Search found 219 matches

by Ibn-e-siddique
Tue Sep 27, 2005 10:18 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: Mere maHboob (naz^m)::
Replies: 8
Views: 484

aaj aek muddat baa'd connect hosakaa hoN , socha Khaali haath na aayaa jaaye so aek nazm k saath Haazir hoN , yaad rahe k ye nazm pehle bhi paish kee thee magar tab is k faqat 3 ash'aar the ! aur ab 14 :D ummed hai k ye neesh bhi gawaaraa kareNge ! qat^a'-e-naz^ar is baat k k maiN bohut jald reply ...
by Ibn-e-siddique
Sun Sep 25, 2005 6:04 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guz.9 ki TaraHi ghazal, Abdulqayyum Sahil, Jeddah
Replies: 2
Views: 255

saHil saHib

salaam arz hai

taraHi misre per aap ki ghazal pasand aayee. tazmeen ka she'r bhi acha hai.

daad qubool keejiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Wed Sep 14, 2005 7:05 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aik ghazal sahra ki
Replies: 4
Views: 372

shukria Amjad sahib

Amjad Sahib
walaikum salaam
Is himmat afzai ka shukria. behad mamnoon hoN.
Mahtab Qadr
Mahtab sahib

salaam arz hai

vaah janaab, mashallah bahot umda ghazal kahii aap ne

daad Haazir hai, qubool farmaaiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Wed Sep 14, 2005 6:53 am
Forum: Moshaairah
Topic: Tarahi ghazal Guz#9
Replies: 10
Views: 879

zarqa behen

salaam arz hai

aap ki ghazal dekh ker khushi hui, aap ke kalaam meiN nikhaar aata jaa rahaa hai.

daad qubool keejiye

amjad
by Ibn-e-siddique
Thu Sep 08, 2005 7:36 am
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Nazm SAAQI NAAMAH : AIK REVIEW
Replies: 10
Views: 2393

Assalam-o-alaikum aap sab ka bahot bahot shukria ke aap ne mere pesh.karda "review" ko pasand farmaaya. bay.shak Iqbal ki afkaar-o-takhayyulaat duar-e-haazir ke musalmaanoN , khaas taur per nau.javaan nasl meiN aik inqilaabi soch paida kar sakte haiN, is liye in ka mutaalea aur in per baat...
by Ibn-e-siddique
Thu Sep 01, 2005 6:08 am
Forum: Moshaairah
Topic: TaraHi Ghazal Guz.8 ke miSreA per: Abdulqayyum Sahil, jeddah
Replies: 8
Views: 641

sahil saHib

salaam arz hai

bahot khoob janaab

aap ki ghazal paRh ker lutf aaya, kuch ash'aar khaas taur per pasand aaye. girah bhi khoob lagaai

aik kaamiyaab ghazal per meri jaanib se daad qubool farmaaiN

amjad
by Ibn-e-siddique
Wed Aug 31, 2005 7:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik nazm : Adhoori baateN
Replies: 10
Views: 397

Amjad SaaHeb: aadaab! teen haftoN ke ba'd kal hee gh`ar waapas aayaa hooN. aap kee naz^m aaj dekh`ee aur pasand aayee. daad HaaZ^ir hai. jazbaat aur un kaa bayaan dilkash haiN. maashaa-Allah! haaN, agar :ab de do: ko badal kar koyee aur fiqrah kar sakeN to meraa Khayaal hai keh nazm kaa waqaar nikh...
by Ibn-e-siddique
Mon Aug 29, 2005 6:59 am
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Iqbal.com.pk
Replies: 2
Views: 320

Anmol saHiba

salaam arz hai

maiN aap ka bahot mamnoon hooN ke aap ne Iqbal se mutalliq itni mufeed site ka link ataa kia

sadaa khush raheN

amjad
by Ibn-e-siddique
Sat Aug 27, 2005 12:15 pm
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Nazm SAAQI NAAMAH : AIK REVIEW
Replies: 10
Views: 2393

Nazm SAAQI NAAMAH : AIK REVIEW

Assalam-o-alaikum maiN Allama Iqbal ki nazm saaqi naama ka aik mukhtasar sa review pesh karne ki jasaarat kar rahaa hooN. nazm ke is khulaase ko main do (2) qistoN mein pesh karooN ga, taa'ke qaari tavaalat ke khauf se ise nazar andaaz na kareN :) saaqi naamah Iqbal ki ye nazm unki kitaab baal-e-ji...
by Ibn-e-siddique
Mon Aug 22, 2005 5:13 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Jurm-e-Dosti
Replies: 12
Views: 1007

steve almas saHib aadaab arz hai aap ki ghazal abhi abhi nazar navaaz hui. mazaameen to ache haiN, magar ghazal ke ash'aar paRh ker ye andaaza ho rahaa hai ke aap ne matle ke misra-e-oola meiN umr ko umer aur she'r no. chaar ke misra-e-caani meiN hijr ko hijer ke vazn per baaNdha hai. deegar ash'aar...
by Ibn-e-siddique
Mon Aug 22, 2005 4:57 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik Nazm: Kashf
Replies: 20
Views: 1312

Naheed saHiba salaam arz hai hamesha ki taraH aap ka judaa.gaana andaaz maiN yaqeeN ke saath teri rooH ko meHsoos karna chaahati hooN raat din, teri sangat meiN mehekna chahati hooN ........... aik maa'soom si khwaahish, daad qubool keejiye, aap ki teHreereN mujhe bahot pasand aati haiN amjad
by Ibn-e-siddique
Wed Aug 17, 2005 7:20 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Radeef Pathar ki, aik ghazal
Replies: 16
Views: 1270

Mahtab saHib salaam arz hai aap ki ye ghazal ba.radeef-e-patthar vaaqai bahot umda hai. is kaamiyaab kaawish per aap yaqeenan daad aur mubarak.baad ke mustaHiq haiN reit se but na banaa ae mire ache fankaar aik lamHe ko Theher main tujhe pathar laa dooN umeed hai isi taraH apne kalaam se hameN musta...
by Ibn-e-siddique
Wed Aug 17, 2005 10:10 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek taazah ghazal baraye islaaH.............dunya dehlawi
Replies: 6
Views: 199

duniya saHiba salaam arz hai :) sab se pehle to ye bataa dooN ke maiN na koi ustaad hooN, aur na hi is qaabil hooN ke ustaad kehelvaa sakooN :P . doosri baat jo aap ne intizaar ke baare meiN farmaaii, us se mere ilm meiN izaafa hua. aap ne durust kahaa, ye muhaavara bhi saheeh hai, aur hindi ke saat...
by Ibn-e-siddique
Tue Aug 16, 2005 7:15 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ek halki phulki si ghazal.
Replies: 10
Views: 366

shummu saHiba !!

aap ki ye halkee phulkee ghazal hameN bahot pasand aayee :grin: :grin:

tamaam ash'aar pasand aaye, aik kaamiyaab zareefaana kaawish per hamaari jaanib se daad qubool farmaaiN ;) :grin:

she'r no.. 4 vaali baat qaabil-e-ghaur hai :lol: :lol: :lol:
by Ibn-e-siddique
Tue Aug 16, 2005 7:13 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Radeef Pathar ki, aik ghazal
Replies: 16
Views: 1270

Assalam-o-alaikum

Mahtab saHib, kia aap is ghazal ki file phir se upload kar sakte haiN, is liye ke mujhe aap ki ghazal nazar nahiN aa rahi.

aap aik baar dekh leejiye

shukria

amjad