Search found 98 matches

by irfan abid
Sun Aug 14, 2005 9:15 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "aaiina mujh ko ..."
Replies: 13
Views: 1711

Anmol sahiba, aadaab!

aap kii giraaN.qadr daad mere liye baRaa aizaaz hai, aur aap kii chheRchaaR ek qeematii tuhfa! :-) donoN ke liye shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Sun Aug 14, 2005 9:13 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "aaiina mujh ko ..."
Replies: 13
Views: 1711

Shumaila sahiba, aadaab!

taaKheer ke liye behad sharminda huuN. baRe dinoN baad mulaaqaat huii. ummeed hai mizaaj baKhair hoNge. Ghazal par daad kaa bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Sun Aug 14, 2005 9:10 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Radeef Pathar ki, aik ghazal
Replies: 16
Views: 2432

Mahtab Sb, aadaab!

patthar kii radeef meN aap ne achchhe mazaameen baaNhde haiN. daad qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Fri Jul 22, 2005 11:58 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "aaiina mujh ko ..."
Replies: 13
Views: 1711

Hashmat Sb, salaam arz hai!

daad ke liye hasb-e-saabiq behad mamnuun huuN. shukriya! janaab, aap ko merii kis baat se ye taassur milaa ki :zamaana mujh se hai: ? bhaaii, mujhe apnii liyaaqat kii baabat aisaa gumaaN kabhii nahiiN huaa. rahii Ghazal-e-haaza ke matla kii baat, to maiN apnii raae pesh ...
by irfan abid
Thu Jul 14, 2005 12:31 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "aaiina mujh ko ..."
Replies: 13
Views: 1711

muhtaram Nazir Sb, aadaab arz hai!

aap kii daad ke liye dilii shukriya pesh kartaa huuN!

Sarwar Sb kii hairaanii par mujhe hairaanii ho rahii hai. ek seedhaa saa sher un kii samajh meN nahiiN aayaa. aap hii bataaiye ki saamne :meN: yaa peechhe :meN: dekhnaa kahaaN kii zabaan hai! yahaaN merii ...
by irfan abid
Thu Jul 14, 2005 12:23 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: “laao koii jugnu koii tara koi suraj” ......................
Replies: 10
Views: 1101

muhtaram Jawaid Sb, aadaab!

ek mushkil zameen meN aap ne umda ash.aar nikaale haiN. merii jaanib se daad haazir hai!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Tue Jul 12, 2005 3:39 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "aaiina mujh ko ..."
Replies: 13
Views: 1711

muhtaram Sarwar Sb, aadaab!

daad kaa shukriya! maiN jaldii meN sher nahiiN kahtaa. is Ghazal par bhii maiN ne utnii hii mahnat kii hai jitnii apnii deegar naacheez taKhleeqaat par kartaa huuN. ab agar is meN aap ko KhaamiyaaN nazar aayiiN to koii ta.ajjub nahiiN. qaara.een kii pasand par meraa koii ...
by irfan abid
Tue Jul 12, 2005 3:38 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "aaiina mujh ko ..."
Replies: 13
Views: 1711

Sara sahiba, aadaab arz hai!

aap ne Ghazal pasand farmaayii, ye mere liye behad Khushii kii baat hai. meraa dilii shukriya qubuul keejiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Sun Jul 10, 2005 3:34 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: "aaiina mujh ko ..."
Replies: 13
Views: 1711

Ghazal: "aaiina mujh ko ..."

aadaab, dosto!

ek taaza Ghazal pesh-e-Khidmat hai. mulaahiza farmaaiye aur apnii raae se navaaziye.

Ghazal

aaiina mujh ko pas-o-pesh meN taktaa kyuuN hai
mujh meN Khaamii hai to kahne meN jhijhaktaa kyuuN hai

justujuu jis kii ho aisaa to nahiiN kuchh mujh meN
ek saayaa mire atraaf bhaTaktaa ...
by irfan abid
Sun Jul 10, 2005 3:33 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: nazm: "farebii"
Replies: 10
Views: 1041

Usmani Sb, aadaab arz hai!

huzuur, is qadar izzat.afzaaii kaa maiN ahl to nahiiN, lekin aap kii navaazish kaa shukriya mujh par vaajib hai so qubuul farmaaiye! :-)

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Sun Jul 10, 2005 3:31 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ho gumaaN uss par!!
Replies: 21
Views: 2323

Naheed sahiba, aadaab!

hasb-e-maamuul ek achchhii Ghazal kahii hai aap ne. merii jaanib se daad haazir hai!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Wed Jul 06, 2005 12:13 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: nazm: "farebii"
Replies: 10
Views: 1041

Sara sahiba, salaam arz hai!

nazm pasand farmaane kaa bahut bahut shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Wed Jul 06, 2005 12:11 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: nazm: "farebii"
Replies: 10
Views: 1041

Mahtab Sb, aadaab!

qadr.daanii kaa shukriya! meraa zahn nazm kii jaanib kam hii maail hotaa hai, lekin aap ke hukm kii taameel kii puurii koshish karuuNgaa.

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Wed Jul 06, 2005 12:07 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ajeeb husn parasti hai uski aNkhoN mai
Replies: 14
Views: 3843

Mahtab Sb, aadaab!

Khuub Ghazal hai. daad qubuul farmaaiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
by irfan abid
Sat Jul 02, 2005 12:23 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: nazm: "farebii"
Replies: 10
Views: 1041

Waqar Sb, aadaab!

bhaaii, kaise mizaaj haiN? nazm par daad kaa shukriya qubuul keejiye!

niyaazmand,
Irfan :Abid: