Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Sat Jul 09, 2005 11:39 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik nazm : Adhoori baateN
Replies: 10
Views: 397

Re: Bahut khoob waah waah

MuHtarami Amjad Saahib, Purkhuloos Tasleemaat, :-) Aapki nazm behad pasand aayi. Saare ashAar bahut hii suljhe houe heiN jinko paRhkar aapki shaayeranah mahaarat kaa patah chaltaa hei. Is dlkash aur dilgudaaz takhleeq per khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye. [/size][/color] Mohtar...
by Ibn-e-siddique
Thu Jul 07, 2005 6:03 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik nazm : Adhoori baateN
Replies: 10
Views: 397

Amjad saahib, adaab arz hai. waah aapki nazm tou bohat pasand aayi, bas wah wah karke paRhti rahi "be.vafaa" ka miree jaaN mujh ko khitaab ab de do mere guzre hue saaloN ka Hisaab ab de do bohat ache! sara saHiba salaam arz hai mujhe bahot khushi hui ke aap ko meri ye kawish pasand aayee ...
by Ibn-e-siddique
Mon Jul 04, 2005 10:08 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Dil Doobne lagtaa hei jab raat pighalti hei. Abdullah Nazir
Replies: 10
Views: 1092

Nazir saHIb salaam arz hai aap ki is ghazal ne bahot lutf diya, mashallah , tamaam ashaar bahot pasand aaye, matla hi khoob hai, aur mujhe to ye zameen bhi bahot pasand aayee her she'r per dili daad qubool farmaaiN , aur khaas taur per darj-e-zail ash'aar per to khaas taur per daad Haazir hai :) 1- ...
by Ibn-e-siddique
Mon Jul 04, 2005 9:33 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik nazm : Adhoori baateN
Replies: 10
Views: 397

Wah wah nazm ka jawab nahi , mujhe aisa laga ke mai apne mizaj ki shayeri parh raha hoN, bahut khoob jo shayeri dil se nikalti hai vo yaqeenan diloN par asarandaaz hoti hai, nazm ki jazbatiat aur rawaani donoN ne aik haseen imtezaj paida kia hai. shukria Mahtab Qadr Mahtab saHib salaam arz hai aap ...
by Ibn-e-siddique
Fri Jul 01, 2005 5:50 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ho gumaaN uss par!!
Replies: 21
Views: 1340

Naheed saHiba: salaam arz hai aap ki ye ghazal bhi aap ki deegar ghazloN ki taraH pasand aayee, jaisa ke maiN hamesha kehta hooN, aaj phir kehne dijiye :) ke aap ka apna aik makhsoos andaaz hai, jo hameN bahot pasand hai is ghazal meiN jo ash'aar mujhe zyaada pasand aaye, voh ye haiN : ik ajab haNga...
by Ibn-e-siddique
Fri Jul 01, 2005 5:45 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik nazm : Adhoori baateN
Replies: 10
Views: 397

aik nazm : Adhoori baateN

http://www.urdubandhan.com/adhuri_baatein.jpg adhoori baateN koii paiemaan-e-mohabbat nahiN baandha tum se jaane kyuN phir bhi samajhta hooN main khud ko mujrim tum se hoti theeN jo her roz adhoori baateN kia zaroori hai ke aaj unko mukammal kar leN ? ...................................... zakhm-e-...
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 26, 2005 7:37 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Replies: 14
Views: 2326

Re: ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai

Mahtab saHib: salaam arz hai janaab aap ki ye taaza ghazal nazar navaaz hui, aur be.saakhta ashaar per daad nikli :) vo aashnaai jo baqi hai uski aaNkhoN mai vo teeragi maiN chamakti hai uski aaNkhoN mai bahot khoob janaab, shoaraa ke liye to voh "aashnaai" ziaa-e-khursheed ke mutaraadif h...
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 26, 2005 6:56 am
Forum: Moshaairah
Topic: guzaarish # 6
Replies: 8
Views: 1114

tahira aapa

salaam arz hai

aap ki ye kaawish bahot pasand aayee, maashallah bahot ache mazaameen nikaale haiN aap ne

meri jaanib se daad qubool kijiye,

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 26, 2005 6:52 am
Forum: Moshaairah
Topic: guz#6 Haal-e-dil lab pe aa gaya aakhir
Replies: 10
Views: 1395

zarqa behen:

salaam arz hai

aap ne maashallah bahot ache ash'aar kahe haiN, aur ye dekh ker khushi bhi hui ke aap ke kalaam mein ab roz.ba.roz nikhaar aata jaa raha hai

meri jaanib se is kawish per daad qubool kareN, aur isi taraH mashq-e-sukhan jaari rakheN

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 26, 2005 6:51 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guz#6 "Haal-e-dil lab pe aa gaya aakhir"
Replies: 16
Views: 1861

shumaila saHiba:

salaam arz hai

aap ki ghazal doosre forum per paRhi thi aur bahot pasand aayee :), yahaaN daad dene Haazir hua hooN, qubool farmaaiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 19, 2005 5:47 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Replies: 11
Views: 577

zmufti wrote:ibne siddique sahib
buhat khoob
meri taraf se daad qabool kijye
regards
zmufti
zarqa behen:

ghazal ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria

sadaa khush raho :)

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 19, 2005 5:46 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: KOEE KHOOBII MIREE, DIKHII BHII NAHEEN
Replies: 16
Views: 1654

Najma baji: salaam arz hai mujhe kyuN lag rahaa hai ke main ye ghazal pehle paRh chuka hooN #-o , ya phir ye mere aawaara takhayyul ki kaar.farmaai hai :grin: ya phir aap ye keh sakti haiN ke : baat kis tarha aap ne sun voh jo maine abhi kahi bhi nahiN :-k :twisted: mazaaq bar.taraf, is ghazal ke ta...
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 19, 2005 5:42 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: nazm: "farebii"
Replies: 10
Views: 707

Irfan bhai

salaam arz hai

vaah janaaab, lutf aaya aap ki nazm paRh ker

bahot khoob, meri jaanib se daad haazir hai, qubool farmaa lijiye :-)

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 19, 2005 5:41 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Nazir Abdullaah, Abdullaah Nazir ho gaye
Replies: 9
Views: 677

janaab Jawaid saHib salaam arz hai Mohataram Abdullah Nazir ki nazr kiye gaye ye ash'aar hameN bahot pasand aaye Baadshah-e fun haiN phir bhi dil meN sub ka ehtraam Hazrat-e Nazir tumahre zarf ko mera slaam Kaash har dilmeN yahee jazba yehi andaaz ho Hum se barham ho nah koii ek pal naraaz ho Ihtraa...
by Ibn-e-siddique
Sun Jun 12, 2005 11:50 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Replies: 11
Views: 577

Radeef ne to aap ko bohot roka, lekin aap na ruke. :lol: bajaa farmaaya, sho'araa Hazraat akcer radeef-o-qavaafi per ghalba paa jaate haiN :D Nice sher. Aap heN na paasdaar-e-ghazal. :wink: Qafiye ache use kiye heN aap ne, wese sheh.savaar se to ghuR sawari yaad aa gayi. :twisted: navaazish , jee h...