Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Sun Jun 12, 2005 5:47 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ghazal: ghaur se daikho agar tum zindagi ke daa'ire
Replies: 10
Views: 778

Naheed saHiba: salaam arz hai aik taveel arse baa'd aap ki jaanib se kuch sun'ne ka mauqa milaa. aap ki ye ghazal ba.radeef-e-"daaire" hameN pasand aayee :) aap ne is mushkil zameen meiN bahot ache ash'aar kahe haiN khaaksaar ki jaanib se daad qubool farmaaiN jo ash'aar zyaada pasand aaye,...
by Ibn-e-siddique
Sat Jun 11, 2005 2:53 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: BADLA NAHEEN HAY EHL-E-JAHAAN KA CHALAN ABHII===NAFIS AHMAD
Replies: 15
Views: 2177

salaam Najma baji:

vaah vaah !! aap ne apne vaalid-e-marHoom ki bahot umda ghazal sunaai. tamaam ash'aar bahot pasand aaye.

bahot lutf aaya paRh ker.

aik umda ghazal sunaane ke liye aap ka bahot bahot shukria :)

guldasta-e-aqeedat-o--o-khuloos-o-muvaddat aap ke liye :grin: :grin:

amjad
by Ibn-e-siddique
Fri Jun 10, 2005 1:38 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Replies: 11
Views: 577

Re: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"

waaaaah amjad miyaaN waaah masha allaah roz ba roz nikhaar hi aata cha jarahay hay, tumhare andaz-e-fikr meiN. kya baat hay yuuN to poori ghazal ki pasand aae , lekin ye she,r====== dil ki dunya udaas rehti hai cheiR do phir se koi taar-e-ghazal :-) waaah waah waah kya taGhazzul hay is meiN. :-) ek...
by Ibn-e-siddique
Wed Jun 08, 2005 5:46 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"
Replies: 11
Views: 577

"ab kahaaN raunaq-e-bahaar-e-ghazal"

Assalam-o-alaikum ustaad shaa'ir janaab Abdullah Nazir ke taraHi misre per meri kawish haazir hai, her chand ke is zameen meiN she'r kehna mere liye ju-e-sheer laane ke mutaraadif hua, radeef ne bahot si paabandiyaaN aayed karne ki koshish ki :D, phir bhi jo ash'aar hue, aap ke saamne haiN : kaun ha...
by Ibn-e-siddique
Mon May 02, 2005 10:52 pm
Forum: Moshaairah
Topic: :: Jaan paayaa hoN paas aane se :-) guz# 4
Replies: 8
Views: 408

zia saHib salaam arz hai huzoor !! aap ki raftaar teiz hai, aur maiN sust.gaam, aap "jet plane" uRaa rahe haiN, aur maiN abhi tak "laila-e-sukhan" ke saath mehmal nasheeN hooN aur zaahir hai, ooNT ki raftaar to "jet plane" se aahista hi hogi :grin: :lol mazaaq bar.taraf...
by Ibn-e-siddique
Sun May 01, 2005 9:40 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: misaal-e-mastiy-e-sehbaa hei yaad-e-yaar kaa luTf
Replies: 5
Views: 332

Re: misaal-e-mastiy-e-sehbaa hei yaad-e-yaar kaa luTf

Raa'na jee: salaam arz hai aap ne itni mushkil aur mere nazdeek banjar zameen mein kaafi khoobsurat aur khushnumaa phool khilaaye, yaqeenan aap daad aur mubarak.baad ke Haqdaar haiN 1- misaal-e-mastiy-e-sehbaa hei yaad-e-yaar kaa luTf shab-e-firaaq niraalaa hei intizaar ka lutf matla pasand aaya, kh...
by Ibn-e-siddique
Sun May 01, 2005 6:01 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: Zia rahe na rahe , us ki justujoo to rahe ::
Replies: 6
Views: 464

to lejeye Ghazal Haazir hai , par Khudaara apne iHsaasaat se aagaah zaroor farmaayegaa !! agar aap ki nigaah paRtee hai Ghazal par , aur phir aap ko Ghazal achchi lage yaa buree lagee , raye-zani zaroor kejeyega , aakhir aap log samajhte kyoN nahiN ! shaai'r ka dil TooT jaataa hai :cry: :cry: zia s...
by Ibn-e-siddique
Sun May 01, 2005 5:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: EK GHAZAL=SUNTE HAIN, RAQEEBON SE MULAAQAAT KARO HO
Replies: 28
Views: 2461

Najma baji salaam arz hai aap ki ye ghazal dekhi aur bahot pasand aayee matle ke misra-e-caani meiN "vohi" munasib nahin lag rahaa, ye sirf meri zaati raaye hai jo ghalat bhi ho sakti hai ;) she'r no. 2 aur teen to paRh ker lutf aa gayaa : mazloom ko sooli pe chaRhaa dete haiN Haalaat ae d...
by Ibn-e-siddique
Sat Apr 30, 2005 12:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aek ghazal baraye islaah ba-qalam-e-Dunya
Replies: 8
Views: 440

dunya jee:

aap ki ye ghazal, aur is ki zameen dono hi bahot pasand aaye

hamaari jaanib se daad haazir hai, qubool farmaaiN :)

amjad
by Ibn-e-siddique
Thu Apr 28, 2005 5:58 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
Replies: 14
Views: 1272

Re: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta

Amjad bhaaii dilee daad qabul kereN bohat khush huee aap kaa kalaam peRh ker tahira aapa, salaam arz hai aap ko meri ye adna si kawish pasand aayee, ye jaan ker mujhe bhi bahot khushi hui :), aap ka bahot bahot shukria us ko she'roN se koii khaas shaghaf tha hi nahiN aur maiN taaza ghazal roz sunaa...
by Ibn-e-siddique
Mon Apr 25, 2005 8:49 am
Forum: Anjuman
Topic: Alif se shuroo hone waale ashaar yahaN post kareiN
Replies: 178
Views: 43416

abr-e-reHmat tha ke thi ishq ki bijlee yaarab
jal gayee mizra-e-hasti, tu ugaa dana-e-dil
by Ibn-e-siddique
Sun Apr 24, 2005 8:26 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aik taazah ghazal
Replies: 3
Views: 247

RaAna jee:

salaam arz hai aur mehfil mein khush.aamdeed

aap ki ghazal bahot pasand aayee, acha likhte haiN aap, isi taraH apna kalaam hameN sunaate raheN

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Apr 24, 2005 8:21 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
Replies: 14
Views: 1272

safiya saHiba

salaam arz hai

aap ne ghazal ko pasand farmaaya, maiN dil se aap ka mamnoon hooN , aur muntakhib she'r per daad ke liye bhi aap ka bahot bahot shukria

sadaa khush raheN

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Apr 24, 2005 8:14 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "ai dost! jo tuu ..."
Replies: 12
Views: 738

Irfan bhai: salaam arz hai aap ki ye taaza ba.taaza, nau.ba.nau ghazal hameN be.Had pasand aayee jo raah-e-muhabbat pe chalaa, faKhr-e-jahaaN hai sholoN se guzarnaa koii aasaaN nahiiN hotaa sochaa to kayii baar, bhulaa duuN tujhe lekin ye kaam kisii taur, mirii jaaN! nahiiN hotaa jal uThte haiN aaNk...
by Ibn-e-siddique
Tue Apr 19, 2005 8:10 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: EK GHAZAL:dukhe dil ki dhaRkanoN se tira Gham hay aash,kaara
Replies: 23
Views: 1583

Najma baji

salaam arz hai

hamesha ki taraH aap ki ye ghazal bhi mujhe bahot pasand aayee, aap to jaanti haiN ke maiN arsa-e-daraaz se aap ke kalaam ka maddaaH hooN :)

ye zameen lagta hai aap ke liye kaafi zarkheiz caabit hui hai, meri jaanib se daad Haazir hai,q ubool farmaaiN :)

amjad