Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Tue Mar 22, 2005 4:56 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHi Ghazal (Guz.3). Irfan Barabankwi, Jeddah.
Replies: 11
Views: 836

Irfan bhai:

salaam arz hai

guz.3 ke teHt aap ki ghazal bahot pasand aayee,

Halaavat hai saari zabaanoN meiN lekin
jo urdu mein hai wo Halaavat na hogi


vaah, bahot khoob, zabaan-e-urdu ki sheereeni-o-Halaavat ki baat hi kuch aur hai :)

is umda ghazal per daad qubool kijiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Tue Mar 22, 2005 4:41 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 77558

poochte haiN wo ke ghalib kaun hai
koi batlaaye ke ham batlaaiN kia

koi / kia
by Ibn-e-siddique
Tue Mar 22, 2005 4:37 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--"BARISH "
Replies: 47
Views: 5992

Yeh ehtijaaj baja hai ke tez thi baarish
Yeh man'na hai ke kacha tha apne sheher ka rang
by Ibn-e-siddique
Tue Mar 22, 2005 4:31 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ae dost aa bhi jaa keh teraa intizaar hey
Replies: 15
Views: 1496

fatima saHiba:

salaam arz hai

aap ki ye ghazal pehle bhi paRhi aur bahot pasand aayee. aap ke kalaam mein roz.ba.roz nikhaar aata jaa rahaa hai.

is umda kawish per daad aur mubarak.baad qubool kijiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Tue Mar 15, 2005 4:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: tazah ghazal manoos heN kuchh aise GHamoN ke asar se hum
Replies: 9
Views: 479

Husseini saHib:

salaam arz hai

aap ki ye ghazal doosre forum per bhi parhi aur bahot lutf aaya. aik baar phir parh ker lutf do.baala ho gayaa :)

taqreeban tamaam ash'aar pasand aaye.

aik umda kawish per meri jaanib se daad qubool kijiye :)

amjad
by Ibn-e-siddique
Tue Mar 15, 2005 4:39 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: jo aag lagaataa phirtaa ho, vo aag bujhaanaa kia jaane!
Replies: 2
Views: 254

Hashmat saHib:

salaam arz hai

aap ki ye ghazal pehle bhi paRhi thi, magar bar.vaqt daad na de sakaa :P

ghazal bahot achi hai, meri jaanib se daad qubool kijiye :)

shukria

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Mar 13, 2005 6:58 am
Forum: Anjuman
Topic: Lafz par Ashaar#5--"BARISH "
Replies: 47
Views: 5992

baarish hui to ghar ke dareeche se lage ham
chup chaap sogvaar tumheN sochte rahe
by Ibn-e-siddique
Sun Mar 13, 2005 6:57 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 77558

aisaa aasaaN nahiN luhuu rona
dil meiN taaqat jigar meiN Haal kahaaN

dil / kahaaN
by Ibn-e-siddique
Sun Mar 13, 2005 6:56 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :too jo haNgaamah-e-meHshar meN mujhe yaad aayaa:
Replies: 8
Views: 726

Riaz bhai: salaam arz hai sab se pehle aap ko bahot bahot mubarak ho ke aap ki ye ghazal mehfil-e-mushaira ke muqaabale meiN 2nd position per aayee hai aap ki ye ghazal bahot pasand aayee, aur meri jaanib se daad ke saath DheiroN mubarak.baad bhi qubool kijiye. Allah aap ko isi taraH kaamiyaabioN se...
by Ibn-e-siddique
Sun Mar 06, 2005 5:48 am
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: 'allaamah Iqbaal ke ek she'r par tabsirah...muKhtasir jaaiza
Replies: 5
Views: 931

Hashmat bhai: aaj aap ne is she'r ki yaad phir se taaza kar di :D :), acha lagaa dobaara paRh ker she'r-e-iqbal per umda tabsira kia aap ne :) Iqbal is she'r ke zariye her musalmaan ko ye dars de rahe haiN ke wo apni qaum-o-millat se apna rabt qaaim rakhe. is baat ko doosre andaaz mein kehte hain ke...
by Ibn-e-siddique
Sun Feb 27, 2005 10:45 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Lafz par Ashaar#4--"IBADATH "
Replies: 14
Views: 1027

saraapa rehn-e-ishq-o-naa.guzeer-e-ulfat-o-hastii
ibaadat barq ki karta hooN aur afsos Hasil ka
by Ibn-e-siddique
Sun Feb 27, 2005 7:39 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 77558

nahin nahin ye khabar dushmanon ne di ho gi
vo aaye, aa ker chale bhi gaye, mile bhi nahin

vo / nahin
by Ibn-e-siddique
Fri Feb 18, 2005 11:48 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Lafz par Ashaar#3--"SHABNAM"
Replies: 21
Views: 1886

Jab koii kale sehne gulistaaN meiN khili hai
Shabnam se meree aankhoN meiN tair gaee hai
by Ibn-e-siddique
Fri Feb 18, 2005 10:21 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ay Hussain merHabaa!!!
Replies: 6
Views: 495

Tahira aapa:

salaam arz hai:

Imam-e-Hussain ke Huzoor aap ka ye salaam pasand aaya.

rahi baat vazn ki to is per agar meHnat ki jaaye to ye nazm vazn mein laai jaa sakti hai

bahar.Haal aap ke jazbaat pasand aaye, daad qubool kijiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Fri Feb 18, 2005 10:14 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Lafz par Ashaar#3--"SHABNAM"
Replies: 21
Views: 1886

kisee kee yaad meiN poNhache haiN ham iss aalam ko
suboo banaa diyaa gul ko, sharaab shabnam ko!

sarwar raz :)