Search found 102 matches

by PK Swami
Tue Jul 12, 2005 7:48 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 106264

agar tum huey muskuraane pe maaiel
to aa jayegaa mausam.e barq.o.baraaN
agar muskuraogey to chamkegee bijlee
haNsoge to pholooN kee barsaat hogee

PK Swami
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 6:15 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 106264

kuchh samajh kar hee huaa hooN, mauj.e dariyaa kaa hareef
varnaa maiN bhee jaantaa hooN, aafiyat saahil maiN hai



PK Swami
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 6:11 pm
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 43989

ghair apne hoNge, shereeN ho agar apnee zabaaN
dost ho jate haiN dushman, talkh ho jiskee zabaaN

yak bayak tark.e mulaaqat meiN ruswaaie hai
uljhe daaman ko chhuRate naheeN jhaTkaa dekar !


PK Swami
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 6:06 pm
Forum: Anjuman
Topic: Shair ka jawab shair main dejeye
Replies: 637
Views: 98481

kis ghazab meiN hai, kis aafaT meiN hai, kis mushkil meiN hai
dam meraa khanjar meiN hai khanjar kaf.e qaatil meiN hai

PK Swami
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 5:53 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 77551

gayaa! par kuchh na kah paayaa maiN apnaa Haal-e-dil unse kaf-e-afsos maltaa rai'h gayaa maiN chaarsoo barsoN KhizaaN pamaal kar detee hai gulshan ke har ek gul ko NaheeN jaataa magar qalb.o.jigar se rang.o.boo barasoN Rafoogar dete aaye haiN tasallee umr bhar lekin Jo dil par zakhm aa jaye naheeN h...
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 5:23 pm
Forum: Anjuman
Topic: SAWALIYAH ASH,AAR========
Replies: 421
Views: 47435

kisko hai husn.e khudadaad kaa davaa dekheN kis kaa cheHraa naheeN minaatkashe ghazaa dekheN ! aisee karwaT bhee koi karwaT hai ? jiske pehloo meiN inqlaaB na ho! saHne gulshan na sahee, dasht kaa aaghosh sahee vaHshate dil ke liye koi to ghar paidaa kar ! rukaa rukaa sa tabassum, jhukee jhukee see ...
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 4:38 pm
Forum: Anjuman
Topic: Harf-e-"CHE" se ash'aar raqam kijiiye...plz.
Replies: 65
Views: 13540

chal sath k hasrat dil.e marhoom se nikle aashiq kaa janaazaa hai zara dhoom se nikle chaak hai daamane qabaa.e baHaar mere khwaabooN ke peRhan kee tarah chalee duniya meiN rasm.e sazdaa rezee kuchh unke dar se kuchh merii zabeeN se choree kaheeN khule na naseem.e bahaar kee khushboo uRaa ke laayee ...
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 3:57 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Maine kab teri muhabbat ki qasam khaee hai
Replies: 4
Views: 316

Maine kab teri muhabbat ki qasam khaee hai

Sabhee dostoN ko meraa salaam! Aap kee khidmat meiN Suleman Areeb kee aik ghazal pesh hai. Umeed hai pasand aayegee. Ye bhee shayad teraa andaaz.e dil.e aaraaie hai Hamne har saaNs pe marne ki sazaa paaee hai Kaisa paigham kahaaaN se ye sabaa laaee hai Shaakh.e gul subh.e baharaaN hi meiN murjhaaee ...
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 3:38 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#13--"TAMANNA / ARMAAN "
Replies: 44
Views: 11980

yaraane mehfil aadaab. lafz tamanaa/aarzoo par jo sher mujhe yaad aa rahe haiN, pesh kar rahaa hooN. agar ek se jiyaadaa sher likhnaa munaasib naheeN to maazratkhwaaH hooN. aapkaa izhaar.e pasandgee mere liye hausalaa afzaaie hogee! tamanna thee agar apnee to ye thee aakhiree apnee k tum saahil pe h...
by PK Swami
Sun Jul 10, 2005 4:23 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Chand Cehra Sittara Aankhain............By Obaidullah Aleem.
Replies: 12
Views: 1207

Janab Nazir Saheb aadaab. mere baare meiN aapke khayaal ke liye maiN aapkaa tah.e dil se mamnoon hooN. haqeeqat ye hai k mujhe urdu zabaan se enthaai muhabbat ho gayee hai. ye baat aur hai k meri taalim hindi aur english meiN huee. iss ishq se luftanzoz hone ke liye urdu likhne parHne kee mashq kart...
by PK Swami
Fri Jul 08, 2005 1:39 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Chand Cehra Sittara Aankhain............By Obaidullah Aleem.
Replies: 12
Views: 1207

Nazir Sahib aadaab maiN aapkaa tah.e dil se shukrguzaar hooN k aap ne ye kalaam roman urdu meiN post karne kee zehmat qabool kee. paRh kar bohat luft aayaa. nazm bohat hee ravaaN davaaN hai aur dil ke bohat hee qareeb se guzree hai. afshaa.e raaz, shaane vafaa,emthaane sabr aaj ek khaamshee ne baRe ...
by PK Swami
Thu Jul 07, 2005 3:14 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Chand Cehra Sittara Aankhain............By Obaidullah Aleem.
Replies: 12
Views: 1207

I shall be grateful if someone kindly posts a roman urdu version of this poetry.

PK Swami