Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Mon Apr 18, 2005 8:12 am
Forum: Moshaairah
Topic: Tarhee Ghazal "Phool khilte haiN......................
Replies: 12
Views: 1620

Jawaid saHib:

salaam arz hai

janaab aap ki ye ghazal hameN pasand aayee

khaaksaar sirf daad hi pesh kar sakta hai, voh qubool farmaa lijiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Mon Apr 18, 2005 8:07 am
Forum: Moshaairah
Topic: EK GAZAL: mat uTha apne aastaane se=G4
Replies: 23
Views: 2097

Najma baji

achi ghazal hai

daad qubool kjiye :)

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Apr 17, 2005 6:33 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#7--" MAUSAM"
Replies: 124
Views: 15501

zard mausam ko na raas aayee, bahaaroN ki dua
abr aaye bhi to sailaab ki soorat aaye
by Ibn-e-siddique
Sun Apr 17, 2005 6:27 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Sang Dil Aasmaan Kitna Hay (Ghazal)
Replies: 8
Views: 764

sochta hooN ke khud mire Haq meiN
mera apna bayaan kitna hai


vaah, asim saHib, bahot khoob ghazal hai, taqreeban tamaam ash'aar pasand aaye,

daad qubool kijiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Apr 17, 2005 6:23 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
Replies: 14
Views: 1272

Ibn-e-Siddique Sahib Aap ki taza Ghazal parhi buht pasand aayi dad qabool kijye aur ziyada to kuch nahin lagta hai barey achey mood mein likh thi In english I would say It is refreshing and light zmufti zarqa saHiba salaam arz hai ghazal ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria jee vaaqai, ye...
by Ibn-e-siddique
Thu Apr 14, 2005 5:47 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ham par khudsari ka ilzaam hi to hai (barai Islah)
Replies: 11
Views: 1080

zarqa saHiba:

salaam arz hai

aap ki ye kaawish maine abhi abhi dekhi.

janaab-e-nazir saHib ne bahot umda tabsira kia, aur ash'aar ki islaaH bhi farmaaii.

meri jaanib se daad Haazir hai, qubool keejiye

aur isi taraH mashq-e-sukhan jaari rakheN

amjad
by Ibn-e-siddique
Thu Apr 14, 2005 5:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: EK GHAZAL:ho sake to aap mujh par ek eh,saaN kijiye
Replies: 20
Views: 2148

Najma baji

aap ki ye ghazal mujhe pasand aayee

meri jaanib se daad Haazir hai, zaroor qubool keejiye ga :)

amjad
by Ibn-e-siddique
Thu Apr 14, 2005 5:36 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
Replies: 14
Views: 1272

najma wrote:waah amjad!
bohat khoob
yahaan bhi ye swaal dar aata hay keh ye ghazal kisii khaas ke liye likhi hay kya? :wink:
bohat mubarak!
khush rahiyye
:-)
shukria najma baji

bas kia kahooN ;)

"she'roN ke intikhaab ne rusvaa kia mujhe" :D

khush raheN

amjad
by Ibn-e-siddique
Wed Apr 13, 2005 10:01 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ulfat
Replies: 5
Views: 415

Re: aoa

us say aglay sher ka pehlay misray main aap nay " kah" koo doo rukni bandha hay joo beherhal darurst nahi go kah kafi loog aisa kar jatay hain. agar aap is suqam koo door kar lain too ziada munasib bat hoo gi mukhlis rizwan mohtaram rizwan saHib salaam arz hai taahira saHiba ne yooN to sh...
by Ibn-e-siddique
Wed Apr 13, 2005 9:45 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ulfat
Replies: 5
Views: 415

Tahira saHiba: salaam arz hai aap ki ghazal dekh ker khushi hui. ache mazaameen nikaale hain aap ne . teri ulfat ka yaqeen aata naheeN daagh jo dil par laga hai jaata naheeN matla acha hai, magar doosra misra beHr se kharij ho rahaa hai, aap yooN kar lijiye : daagh jo dil per hai voh jaata nahiN ter...
by Ibn-e-siddique
Wed Apr 13, 2005 9:26 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tujh se kis tarH maiN izhaar-e-tamanna karta
Replies: 14
Views: 1272

Raji saHiba:

salaam arz hai

aap ne is ghazal ko pasand farmaaya, ye jaan ker khushi hui, aap ki daad ke liye bhi main aap ka mamnoon hooN

sadaa khush raheN

amjad
by Ibn-e-siddique
Mon Apr 04, 2005 8:26 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--" ZAKHAM"
Replies: 81
Views: 10174

nazar lage na kahii.n usake dast-o-baazuu ko
ye log kyo.n mere zaKhm-e-jigar ko dekhate hai.n
by Ibn-e-siddique
Fri Apr 01, 2005 12:14 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75270

ho gayee phir kisi khayaal meiN gum
tum miree aadateN na apnaao

jaun eliya

tum / apnaao
by Ibn-e-siddique
Fri Apr 01, 2005 12:09 pm
Forum: Anjuman
Topic: Shair ka jawab shair main dejeye
Replies: 637
Views: 90854

bhoole haiN kis taraH se unheN muddatoN meiN ham
qistoN meiN khudkushi ka mazaa ham se poochiye
by Ibn-e-siddique
Fri Apr 01, 2005 12:07 pm
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--" ZAKHAM"
Replies: 81
Views: 10174

chara-saazon se alag hai meraa mayaar ke mai.n
zaKhm khaaun gaa to kuchh aur sanvar jaaun gaa