Search found 80 matches

by Brijinder
Fri Jul 16, 2010 9:48 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Twaayuf
Replies: 0
Views: 294

Twaayuf

I wrote this poem a long time back in 1982 but wanted to share it with you.This also reflects my antipathy towards hypocracy of our society. Twaayuf Tu bani kisi ghar ki zeenat Main kisi kothay ki numaish Tera khwaab hua haqeeqat Rahi jhooti meri khwaahish Aurat mujh main bhi thi,haaN,dafnaa di thi ...
by Brijinder
Wed Jun 30, 2010 8:39 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai
Replies: 0
Views: 315

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai

Waqt ki aankh se dekho to yeh bahut puraanii lagti hai Teray meray ishq ki baat ab faqt kahani lagti hai Ban ke lahu takhleeq mirii kii ragh ragh men woh behti hai Larki jo naadaan kabhii ,kabhii bahut siyaanii lagti hai Ek ahad par maiN ne guzaarii tanha apnii umr tamaam Aaj koyii soche to shaayad ...
by Brijinder
Sun Jun 27, 2010 4:24 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Yaad-e-mehboob-e-maazi jagaanay chalay
Replies: 0
Views: 342

Yaad-e-mehboob-e-maazi jagaanay chalay

yaad-e-mehboob-e-maazi jagaanay chalay Khud ko phir aaj hum aazmaanay chalay kar gayii ham ko diiwaana fan ki lagan uqta kay dost bhii sabh puraanae chalay dard pii kar chale ham to kuu-e-ghazal phir se ham rasm-e-ulfat nibhaane chalay bin tire baaqii ummeed kii lau nahiiN zindagi "saagar"...
by Brijinder
Tue Jun 22, 2010 8:45 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: NighaiN tujh say aye dost milaauN kahaan say
Replies: 2
Views: 502

Re: NighaiN tujh say aye dost milaauN kahaan say

Aap shayad theek farmaatay haiN Minir bhai lekin jaisy angerayzi main kehtay haiN:Each to his own. Mera to yehi raasta rah aur koi ghum nahi.
Shukriya janaab.
by Brijinder
Sun Jun 20, 2010 9:59 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Waqt Say
Replies: 0
Views: 311

Waqt Say

Waqt Say Apnay khaNjar ko jaisay chahay aazmaa lay Ki teri hasrat bhi na rehay baaki Jab talak chaahay latka lay mujhay TanhaaioN ki saleeb Jab talak chaahay aasraa na day Meray thakay muqaddar ko Tujhsay nighaiN milaanay ka jurm kiya Jaantaa hooN Magar us jurm pay fakhar hai mujhko Naaz hai mujh k...
by Brijinder
Mon Jun 14, 2010 8:36 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: NighaiN tujh say aye dost milaauN kahaan say
Replies: 2
Views: 502

NighaiN tujh say aye dost milaauN kahaan say

NighaaiN tujh say aye dost milaanuN kahaaN say NahiN milti meri duniya teray jahaN say Tujhay khauf khud say tu jiyaya mehfiloN maiN Tanha lagay haiN mujhko majmay sab yahaaN say Ajnabi ban kay lagay milnay woh chehray aashna say Chup kay say uth kay aa gaya maiN isliyayay wahaaN say Meri terah meri...
by Brijinder
Mon Jun 07, 2010 8:49 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Waqt-e-furqat
Replies: 0
Views: 286

Waqt-e-furqat

WAQT-E-FURQAT Yeh waqt-e-furqat kitna kathin hai meri jaaN Hoga mushkil maanaa tha, magar itnaa mushkil Socha bhi naa thaa Woh chaNchal si khilkhilahat Woh tumhari maNd maNd si muskaan Woh tumharay badan say aatay bahaar kay jhoNkay Woh tumhaari saadgi maiN daanaai kay imkaan Woh tumhaaraa meri baa...
by Brijinder
Thu Feb 04, 2010 1:29 am
Forum: Nacri Kalaam
Topic: TalkhiaN
Replies: 0
Views: 382

TalkhiaN

TalkhiaaN Tu mujh pe karay sang ki baarish MaiN zubaN bhi hilauN to gunahgaar banuN MaiNney banaaya aazaadi ko ahud apna Teri tamn_na ki maiN tera ahalkaar banuN Meri takhleeq meiN nahiN jo shokhioN ke dum To teri nazar meiN koi sukhnwar hi nahiN MaiN afkaar ki hudd se guzar jaaney ka huiN Qayal Au...
by Brijinder
Sat Jan 02, 2010 7:51 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Baarish
Replies: 0
Views: 326

Baarish

Baarish

Swaab si lagi mujhay
Us din baarish ki woh phuaar
Jab
Meray chayray ka usnay
Apnay aaNchal say poNcha paani

----------------------
by Brijinder
Tue Dec 22, 2009 7:19 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Dard-e-tanhai
Replies: 0
Views: 347

Dard-e-tanhai

Dard-e-tanhai Aao lay jao meray dil kay khazanay SeeNch daalo yeh apnay gulshan veeranay TanhaaioN ka zehar piya hai is amrit kay liyay TaNz-o-fiQroN maiN jiya hai is amrit kay liyay Barti gayi,barti gayi aur talaash tab junoon ho gayi Meri deewanagi mehfiloN maiN haNsi ka majmoon ho gayi Ukta kay ...
by Brijinder
Thu Dec 03, 2009 7:13 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Bayzaar
Replies: 0
Views: 310

Bayzaar

Bayzaar Tujh tak nahiN pahuNchati ab meray dard ki sadaa Dil hai badhawaas ki aakhir kya hua Tu hi mujhay bataa yeh insaaf kya hua Kiska tha gunaah aur kisko mili saza Bahut roya,tarpa,hua bahut bayzaar dil Toonay magar kaha ab gham maiN din guzaar dil Makhsoos meray liayay thay woh teray jo ahsaas...
by Brijinder
Fri Nov 13, 2009 9:33 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam
Replies: 0
Views: 260

Aik paghal nazm paghal samaajoN kay naam

Aik Paaghal Nazm Paaghal SmaajoN Ke Naam Raakh barseygi aasmaanoN se Fiza meiN bhar jaigi qabaroN ki haddiaN Apna hi lahu bahyga dariya dariya NiklyaNgay naNgay-jism murdoN ke juloos Kuttay roiNgay muNh aflaaq pe dhar kar Aur raqs karaNygee siyaaroN ki hookeiN AaNkh barsa karEygi naalioN ke keeRay ...
by Brijinder
Fri Oct 23, 2009 11:35 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: hijr-o-visaal
Replies: 0
Views: 276

hijr-o-visaal

Hijr-o-visaal Fazaon ko phir vajeh si mil gayee mahakane ki Afsurda badalon mein se chand phir muskuraya hai Takhleeq meri mein phir aaney lagey hain shokhion ke dum Labon pe phir koyee mast nagma ubhar aayaa hai Phir se gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera Phir se chayee hai takkh_ ul pe aarzuon k...
by Brijinder
Sat Oct 03, 2009 8:20 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Ishq
Replies: 0
Views: 350

Ishq

Ishq Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai Yeh hawis bhi hai pakeezgi bhi hai Shokhi bhi hai ishq- Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi- Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai Ishq rif_at bhi aur w...
by Brijinder
Tue Sep 15, 2009 10:04 pm
Forum: Nacri Kalaam
Topic: Alvida
Replies: 0
Views: 255

Alvida

ALVIDA Na tujh pay jafa ka koi ilzaam Ma maiN apni ulfat pay sharamsaar Tagaful na peshaymaani na koi shiqayat Bus zindagi ko dekha apnay apnay andaz say humnay MaiN ishq ko samjhta hooN zindgi ka muqaddar Tunay muqaddar ko bus zindagi samjha MaiN jin zulmatoN pay uthata raha barbat-i-baghaawat Tun...