Search found 444 matches

by Daanish
Thu Feb 09, 2006 3:35 am
Forum: Anjuman
Topic: Harf-e-'SEEN' se ash'aar bhejiye..shukriya!
Replies: 68
Views: 9543

sab pe, jis baar ne giraani ki
us ko yeh natawaaN uThhaa laaya--Meer
by Daanish
Thu Feb 09, 2006 3:27 am
Forum: Anjuman
Topic: SAWALIYAH ASH,AAR========
Replies: 421
Views: 47434

kis dil se tira teer-e-nigah, yaar na guzra?
kis jaan ko yeh marg ka paighaam na aaya?--Meer
by Daanish
Thu Feb 09, 2006 3:22 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 106263

gul pheNke hai aalam ki taraf, balke samar bhi
ai khaana bar andaaz-e-chaman! kuch tau idhar bhi--Sauda
by Daanish
Thu Feb 09, 2006 3:18 am
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 67616

'Sauda' tiri fariyaad se aankhoN meiN kati raat
aati hai seher hone ko, tuk tu kahiN mar bhi
by Daanish
Wed Feb 08, 2006 2:20 am
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 67616

nahiN dekha hai lekin tujhko pahchaana hai Aatish ne
bajaa hai ai sanam! jo tujh ko daawa hai khudaai ka

Qais-o-Farhaad-o-Wamiq-o-Momin
mar gaye sab hi, kya daba hai ishq!
by Daanish
Tue Feb 07, 2006 1:54 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal--"bhool gaye"
Replies: 2
Views: 135

nawazish

Nazir saheb, aadaab-o-tasleemaat zarranawazi ke liye bohat bohat shukriya...ghazal tafseel se paRHne aur hosla afzaai-o-rehnumaayi karne ke liye aap ka mamnoon huN...'kya sach hai, kya hai fareb-e-nazar.."beshak qawaid ke aitabar se aap ka kehna durust hai, lekin yeh bhi hai ke hum roz marra ki...
by Daanish
Tue Feb 07, 2006 6:15 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal--"bhool gaye"
Replies: 2
Views: 135

Ghazal--"bhool gaye"

hazreen-e-mehfil, adaab-o-tasleemaat. bazm meiN ek baar phir haazir hone ki jurrath kar raha huN, ek ghazal ke saath jo Majaz ki zameen meiN hui thhi. paRHne ki zehmat farmaiye aur apne ta'surat ka izhaar zaroor kijiye. Ghazal-nazr--e-Majaz ik aisa t'alluq-e-khaatir tha sab hosh ke saamaaN bhool gay...
by Daanish
Tue Feb 07, 2006 2:59 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal--"na ho jaaye"
Replies: 4
Views: 266

nawazish!

mohtaram Nazir saheb, mohtrarma Sara sahiba, tasleemaat. :-) zarra nawazi ke liye bohat bohat shukriya. nazir saheb, 'profile' se ab khaaksaar ka pata mil jayega. waise mera ta'lluq sheher-e-hyderabad, India se hai aur yahaN ke ek college ke shauba-e-angrezi se wabasta huN. pesha-e-tadrees se derina...
by Daanish
Sun Feb 05, 2006 3:00 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal--"na ho jaaye"
Replies: 4
Views: 266

Ghazal--"na ho jaaye"

ehl-e-bazm adaab kuchh din pehle ehbaab ki ek nishast meiN Hafeez Hoshiarpuri ka yeh misra ba-taur-e-tarah diya gaya thha: "raaz-e-ulfath ayaaN na ho jaaye"...is zameen meiN Jigar ki bhi ek mash'hoor ghazal hai. asaatzaa ki pairvi ko sa'adat samajhte hu'e khaaksaar ne bhi taba azmai ki, au...