayay haiN sub bharam to keh sakta hooN MaiN juda ho kay bhi tujhsay shayud khush reh sakta hooN Ab na tarsayNgi teray liyay nghaaiN meri Ab na jaayNgi teri jaanib raahaiN meri Ab na torayga mujhay teri furqat ka gham Ab na tarpaygi teri liyay baahiN meri Fason-e-ge...
by Brijinder
Fri Sep 24, 2010 7:51 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Ishq
Replies: 0
Views: 403

Ishq

Ishq Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai Yeh hawis bhi hai pakeezgi bhi hai Shokhi bhi hai ishq- Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi- Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai Ishq rif_at bhi aur w...
by Brijinder
Mon Sep 13, 2010 10:10 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Waqt-e-furqat
Replies: 0
Views: 370

Waqt-e-furqat

WAQT-E-FURQAT Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil Socha bhi naa thaa Woh chaNchal si khilkhilahat Woh tumhari maNd maNd si muskaan Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan Woh tumhaaraa meri baa...
by Brijinder
Fri Sep 03, 2010 8:32 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Ab aur nahiN.....
Replies: 1
Views: 389

Ab aur nahiN.....

Ab aur nahiN..... Shikwa na shikayat Na jazboN ki inayat Khilkhilahat na chulbulahat Kulbulahat na kasmsahat Na jismoN ki garmiaN Na baatoN ki narmiaN Na aakhoN ki woh baataiN Na khwaaboN maiN doobi raataiN Na teray husn ka barsay mujh pay jaadoo Na meray she'r karaiN jazbay teray bekaboo Jab besaa...
by Brijinder
Mon Aug 30, 2010 8:09 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: aakhiri saughaat
Replies: 0
Views: 330

aakhiri saughaat

Aakhiri Saughaat Jis tamnna ko jiya tha tanhaioN main kai baar Us ahsaas ki tabeer mili aaj mujhay gha_ir ban kar Woh dulhan to bani baithee thi sakhioN main Woh baraat magar ghar say meray na aayee thi Udhar who ho rahi thi kisi ki umr bhar kay liyay YahaaN yakhbasta waqt tha aur meri tanhaai thi ...
by Brijinder
Fri Aug 20, 2010 3:06 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Hijr-o-visaal
Replies: 0
Views: 331

Hijr-o-visaal

Hijr-o-visaal FazaoN ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki Afsurda badaloN mein se chand phir muskuraya hai Takhleeq meri meinNphir aaney lagey hain shokhioN ke dum Labon pe phir koyee mast naghma ubhar aayaa hai Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera Phir se chayee hai takkh_ ul pe aarzuonN...
by Brijinder
Sat Aug 14, 2010 7:53 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Zabt ki kasam di hai usnay
Replies: 0
Views: 292

Zabt ki kasam di hai usnay

ZABT KI KASAM DI HAI USNAY Zaahir na ho jayay meri udaasi, meri tanhai Meray dil ki kasak aur badan ki angrai Ubhar na aayay chayhray parmeri betaabioN kay naqoosh Sunaa na day kuch meri usko Pyaar say nihaarti aankhaiN Kadam aadtan na chal paraiN uski jaanib Aur ban jayay uski pashymaani ka sabab ...
by Brijinder
Sat Aug 07, 2010 9:30 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay
Replies: 1
Views: 358

Woh mujhsay sa yoon daaman churaane lagay

wo mujh se yoon daaman chuRaane lage ki guzre huwe din fasaane lagay jo kal tak muhabbat ka izhaar the wahi ab hawas ke bahaane lagay lagaa`o na pehre yooN khushbu`oN par haiN haasil meN jin kay zamaane lagay pighal jaate baahoN maiN jo thay kabhii bahut faasle ab banaane lagay guzishta jo shab ka h...
by Brijinder
Tue Aug 03, 2010 11:52 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Yaad-e-mehboob-e-maazi jagaanay chalay
Replies: 2
Views: 425

Yaad-e-mehboob-e-maazi jagaanay chalay

yaadgaar-e-guzishtah jagaane chale Khud ko phir aaj hum aazmaanay chalay kar gayii ham ko diiwaana fan ki lagan uqta kay dost bhii sabh puraanae chale dard pii kar chale ham to kuu-ye-ghazal phir se haiN/[ham] rasm-e-ulfat nibhaane chale baaqii ummeed kii lau nahiiN bin teray zindagi "saagar&qu...
by Brijinder
Thu Jul 29, 2010 8:58 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Baarish
Replies: 1
Views: 335

Baarish

Baarish

Swaab si lagi mujhay
Us din baarish ki woh phuaar
Jab
Meray chayray ka usnay
Apnay aaNchal say poNcha paani

----------------------