Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Thu Feb 17, 2005 8:04 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

ik mohabbat ke ivaz arz-o-samaaN de dooN ga
tujh se kaafir ko to maiN apna khudaa de dooN ga

tujh / ga
by Ibn-e-siddique
Mon Feb 14, 2005 5:34 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

kyuN gardish-e-mudaam se ghabraa na jaaye dil
insaan hooN pyaala-o-saaghar nahiN hooN maiN

insaan / maiN
by Ibn-e-siddique
Mon Feb 14, 2005 5:33 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Lafz par Ashaar#3--"SHABNAM"
Replies: 21
Views: 1841

kabhi gul se shabnam Tapakte jo dekhi
mujhe qatra-e-chashm-e-tar yaad aaya
by Ibn-e-siddique
Tue Feb 01, 2005 11:39 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ilm o fun ke saiyebaN aik Ghazal
Replies: 10
Views: 643

Mahtab bhai aur moHtaram Nazir saHib assalam-o-alaikum maiN aap dono ka bahot mamnoon hooN ke aap ne is baare meiN meri rehnumaai farmaai. dar.asl mujhe jo bhi baat samajh na aaye to maiN apni tashveesh ka izhaar kar deta hooN, aur isi vajah se bahot kuch seekhne ko milta hai. agar maiN Mahtab bhai ...
by Ibn-e-siddique
Thu Jan 27, 2005 11:49 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

vaah, shummu aap ne mera pasandeeda she'r pesh kiya hai

arz kiya hai:

nahin nahin ye khabar dushmanoN ne di hogi
wo aaye aa ke chale bhi gaye mile bhi nahin


wo / nahin
by Ibn-e-siddique
Thu Jan 27, 2005 11:46 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalib kii zameen meiN meri ghazal
Replies: 5
Views: 511

Sahil saHib

janaab aap ki ye ghazal to pehle hi paRh li thi ,magar waqt per javaab na de sakaa, dar.asl main ye samajhta rahaa ke main aap ko muraqqa-e-daad-o-sitaaish pesh kar chuka hooN :)

lijiye, ab daad qubool kareN itni umda kawish per

amjad
by Ibn-e-siddique
Thu Jan 27, 2005 11:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: 4 ISLAAH ----Haq tu yeh hai k Haq adaa naa howa...
Replies: 16
Views: 1322

zahida sahiba:

ghalib ki zameen meiN aap ne umda ghazal likhi hai , lutf aaya paRh ker

meri jaanib se daad aur mubarak.baad qubool farmaaiN

amjad
by Ibn-e-siddique
Thu Jan 27, 2005 11:39 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

hai mujh per taa'na zan khud mera aHsaas
tamanna apni qeemat ko rahi hai


tamanna / hai
by Ibn-e-siddique
Thu Jan 27, 2005 4:43 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

rahaa ghar koii taa qayaamat salaamat
phir ik roz marna hai hazrat salaamat

phir / salaamat
by Ibn-e-siddique
Wed Jan 26, 2005 9:04 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ilm o fun ke saiyebaN aik Ghazal
Replies: 10
Views: 643

Mahtab Qadr bhai: assalam-o-alaikum vaah janaab khoob ghazal sunaai aap ne. acha andaaz hai aap ka Ilm o fun ke sayebaaN jaanay lagay karwaaN ke karwaaN jaanay lagay matla khoob hai, daad qubool kijiye dhoop sahraaoN ki itni barh gaayi tayeraan e khusbayaN jaanay lagay khoob kahaa barkateiN dastar k...
by Ibn-e-siddique
Wed Jan 19, 2005 12:01 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

tum maah-e-shab-e-chaar dahum the mere ghar ke
kyuN phir na rahaa ghar ka wo naqsha koii din aur


kyuN / aur
by Ibn-e-siddique
Mon Jan 17, 2005 5:00 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

nahin tera nasheman qasr-e-sultaani ke gunbad per
tu shaaheeN hai basera ker pahaaRoN ki chaTTaanoN meiN


tu / meiN
by Ibn-e-siddique
Sun Jan 16, 2005 10:32 pm
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

qayaamat yaqeenan qareeb aa rahi hai
khumar ab to masjid meiN jaane lage haiN

khumar / haiN
by Ibn-e-siddique
Sun Jan 16, 2005 11:53 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

nahin ke mujh ko qayaamat ka ai'tiqaad nahiN
shab-e-firaaq se roz-e-jazaa zyaad nahiN


shab / nahiN
by Ibn-e-siddique
Sun Jan 16, 2005 6:51 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75249

abhi abhi tumheN socha to kuch na yaad aaya
abhi abhi ham ik doosre se bichRe the

A.N.Qasmi

abhi / the