Search found 483 matches

by Mahtab Qadr
Wed Jan 26, 2005 9:07 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ilm o fun ke saiyebaN aik Ghazal
Replies: 10
Views: 643

Ilm o fun ke saiyebaN aik Ghazal

Khaleeji mulkoN se halaat ke taqaze par apne watan rukhsat hone holoN ko dekh kar kuch sher kahne ki koshish ki thi..aap bhi dekye aur raye se nawaziye. shukria Ilm o fun ke sayebaaN jaanay lagay karwaaN ke karwaaN jaanay lagay dhoop sahraaoN ki itni barh gaayi tayeraan e khusbayaN jaanay lagay bark...
by Mahtab Qadr
Tue Jan 25, 2005 7:31 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75267

di

Shummu wrote:tujh se kis tarah mai.n izhaar-e-tamannaa karataa
lafz suujhaa to maanii ne baGaavat kar dii


lafz/dii
di mujhe us ne mohabbat ke ewaz mai nafrat
mai khareedar raha,phir bhi khasaare mai raha

khasaara
by Mahtab Qadr
Tue Jan 25, 2005 6:57 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Allama Iqbal ka kalaam
Replies: 6
Views: 1061

Re: Shukriyah

[color] Janab Bhaayi Mahtab Qadr Saahib [/color] Purkhuloos Tasleemaat, :) Aap ne likhkhaa hei: ((( Mohatram ul muqaam Abdullah Nazir sahib aappki tashreeh aur wazahat umeed ke qaraeen ne note karli hogi. mamnoon hoN aapkiis yaad dihaani ka magar is baat ki islah mere bas mai yoN nahi ke ye Ghazal ...
by Mahtab Qadr
Tue Jan 25, 2005 6:31 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Aadaab
Replies: 6
Views: 477

Re: Aadaab

sabi wrote:Sab Urdubandhan members ko mera salaam!!
ummeed hai ki aap sab log ka har din khushiyon sey bhara rahein :) :D

Sabi
Sabi aap ko bhi ham sab ki taraf se behad khushaamdeed aur tashreef laane ka shukria, Allah aapko hamesha khush rakhe .
Mahtab Qadr
by Mahtab Qadr
Tue Jan 25, 2005 6:30 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Aadaab
Replies: 6
Views: 477

Re: Aadaab

sabi wrote:Sab Urdubandhan members ko mera salaam!!
ummeed hai ki aap sab log ka har din khushiyon sey bhara rahein :) :D

Sabi
Sabi aap ko bhi ham sab ki taraf se behad khushaamdeed aur tashreef laane ka shukria, Allah aapko hamesha khush rakhe .
Mahtab Qadr
by Mahtab Qadr
Mon Jan 24, 2005 2:24 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Bahut bahut mubaarak Mahtab Qadr Sahib ko Administatership
Replies: 29
Views: 2897

Mahtab Qadr Sahib Asslam Alaikom. Hum chand meter ke faasle par rehte huay mulaqat nahiN hoti. Urdubandhan eh kami puri kar raha hai. Bohat bohat Mubarak. Salem Bashwar Walaikum salam va rahma sahi farmaya aapne salem bhai. koshish karte haiN inshallah jald mulaqat ki. Abdullah bhai se maloom hva t...
by Mahtab Qadr
Sat Jan 22, 2005 3:13 pm
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Iqbaliat aur maher e nafsiat
Replies: 1
Views: 570

Iqbaliat aur maher e nafsiat

ماہر نفسيات سے


جرات ہے تو افکار کي دنيا سے گزر جا
ہيں بحر خودي ميں ابھي پوشيدہ جزيرے
کھلتے نہيں اس قلزم خاموش کے اسرار
جب تک تو اسے ضرب کليمي سے نہ چيرے
by Mahtab Qadr
Sat Jan 22, 2005 2:32 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Khumaar-e-baadah-e-Sad-soz-o-saaz kyaa jaaneN?
Replies: 15
Views: 1899

mukarramee Mehtab SaaHeb:aadaab! aap ke Khut^oot^ ko paRh kar maiN is nateejah par poNhchaa hooN keh ham donoN alag alag :wave lengths: par haiN aur :ijtimaa'-e-Z^iddain: kee koyee ummeed naheeN hai. aap ne jo kuch` kahaa hai woh aap kee taaweelaat ke nateejeh meN SaHeeH ho gaa aur mujh` ko in se k...
by Mahtab Qadr
Sat Jan 22, 2005 1:55 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Nasha badan mai utarta sharaab lafzoN ka
Replies: 13
Views: 1253

Mahtab Sb, aadaab! aap kii Ghazal dekhii, aur lutf.andoz huaa. baRii naadir taraakeeb istemaal kii haiN aap ne, aur Ghazal qaarii par apnaa asar chhoRne meN kaamyaab hai. daad qubuul keejiye! niyaazmand, Irfan :Abid: Mohatram Irfan Abid sahib, salaam e masnoon aapki is napi tuli aur fankarana daad ...
by Mahtab Qadr
Sat Jan 22, 2005 1:49 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Nasha badan mai utarta sharaab lafzoN ka
Replies: 13
Views: 1253

Assalam-o-a'laikum, moHtarami M.Q SaaHib , aap ki yeh dil-kash ghazal paRhee to bahut pehle thee, magar bar-waqt jawaab na de saka, jis keleye maiN tah-e-dil se maa'zirat chaahta hoN :oops: . aap ne to kamaal kardiyaa SaaHib !! kyaa dil-kash payraaye maiN itne u'mdah mazaameen ko qalam-band kardiya...
by Mahtab Qadr
Sat Jan 22, 2005 1:46 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Nasha badan mai utarta sharaab lafzoN ka
Replies: 13
Views: 1253

Wah Wah Wah bahut khoob Mahtab sahab....takraar-e-lafzi behad pasand aayi ghazal mein....ek ek sher lajawaab hai..dher saari daad haazir hai is khoobsurat ghazal pe :) Shumaila Shummu ji ,Nawazish , Karam , Shukria , Mahrbaani Is walihaana aur purkhuloos daad ke lye mashkoor hoN. Mahtab Qadr
by Mahtab Qadr
Sat Jan 22, 2005 1:32 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Allama Iqbal ka kalaam
Replies: 6
Views: 1061

Re: Shukriyah

Janab Mehtaab Qadr saahib Purkhuloos Tasleemaat, :) Aap ne Allamah Iqbal kii aik mash'hoor ghazal paish karke urdubandhan ke paRhne waalaoN ko mamnoon farmaayaa. "MaiN hii tou aik raaz thaa seena-e-kaa'inaat meiN" Is misreA meiN lafz "aik" kii bajaaye "ik" hougayaa hei...
by Mahtab Qadr
Sat Jan 22, 2005 12:48 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Welcome Nusaybah
Replies: 9
Views: 680

Re: Welcome Nusaybah

sara_j wrote:[rainbow][h1]
KHUSHAMDEED
[/rainbow][/h1]

Nusaybah saahib Mehfil-e-Urdubandhan mein aapka swaagat hai
Khushaamdeed naye mahman Nusaybah ji ke lye :)

Mahtab Qadr
by Mahtab Qadr
Fri Jan 21, 2005 4:54 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75267

aarzoo

sara_j wrote:main aarzuu-e-jaaN likhuuN yaa jaan-e-aarzuu

tuu hii bataade naaz se iimaan-e-aarzuu


tuu hi / aarzu
tuu hi bataade naazneeN ye kaun naaz hai
tujh par khula ye kaise mire dil ka raaz hai (mazahiya filbadeeh)
by Mahtab Qadr
Thu Jan 20, 2005 7:04 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: abhi kuch log haiN uspaar meray
Replies: 13
Views: 1366

Re: abhi kuch log haiN uspaar meray

Jeddah mai di gai aik tarah,:abhi kuch log haiN uspaar meray" par kahi gai aik ghazal.. unhaiN katwa rahay the yaar meray shhajar the jitnay sayadaar meray kahaN gum ho gaye haiN naqsh e pa sab huve kioN raastay dushwaar meray badaltay maosamoN ke saath badlay vo jo ahbaab thay dochaar meray k...