Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Tue Feb 27, 2007 7:10 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik sher
Replies: 9
Views: 613

moHtaram Saffy saHib salaam arz hai apne she'r per teHqeeq pesh karne ke liye bahot bahot shukria. yaqeenan is se mere ilm meiN izaafa hua hai. maine aap ke she'r ko qatai taur per bay.vazn nahiN kahaa tha balke vazn ke "mas'ale" ka zikr kia tha. aap ne vazaaHat farmaa di, is ke liye shukr...
by Ibn-e-siddique
Sun Feb 25, 2007 9:54 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Meri ek taza ghazal aapki samaatoN meN
Replies: 14
Views: 1283

Rizwan saHib

salaam arz hai

bahot umda ghazal pesh ki aap ne. meri jaanib se daad qubool farmaaiN.

Ibn-e-siddique
by Ibn-e-siddique
Thu Feb 22, 2007 8:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik sher
Replies: 9
Views: 613

Saffy saHib aadaab arz hai aap ka she'r vazn meiN na hone se meri muraad ye hai ke ye kisi muravvija beHr meiN nahiN lag rahaa. lekin jo tajveez maine pesh ki hai use to kam az kam bay.vazn mat kahiye kyuNke voh muravvija beHr meiN hai : beHr-e-muzaare' akhrab makfoof meHzoob afaa'eel = maf'oolu___f...
by Ibn-e-siddique
Tue Feb 20, 2007 11:57 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik sher
Replies: 9
Views: 613

salaam Saffy saHib

she'r ka khayaal bahot umda hai, aur is per meri daad bhi Haazir hai.

magar vazn ka kuch mas'ala lag rahaa hai, agar yooN kar deN to kaisa rahe ga :

ae kaash mo'jizaa ye hamaare hi bas meiN ho
dil jis ko chaahata hai vohi dastaras meiN ho

shukria

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Feb 18, 2007 11:06 am
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Muhabbat
Replies: 8
Views: 1939

Iqbal ki ye khoobsurat nazm pesh karne ke liye shukria, jis ke baare meiN maiN kahaa karta hooN ke is meiN Iqbal ne "Muhabbat" ke ajzaaye tarkeebi (ingredients) bayaan farmaaye haiN :)

amjad
by Ibn-e-siddique
Sun Aug 27, 2006 7:03 am
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Lab pe aati hei duaa
Replies: 0
Views: 305

salaam sara saHiba

Iqbal ki itni khoobsurat dua pesh karne ke liye bahot bahot shukria

amjad
by Ibn-e-siddique
Tue Aug 22, 2006 6:31 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yehi hai maqsad saffy hamara
Replies: 4
Views: 337

Janaab saffy saHib

salaam arz hai

aap ki ye kaawish hameN pasand aayee

hamaari jaanib se daad qubool farmaaiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Tue Aug 22, 2006 6:21 am
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Iqbal ki aik ghazal
Replies: 1
Views: 435

Iqbal ki aik ghazal

Iqbal ki aik ghazal pesh-e-khidmat hai :
by Ibn-e-siddique
Sun Aug 13, 2006 11:02 pm
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal (20)
Replies: 13
Views: 1226

Mohtaram Nazir saHib salaam arz hai aap ke vaqt aur tafseeli javaab ka bahot bahot shukria matle ki nacr likh rahaa hooN, umeed hai aap misra-e-oola ki taa'qeed door karne mein meri madad farmaaiN ge : aaina saaz ke hunar ki aisi soorat ho jo andar ke bashar ki soorat nazar aa jaaye mujhe aap se itt...
by Ibn-e-siddique
Sat Aug 12, 2006 1:36 pm
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal (20)
Replies: 13
Views: 1226

Nazir saHib salaam arz hai sab se pehle to maiN aap ka mamnoon hooN ke aap ne meri ghazal per tafseeli tabsira kia aur is qadar daad-o-teHseeN se navaaza. yaqeenan ye mujh jaise nau.aamoz shaa'ir ke liye baRi pazeeraai ki baat hai. matle ka maf'hoom aap ne durust bayaan kia hai, mere zehn meiN bilku...
by Ibn-e-siddique
Sat Aug 12, 2006 1:31 pm
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal (20)
Replies: 13
Views: 1226

zarqa behen

salaam arz hai

ghazal ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria

amjad
by Ibn-e-siddique
Fri Aug 11, 2006 3:39 pm
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal (20)
Replies: 13
Views: 1226

farhan bhai

salaam arz hai

janaab aap ke tafseeli tabsire ke liye bahot bahot shukria.

ye aap ka Husn-e-nazar hai jo itni daad se navaazte haiN :). insha'Allah koshish karooN ga ke tazmeen ka she'r bhi shaamil kar dooN

aap ka bahot bahot shukria

aap ki ghazal ka intizaar rahe ga

amjad
by Ibn-e-siddique
Fri Aug 11, 2006 3:38 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Meree tarahee ghazal (Guzarish # 20)
Replies: 10
Views: 1024

Jawaid bhai:

salaam arz hai

guzarish no. 20 ke teHt aap ne bahot umda ghazal kahi hai. zameen ka khoob Haq adaa kia. girah bhi umda lagaai hai, aur maqta bhi bahot pasand aaya.

poori ghazal per meri jaanib se bharpoor daad qubool farmaaiN

amjad
by Ibn-e-siddique
Thu Aug 10, 2006 5:55 am
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal (20)
Replies: 13
Views: 1226

Jawaid bhai, salaam arz hai aap jaise senior aur kohna mashq shaa'ir ko meri kaawish pasand aayee, ye jaan ker bahot khushi hui. jis she'r ka aap ne zikr kia, us meiN vaaqai typo hai, darasl mere misre meiN "jaati" ke baa'd "hai" hai. nishaand.dahi ke liye shukria, maiN abhi tasH...
by Ibn-e-siddique
Thu Aug 10, 2006 5:30 am
Forum: Moshaairah
Topic: taraHi ghazal (20)
Replies: 13
Views: 1226

taraHi ghazal (20)

Assalam-o-alaikum is zameen meiN meri kaawish Haazir hai : aaina saaz ke aisi ho hunar ki soorat nazar aa jaaye jo andar ke bashar ki soorat dil ki veeraani-o-Hasrat ka voh aalam hai ke ab shehr ka shehr hi lagta hai khaNDar ki soorat jab nikalta hooN safar per to tumhaari yaadeN saath rehti haiN mi...