Search found 444 matches

by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:55 am
Forum: Anjuman
Topic: "misr'a lagaaiye"
Replies: 22
Views: 4812

Swami SaHeb, Sara SaHeba aur digar ahbaab ji haaN, hum apne taur par misr'a lagaa sakte haiN aur shayr mukammal kar sakte haiN lekin yeh har kisi ke bas ki baat nahiN hai. ho saktaa hai ke ba'az ahbaab ke liye yeh ek mushkil amal ho....yuN kar sakte haiN, hum is mua'mle meiN 'flexible' ho sakte hai...
by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:44 am
Forum: Anjuman
Topic: Alif se shuroo hone waale ashaar yahaN post kareiN
Replies: 178
Views: 47466

alif


ab junooN aap hai garebaaNgiir
ab woh rasm-e-takullufaat gayi
--Jigar
by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:42 am
Forum: Anjuman
Topic: is HAFTE kaa lafz hai ... "RAAT yaa SHAB" par ash'
Replies: 111
Views: 33447

din ka kya zikr teerah_baKhtoN meiN
ek raat aayi, ek raat gayi
--Jigar
by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:40 am
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 43962

zameen-e-chaman gul khilaati hai kya kya
badaltaa hai rang aasmaaN kaise kaise
--Aatish
by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:39 am
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar #31---dil/jigar
Replies: 143
Views: 34953

dil gaya, raunaq-e-Hayaat gayi
Gham gaya, saari kaaenaat gayi
dil dhhaDakte hi phhir gayi woh nazar
lab tak aayi na thhi ke baat gayi
--Jigar
by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:31 am
Forum: Anjuman
Topic: riwayati 'bait-baazi'
Replies: 265
Views: 52346

yeh naaz-e-Husn tau dekho, ke dil ko taRpaa kar
nazar milaate nahiN muskuraaye jaate haiN
--Jigar

'noon'
by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:14 am
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar #31---dil/jigar
Replies: 143
Views: 34953

junooN meiN jitni bhi bakaar guzri hai
agarche dil pe Kharaabi hazaar guzri hai
--Faiz
by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:13 am
Forum: Anjuman
Topic: Shair ka jawab shair main dejeye
Replies: 637
Views: 98479

soyenge terii aankh ki Khalwat meiN kisi raat
saaye meiN tiri zulf ke jaagenge kisi din--Amjad Islaam Amjad
by Daanish
Tue Sep 12, 2006 2:10 am
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 67616

maqt'a

ya mazaaq-e-deed ki tohmat na lete, ai Jigar
ya mujassam dil, sarapaa aankh ban kar dekhte
by Daanish
Mon Sep 11, 2006 11:46 am
Forum: Anjuman
Topic: lafz par ash'aar #31---dil/jigar
Replies: 143
Views: 34953

'dil'


taa chand, josh-e-ishq se dil ki HifaazateiN
meri balaa se, ab woh junooni kahiiN rahe
--Jigar
by Daanish
Mon Sep 11, 2006 11:43 am
Forum: Anjuman
Topic: Ustaad Sho'ara ke 'MAQTE' post karein..
Replies: 480
Views: 67616

maqt'a


us fitna_Khu ke dar se ab uThhte nahiN Asad
is meiN hamaare sar pe qayaamat hi kyoN na ho
--Ghalib
by Daanish
Mon Sep 11, 2006 11:41 am
Forum: Anjuman
Topic: SAWALIYAH ASH,AAR========
Replies: 421
Views: 47434

'sawaaliyah'


haaN woh nahiN Khuda_parast, jaao woh bewafaa sahii
jis ko ho deen-o-dil azeez, uski gali meiN jaaye kyoN
--Ghalib
by Daanish
Mon Sep 11, 2006 11:36 am
Forum: Anjuman
Topic: riwayati 'bait-baazi'
Replies: 265
Views: 52346

ya rab kisi ke raaz-e-moHabbat ki Khair ho
dast-e-junooN rahe na rahe aasteeN rahe
--Jigar

'ye'
by Daanish
Mon Sep 11, 2006 11:35 am
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 106263

'pasandeedah'

bazm-e-saaqi meiN zara dekh tau chal kar zaahid
kya bahaareN haiN, chhalakte hu'e paimaanoN ki
--Jigar
by Daanish
Mon Sep 11, 2006 11:31 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal:dard de na Shifa kare koii..
Replies: 5
Views: 495

Mayankji ek Khoobsoorat taKhleeq par meri jaanib se daad Haazir hai. MoHtaram Nazir SaHeb bawaqt-e-fursat apne taacuraat pesh karenge aur humeiN kuchh seekhne ka mauqa faraaham karenge. mujhe yaqeen hai ke aap unki rehnumaayi se istefadah karenge. ek kamyaab koshish par daad-o-mubarakbaad qubool ki...