Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Wed Nov 23, 2005 11:21 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
Replies: 6
Views: 489

sara saHiba

salaam arz hai

aap ne jis taraH her she'r ko daad-o-teHseen se navaaza hai, maiN aap ka bahot bahot mamnoon hooN

ghazal ko pasand farmaane ke liye bahot bahot shukria

sadaa khush raheN :)

amjad
by Ibn-e-siddique
Mon Nov 21, 2005 6:27 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal
Replies: 8
Views: 431

Re: Dil meiN hasrat koi chhupi to nahiN? __ ghazal

Adaab aadaab arz hai Dil meiN Hasrat koi chhupii to nahiN? Tum bhi meri tarah dukhi to nahiN? jee nahiN :P , aap ne savaal kia to ham ne javaab de dia, mazaaq bartaraf matla acha hai Jese mausam badalte rehte heN Ye muhabbat bhi mausami to nahiN? "yooN hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai&q...
by Ibn-e-siddique
Sun Nov 20, 2005 10:56 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
Replies: 6
Views: 489

Re: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"

Adaab, Amjad Sahib! va'aadaab Anmol saHiba :) Raste bhi sanwar jayeNge, inshaAllah. :-) Matla bohot pasand aaya. pasandeedgi ke liye shukria :) Well said. Very nice sher. :-) ChaleN koi to mera hum'khyaal shaks mila jise meri tarah intezaar pasand nahiN. Jaane kaun log hote heN jo kehte heN k intiz...
by Ibn-e-siddique
Sun Nov 20, 2005 10:42 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: 8 Oct. 2005 ke ba'd
Replies: 5
Views: 322

Naheed saHiba salaam arz hai aap ki Hassaas fikr aur dard.mind dil se aise hi umda kalaam ki tavaqqo thi, jo aap ne saaneHa-e-aath october ke mutaacireen ki takaaleef ko meHsoos kar ke likha. 1. sirakne lagee hai, hawaa bhee, zameeN bhee na ghar hai na sar par koyee saa'ebaaN hai kaheeN jism kee raa...
by Ibn-e-siddique
Sun Nov 20, 2005 10:40 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghalib ke miSreA per TaraHi ghazal: Abdullah Nazir.
Replies: 9
Views: 510

Nazir saHib

salaam arz hai

itni mushkil zameen meiN aap jaise ustad shaa'ir hi itne umda mazaameen nikaal sakte haiN

meri jaanib se daad Hazir hai, qubool farmaaiN

amjad
by Ibn-e-siddique
Sat Nov 19, 2005 11:04 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"
Replies: 6
Views: 489

"urti hai gul ki neend naseem-e-bahaar se"

Assalam-o-alaikum kuch arsa qabl Josh Malihabadi saHib ki zameen meiN aik ghazal likhi thi, aap sab ki aala basaaratoN aur intiqaad-o-aiHtisaab ki nazr kar rahaa hooN : rastay jo munsalik the mire koo-e-yaar se ab tak aTey hue haiN voh dil ke ghubaar se maaloom ye hua hai mujhe hijr-e-yaar se koi sa...
by Ibn-e-siddique
Sat Nov 19, 2005 10:49 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ik choti si koshish
Replies: 8
Views: 444

Handsome saHib

salaam arz hai

aap ki ye saada si nazm hamen pasand aayee

bahot khoob

Amjad
by Ibn-e-siddique
Sat Nov 19, 2005 10:48 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "ke din aa rahe hai.n"tarhi ghazal
Replies: 4
Views: 262

Hamid saHib

salaam arz hai

aap ki ye ghazal hameN bahot pasand aayee

hamaari jaanib se daad Haazir hai, qubool farmaaiN

amjad
by Ibn-e-siddique
Sat Nov 19, 2005 10:37 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "mout"aik nazm peshe khidmat hai
Replies: 10
Views: 660

Mohtaram Hamid saHib salaam arz hai hamesha ki tarah aap ke Hassaas qalam se aik aur umda takhleeq. "maut" ka zikr itne khoobsurat andaaz mein kia goya maut ki talkhi aur khauf kam mehsoos hone lage. gar haadise ki mout se bachna hai dosto khulkar khuda ki raah mei.n sadqa diya karo allah ...
by Ibn-e-siddique
Sat Nov 19, 2005 10:29 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Taaza tarahi ghazal pesh hai.....
Replies: 8
Views: 396

shumaila saHiba salaam arz hai mashallah aap ke liye ye zameen bahot zarkheiz caabit hui, ye baat aap ki shaa'iraana salaaHiyyatoN ki daleel bhi hai she'r no. 2 mein aap se choTi si ghalati ho gayee :P , jis ki janib Mohtaram Nazir saHib ishaara kar chuke hain jo ash'aar mujhe pasand aaye, voh darj-...
by Ibn-e-siddique
Tue Nov 15, 2005 9:45 am
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: aik sawal
Replies: 4
Views: 1530

Mohtaram Nazir saHib is zimn mein mera bhi aik savaal hai. maine dekha hai ke baaz alfaaz per tashdeed hoti hai, magar unheN ash'aar meiN tashdeed ke baghair bhi iste'maal kia jaata hai. jaise ke ummeed ghalib ne is lafz ko tashdeed ke saath iste'maal kia hai : ham ko un se vafaa ki hai ummeed jo na...
by Ibn-e-siddique
Mon Nov 14, 2005 5:48 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Irfan Barabankwi - Jeddah
Replies: 13
Views: 1591

Irfan saHib salaam arz hai bahot khoob janaab, bahot lutf aaya aap ki ghazal paRh ker. kia khoobsurat ash'aar kahe haiN : raqSaaN ajal hei Taair-e-bismil ke saamne "maiN sar jhukaaye baiThaa hooN qaatil ke saamne" Houtaa hei intikhaab bahut sakht us ghaRi tarjeeH kaa sawaal hou jab dil ke ...
by Ibn-e-siddique
Mon Nov 14, 2005 5:41 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 11 per TaraHi ghazal: Abdulqayyum SaHil, jeddah
Replies: 5
Views: 456

saHil saHib

salaam arz hai

janaab aap ki ye ghazal hameN bahot pasand aayee, mashallah bahot khoobsoorat mazaameen baaNdhe haiN.

aik umda ghazal sunaane per aap hamaari jaanib se nazraana-e-daad-o-sitaaish qubool farmaaiN

amjad
by Ibn-e-siddique
Thu Oct 20, 2005 11:55 am
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Iqbal ki nazm : MEHDI
Replies: 2
Views: 3468

Iqbal ki nazm : MEHDI

Assalam-o-alaikum pesh-e-khidmat hai, Iqbal ki darj-e-zail nazm (Mehdi) per aik mukhtasar sa review : Mehdi http://img395.imageshack.us/img395/7660/mehdi3dz.jpg Mehdi Allama Iqbal ki ye nazm unki kitaab " zarb-e-kaleem " meiN hai. Iqbal ki ye kitaab July 1936 meiN shaai'a hui. jahaaN "...
by Ibn-e-siddique
Thu Oct 20, 2005 11:51 am
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Iqbal ka aik she'r ....... baa.tashreeH
Replies: 4
Views: 1676

doosri qist to saqi naamah ki pesh karni thi, muaafi chaahooN ga ke taakheer ho rahi hai ;)

magar tab tak aik aur nazm per kuch likha hai voh pesh kar rahaa hooN, apni giraaN qadr aaraa se navaaziye ga :)

Amjad