Search found 11 matches

by Mohib
Fri Feb 10, 2006 7:45 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Khumar marhuum kaa Mushaira video
Replies: 1
Views: 163

Khumar marhuum kaa Mushaira video

aadaab arz hai dostoN !! Khumar Barabankvi kii mash'huur-e-zamaanaa Ghazal hai, 'ek pal meN ek sadii kaa mazaa ham se puuchhiye'. maine Aligarians.com per is Ghazal ko paRhte hu'e Khumar kaa video chaspaaN kiyaa hai. link ye rahaa, http://aligarians.com/2006/02/ek-pal-men-ek-sadii-kaa-mazaa-ham-se-p...
by Mohib
Fri Jan 27, 2006 11:56 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: husn ko be-hijaab honaa thaa
Replies: 2
Views: 172

husn ko be-hijaab honaa thaa

dostoN, aadaab arz hai !! apne majmua-e-kalaam “aahang” ke intisaab meN Majaz Lucknawi likhte haiN, فیض اور جزبی کے نام جو میرے دِل و جگر ہین سردار اور مخدوم کے نام جو میرے دست و بازو ہین Faiz aur Jazbi ke naam jo mere dil-o-jigar haiN Sardar aur Makhdoom ke naam jo mere dast-o-baazuu haiN. Majaz ke...
by Mohib
Thu Jan 26, 2006 10:32 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: shaam
Replies: 3
Views: 275

muhtaram Nazir sahab aur Sara sahiba,

aadaab arz hai !!

bahut shukriyaa mere intiKhaab ko pasand farmaane kaa. maiN aaiindaa bhii pesh kartaa rahuuNgaa.

khaq saar,
Mohib
by Mohib
Wed Jan 25, 2006 8:37 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: shaam
Replies: 3
Views: 275

shaam

shaam شام is tarah hai ke har ek peR ko’ii mandir hai ko’ii ujRaa huaa, benuur puraanaa mandir DhuunDtaa hai jo Kharaabii ke bahaane kab se chaak har baam, har ek dar kaa dam-e-aaKhir hai aasmaaN ko’ii purohit hai jo har baam tale jism par raaKh male, maathe pe sinduur male sar-niguuN baithaa hai ch...
by Mohib
Sun Jan 22, 2006 6:07 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 101312

haasil-e-Kun hai ye jahaan-e-Kharaab
ye hii mumkin thaa itnii ujlat meN

Jaun Elia
by Mohib
Sun Apr 10, 2005 4:46 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ek mukhtasar ghazal
Replies: 5
Views: 464

ek mukhtasar ghazal

aadaab !! ek mukhtasar si ghazal haazir-e-khidmat hai. :) dil-e-naadaan kee qayadat mein umr guzree hai kis aziyat mein tum bhi ho kya kisi ki qurbat mein?? ham bhi jalte the yun hi furqat mein !! ab tujhe bhool bhi nahin sakte mubtilaa hain ajab museebat mein kisko fursat thi ghar banane kee log ra...
by Mohib
Thu Jan 13, 2005 4:36 am
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Ali Sardar Jafri - Kaun Dushman Hai
Replies: 1
Views: 1517

Ali Sardar Jafri - Kaun Dushman Hai

ghulam tum bhi the yaaron ghulam hum bhi the nahaa ke khuun mein aayi the fasl-e-aazadi maza to tab tha ke milkar elaaj-e-jaan karte khud apne haath se taameer-e-gulsitaan karte hamare dard mein tum aur tumhare dard mein ham shareek hote kuch jashn-e-aashiyaan karte. tum aao gulshan-e-Lahore se cha...
by Mohib
Sun Jan 09, 2005 5:09 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: tum nahin aaye the jab, tab bhi to maujood the tum
Replies: 2
Views: 930

tum nahin aaye the jab, tab bhi to maujood the tum

haazreen-e-mehfil, salaam-e-khuloos. Ali Sardar Jafri ki ek nazm mujhe behad pasand hai, aur main net per bahut ar'se se uski talash mein tha. kal ittefaaq se ye nazm mujhe www.mushaira.org per khud Jafri sahab ki aawaz mein sunne ko mili. maine fauran ise note kar liya aur ab aap sabki khidmat mein...
by Mohib
Wed Jan 05, 2005 6:54 am
Forum: Anjuman
Topic: Sher ke doosre misre ke pehle/aakhri alfaaz se sher kahiye!
Replies: 962
Views: 75362

khamoshi kah rahi hai kaan mein kya
aa raha hai mere gumaan nein kya
ye mujhe chain kyuN nahin padtaa
ek hi shaks tha jahaan mein kya??

ek aur kya
by Mohib
Thu Dec 30, 2004 3:33 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: kuchh iss ada se aaj wo pehlu nasheeN rahey - Jigar
Replies: 3
Views: 692

kuchh iss ada se aaj wo pehlu nasheeN rahey - Jigar

aadaab !! Jigar ki ek ghazal pesh-e-khidmat hai. --------------- kuchh iss ada se aaj wo pehlu nasheeN rahey jab tak hamaray pass rahey ham naheeN rahey Yaa Rab! kisi ke Raaz-e-mohabbat ki khair ho Dast-e-junoon rahey na rahey aasteeN rahey dard-e-gham-e-firaaq ke yeh sakht marhalaay Hairaan hoon ma...
by Mohib
Thu Dec 30, 2004 3:12 pm
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Welcome Mohib Saahib
Replies: 6
Views: 517

aap hazraat ki muhabbat aur khuloos ka behad shukriya.
:D

main baaqayedgee se aane ki poori koshish karuunga.

khaq saar
Mohib