Search found 427 matches

by hassan_bashir
Wed Jul 05, 2006 12:53 pm
Forum: Anjuman
Topic: SAWALIYAH ASH,AAR========
Replies: 421
Views: 46273

ab kyuuN na ziNdagi pe muhabbat ko vaar deiN?!
is aashiqii meiN jaan se jaana bahut hua!!
by hassan_bashir
Wed Jul 05, 2006 12:51 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101539

tere naaz ke badaulat kabhii Gham ko Gham na samajhaa,
terii arazuu kee Khaatir kabhii maut bhii na chaahii!
by hassan_bashir
Wed Jul 05, 2006 12:47 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75597

huii jinase tavaqqo Khastagii kee daad paane kee
vo hamase bhii ziyaadaa Khastaa-e-teGh-e-sitam nikale

vo / nikale
by hassan_bashir
Wed Jul 05, 2006 12:41 pm
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 64090

haath pahuNche bhii na the zulf dotaa tak "Momin"
hathakaRii Daal dii zaalim ne Khataa se pahale
by hassan_bashir
Wed Jul 05, 2006 12:38 pm
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar #31---dil/jigar
Replies: 143
Views: 32169

dil le ke muft kehte haiN: kuChh kaam kaa nahiiN!
ulTii shikaayateN huiiN, ehsaan to gaya!
by hassan_bashir
Thu Jun 15, 2006 12:00 pm
Forum: Anjuman
Topic: SAWALIYAH ASH,AAR========
Replies: 421
Views: 46273

vo gul_farosh kahaaN ab? gulaab kis se luuN?
nahiiN rahaa meraa saaqii sharaab kis se luuN?!
by hassan_bashir
Thu Jun 15, 2006 11:14 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101539

huaa nah jin se kabhi meri chashm-e-ter kaa ilaaj,
vo mere chaak girebaaN ko kyaa rafuu karte?!

Shaayar: Abdullah Nazir. :-)
by hassan_bashir
Thu Jun 15, 2006 11:06 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75597

vo mujhase puuChhate haiN eik maqasad merii hastii kaa
bataauuN kyaa ki meraa mudda'a yuuN bhii hai aur yuuN bhii

bataauN / bhii
by hassan_bashir
Thu Jun 15, 2006 11:00 am
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 64090

mujh ko jiNho.ne qatl kiyaa hai koii uNheN batalaaye "Nazeer"
merii laash ke pahaluu meiN vo apanaa KhaNjar bhuul gaye
by hassan_bashir
Tue Jun 13, 2006 7:48 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Munfaird qawafee meN meri taza Ghazal
Replies: 8
Views: 414

mohtaram Javed saaHib aadab arz hai ! Vahh Vahh Vahh !!!!!!!!!!!!!!!! bohat khuub janaab bohat khuuuub, kyaa Ghazal ki Ghazal kahii hai hazrat, Vahhh! itanii mushakil zameen ko bhii aapne baRii khubii se she'roN ke saaN.che meiN dhaale hai, yaqeenan! yeh aap kii kohna-mashqi ka subuut hai. is behta...
by hassan_bashir
Tue Jun 13, 2006 7:18 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek maAmooli si taazah ghazal: Abdullah Nazir.
Replies: 2
Views: 89

janaab mohtaram Ustaad Nazir saaHib: Aadab ! hazrat aap ka kalaam aur voh maamuuli, bhalaa yeh kaise mumkiin hai? Ghazal Chaahe mukhtasar ho magar phir bhii mujhe jaise kaYee naYe likhaaRiyoN ko aap ke har kalaam se kuCh na kuCh ilm-e-sukhan zaruur haasil hotaa hai. :-) ba.har.haal GHazal ke tamaam...
by hassan_bashir
Tue Jun 13, 2006 7:07 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: EK Taza Ghazal...!!
Replies: 3
Views: 253

janaab Munir saaHib aadab! Ghaaliban aap se pehli mulaaqaat hai, Inshaallah aage bhii hoti rahe gi. :grin: aap kii Ghazal nazar-navaaz huii. Mashaallah bohat khuub likhate heiN aap. Allah kare zor-e-qalam aur ziyadah...AAmin!! Ghazal ke tamaam hii ash'aar bohat umdah aur laaiq-e-sad tehseen heiN. i...
by hassan_bashir
Tue Jun 13, 2006 8:36 am
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 40852

baat jo keejiYe aur jab keejiYe!!!!!!!!!!!!!!!!!
saath meiN zikr-e-mahbuub-e-rab keejiYe!!
by hassan_bashir
Tue Jun 13, 2006 8:34 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz per ashaar # 30 junooN/bekhudi/deewaanagi
Replies: 38
Views: 7206

tumhaarii mashelat aChhii k apna yeh junuuN behtar?!
saMbhal kar girne vaalo! ham to gir gir kar saMbhalte haiN!!
by hassan_bashir
Tue Jun 13, 2006 8:30 am
Forum: Anjuman
Topic: SAWALIYAH ASH,AAR========
Replies: 421
Views: 46273

ham par jo karam haiN, to adu par bhii navaazish!
kya Khaak rahe qadr tire qaul-o-qasam kii?!