Search found 427 matches

by hassan_bashir
Wed Aug 16, 2006 6:59 pm
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar #31---dil/jigar
Replies: 143
Views: 32355

Khudaa rakkhe muhabbat ke liye aabaad donoN ghar!!!!!!!!!!!!!!!!
maiN un ke dil meiN rahataa huuN vo mere dil meiN rahate haiN!
by hassan_bashir
Wed Aug 16, 2006 6:56 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 76399

kiyaa hai pyaar jise ham ne zindagii kee tarah
voh aashnaa bhii milaa ham se ajnabii kee tarah

~ vo / tarah ~
by hassan_bashir
Wed Aug 16, 2006 6:47 pm
Forum: Moshaairah
Topic: KHaak ummideeN huyeeN gard-e-safar ki Surat....by farhan
Replies: 11
Views: 1510

Farhan saaHib aadaab arz hai! mushaire meiN aap kee shirkat baaic-e-masarrat huii, mashaallah kaafi saare ash'aar kahe haiN aap ne. "Allah kare zor-e-qalam aur ziyadah" isii tarah likhate raheN aur apne kalaam sunaate raheN. abhi tak mohtaram ustaad ke tabSirah ka inteZaar hai aap ke kala...
by hassan_bashir
Wed Aug 16, 2006 6:40 pm
Forum: Moshaairah
Topic: TARAHI GHAZAL - -- - (GUZ.20) by: ABDULLAH NAZIR.
Replies: 13
Views: 1742

mohtaram Nazir saaHib: Aadab!

hamesha kee tarah is maah bhii aap ke kalaam ne mushaire kee raunaq do-baalaa kee, tamaam hii ash'aar nihaayat umda'h haiN.

is shaandaar kalaam par khaaksaar kee jaanib se dilee mubaarakbaad qubuul keejiYe. :rose


Talib-e-Dua'a

~ Hassan ~
by hassan_bashir
Wed Aug 16, 2006 6:36 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Meree tarahee ghazal (Guzarish # 20)
Replies: 10
Views: 1041

mohtaram Jawaid saaHib:aadaab!

is maah bhii mushaire meiN aap kaa kalaam khuub rahaa, tamaam hii ash'aar pasaNd aaye aur girah bhii aChhi lagaaii haii.

lihaaza khaaksaar kee jaanib se daad aur mubaarakbaad qubuul keejiYe. :rose

~ Hassan ~
by hassan_bashir
Wed Aug 16, 2006 6:33 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish # 20 .......... Sara Jabeen
Replies: 5
Views: 844

Sara jii aadaab arz hai!

so aaj kaa kalaam nazar navaaz huaa, aChhe ash'aar kahe haiN aap ne mujhe to sabhii pasaNd aaye.

so daad qubuul keejiYe. :rose

~ Hassan ~
by hassan_bashir
Tue Aug 15, 2006 4:17 pm
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 64648

kaheN kyaa jo puuchhe koii ham se "Meer"
jahaaN meiN tum aaye the, kyaa kar chale
by hassan_bashir
Tue Aug 15, 2006 4:09 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 102323

Sana saaHiba,

is bazm meiN ham aap ko tah-e-dil se khushaamadeed kehte haiN!

ummid hai ke aatee raheN gii. :-)

bohat aarazuu thee galee kee tiree
so yaaN lahuu meiN nahaa kar chale
by hassan_bashir
Mon Aug 14, 2006 10:10 am
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal (20)
Replies: 13
Views: 1250

Amjad bhai aadaab! eik muddat ke baad aap kee koee Ghazal paRhane ko milee aur paRh kar nihaayat masarrat huee. gaahe gaahe agar koee aisee GhazaleN sunaa diyaa kareN to kyaa harj hai :grin: aur aap ne dekhaa ke aap ke kalaam ka kyaa acar hotaa hai? ba-qaul-e-Zia saaHib ke aap kee Ghazal se mutassi...
by hassan_bashir
Mon Aug 14, 2006 9:58 am
Forum: Moshaairah
Topic: Amjad SaaHib k naam> koi chhaayaa hai mire dil pe saHar k
Replies: 8
Views: 805

Zia bhaii aadab arz hai!

kaise mizaaj haiN? :-)

arre bhaii vahh aap ne to raat bhar meiN yeh shaandaar mehal taameer kar diyaa - - - - bohat aChhe! :grin:

mazaaq-bar-taraf, Ghazal bohat umda'h hai mujhe to saare hee ash'aar pasaNd aaye so daad haazir hai. :rose

khush raheN!

~ Hassan ~
by hassan_bashir
Thu Aug 10, 2006 4:17 pm
Forum: Anjuman
Topic: tasveer
Replies: 1
Views: 477

janaab Ummasad saaHib!

lafz "Tasveer" par pehle hii thread bana'ee jaa Chukee hai, aur ehbaab us par kaafi she'r ataa bhee kar Chuke haiN haiN, zara do qadam niChe jaa kar dekheN. :grin:

baraa-e-karam koee aur lafz tajveez keejiYe. :-)

Shukriayh!
by hassan_bashir
Thu Aug 10, 2006 11:46 am
Forum: Anjuman
Topic: SAWALIYAH ASH,AAR========
Replies: 421
Views: 46602

kyaa jaane likh diyaa kyaa use izteraab meiN?
qaasid kii laash aaii hai Khat ke javaab meiN!
by hassan_bashir
Thu Aug 10, 2006 11:32 am
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar #31---dil/jigar
Replies: 143
Views: 32355

Sara jii! she'r dekhiYe?!


*dil* se apnaa rabt puraana *Gham* se geharii yaarii hai
jitane bhii haiN jaan ke dushman sab se rishtedaari hai :grin:
by hassan_bashir
Thu Aug 10, 2006 11:18 am
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 41062

mujhe insaaniyat ka dard bhi bakhshaa hai qudrat ne
meraa maqsad faqat sholaa-nawaayi ho nahiN saktaa
by hassan_bashir
Thu Aug 10, 2006 11:13 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 102323

jaane kyaa TuuTaa hai paimaana ke dil hai miraa
bikhare-bikhare haiN khayaalaat mujhe hoNsh naheeN