Search found 427 matches

by hassan_bashir
Thu Oct 06, 2005 1:53 am
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal ...Guz #10
Replies: 8
Views: 650

Re: Bahut khoob

Janab Hassan Bashir Saahib, Purkhuloos Tasleemaat, Aapki ghazal bahut pasand aayi jiske liye daad aur mubaarkbaad qubool farmaayiye. bohat shukriya (1- kuch log is tarah se jeevan guzaarte haiN jaise ke jee ke jag pe ehsaaN utaarte haiN ) Aapke is maTleA ke doosre miSreA meiN "jag pe ehsaaN ut...
by hassan_bashir
Thu Oct 06, 2005 1:19 am
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal ...Guz #10
Replies: 8
Views: 650

Re: taraHi ghazal ...Guz #10

wah bahut khoob ..hassan aap ki ye tarahi ghazal pe bahut pasand aayi...quoted ashaar zyaada pasand aaye..daad haazir hai..qubool karo :grin: zor-e-qalam aur ziyaada, Shumaila humesha ki tarah is dafaa bhi aap ka behad mamnoon hooN ki aap ne tashreef laa kar nachiz ki hoNslaa afzaaYee farmaaYee aur...
by hassan_bashir
Thu Oct 06, 2005 1:12 am
Forum: Moshaairah
Topic: Meri tarahee ghazal (Guz # 10)
Replies: 12
Views: 1194

wahh wahh jawaid saaHib kyaa khub ash'aar nikaale haiN saare ke saare ash'aar khub hai matlaa behad pasaNd aaya

is khubsurat kalaam ke liiYe meri jaanib se daad qubul farmaayeN.


Dua'a-go

Hassan
by hassan_bashir
Tue Oct 04, 2005 4:42 pm
Forum: Anjuman
Topic: Harf-e-'Daal' (Daali waala)se ash'aar bhejiye..shukriya!
Replies: 22
Views: 2994

duniyaa maiN eik shakhs bhi aisaa milaa nahiN
jis se jahaaN koee huee ho khataa nahin




Note:
Pahlaa Harf "daal" nahiN balkeh "Daal" hounaa chaahiye jaise "Dhaal" meiN.
by hassan_bashir
Tue Oct 04, 2005 4:39 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par ashar#21--KHUSHBOO
Replies: 34
Views: 11561

Teri khushbu maiN base khat maiN jalaataa kaise
pyaar maiN dube hue khat maiN jalaata kaise
by hassan_bashir
Tue Oct 04, 2005 4:33 pm
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal ...Guz #10
Replies: 8
Views: 650

taraHi ghazal ...Guz #10

Assalam-o-alaikum, Guz #10 pe ki gaee adnaa sii kavish pesh-e-khidmat hai apni raaYe se zaroor navaazeN. 1- kuch log is tarah se jeevan guzaarte haiN jaise ke jee ke jag pe ehsaaN utaarte haiN 2- hairat se aaYeene bhee un ko nihaarte haiN "tan tan ke jab woh apnaa seenah ubhaarte haiN" 3-...
by hassan_bashir
Sat Oct 01, 2005 1:28 pm
Forum: Anjuman
Topic: maah-e-OCT ke muntakhib shaayar:Ahmad Nadeem Qasmi
Replies: 11
Views: 839

Aadab, zehano.n me.n Khayaal jal rahe hai.n socho.n ke alaav-se lage hai.n duniyaa kii girift me.n hai.n saaye ham apanaa vujuud Dhuu.NDhate hai.n ab bhuukh se ko_ii kyaa maregaa manDii me.n zamiir bik rahe hai.n maazii me.n to sirf dil dukhate the is daur me.n zehan bhii dukhe hai.n sir kaaTate th...
by hassan_bashir
Sat Oct 01, 2005 1:26 pm
Forum: Anjuman
Topic: maah-e-OCT ke muntakhib shaayar:Ahmad Nadeem Qasmi
Replies: 11
Views: 839

Aadab, kis ko qaatil mai.n kahuu.N kis ko masiihaa samajhuu.N sab yahaa.N dost hii baiThe hai.n kise kyaa samajhuu.N vo bhii kyaa din the kii har vaham yaqii.n hotaa thaa ab haqiiqat nazar aaye to use kyaa samajhuu.N dil jo TuuTaa to ka_ii haath duaa ko uThe aise maahaul me.n ab kis ko paraayaa sam...
by hassan_bashir
Sat Oct 01, 2005 1:24 pm
Forum: Anjuman
Topic: maah-e-OCT ke muntakhib shaayar:Ahmad Nadeem Qasmi
Replies: 11
Views: 839

Aadab, gul teraa rang churaa laaye hai.n gul_zaaro.n me.n jal rahaa huu.N bharii barasaat kii bauchhaaro.n me.n mujh se kataraa ke nikal jaa magar ai jaan-e-hayaa dil kii lau dekh rahaa huu.N tere ruKhasaaro.n me.n husn-e-begaanaa-e-ehasaas-e-jamaal achchhaa hai Gunche khilate hai.n to bik jaate ha...
by hassan_bashir
Sat Oct 01, 2005 1:22 pm
Forum: Anjuman
Topic: maah-e-OCT ke muntakhib shaayar:Ahmad Nadeem Qasmi
Replies: 11
Views: 839

Aadab, ab tak to nuur-o-niKhat-o-rang-o-sadaa kahuu.N mai.n tujh ko chhuu sakuu.N to Khudaa jaane kyaa kahuu.N lafzo.n se un ko pyaar hai mafhuum se mujhe vo gul kahe.n jise mai.n teraa naqsh-e-paa kahuu.N ab justajuu hai terii jafaa ke javaaz kii jii chaahataa hai tujh ko vafaa aashnaa kahuu.N sir...
by hassan_bashir
Wed Sep 21, 2005 12:44 pm
Forum: Anjuman
Topic: SAWALIYAH ASH,AAR========
Replies: 421
Views: 47467

khaRaa hooN aaj bhee roti ke chaar harf liYe
sawaal yeh hai kitaaboN ne kyaa diya mujh ko
by hassan_bashir
Wed Sep 21, 2005 12:38 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 77558

haiN aur bhee duniyaaN maiN sukhawar bohat ache
kehte haiN ke 'Ghalib' ka hai andaaz-e-bayaaN aur

kehte / aur
by hassan_bashir
Wed Sep 21, 2005 12:35 pm
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 43992

Reit se but na banaa ae mere ache fankaar
Aik lamHe ko Theher, maiN tujhe patthar laa dooN
by hassan_bashir
Wed Sep 21, 2005 12:29 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par ashar#20--LAFZ/ALFAAZ
Replies: 22
Views: 2749

abhi is taraf na nigaah kar maiN ghazal ki palakeN saNvaar looN
meraa lafz lafz ho aaYeena tujhe aaYeene maiN utaar looN
by hassan_bashir
Wed Sep 21, 2005 11:59 am
Forum: Anjuman
Topic: Harf-e-'dAAL' se ash'aar bhejiye..shukriya!
Replies: 36
Views: 5017

Dam hai nikaltaa ik aashiq ka bhiR hai aakar dekh to lo
laakh tamaashe dekhe hoNge ek nazaara aur saHeeH