Search found 500 matches

by muhammad_19k
Wed Sep 05, 2007 12:23 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish-32 : Doosri Ghazal Pesh-e-Khidmat Hai.....!!
Replies: 16
Views: 3629

Muneer bhai aap mujhe ye bataa-iaye ke aap log ( jawaid bhai, muzaffar bhai, aap waghairaa) kyaa khaate heN jo chashm e bad door is raftaar se ghazleN keh laite heN. aor phir har ghazal ka mai'yaar bhi wohi rehtaa hai? ashaar achhchhay heN. aap jaanteN heN ke chooNke meN seekhne ke marHalay meN hoo...
by muhammad_19k
Tue Sep 04, 2007 7:46 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzaarish 32 : Munir Armaan Nasimi
Replies: 10
Views: 1580

Muneer bhai leejiaye aap ke hukm ke muTaabiq Haazir ho gyaa hooN. maire leeaye aik mas'alla ye hai ke jab muzaffar SaHeb oar Jawaid SaHeb jaisi ilmi shakhsiat aap ki ghazal par apna mufaSal tabSira likh chukeY heN to meN kyaa likhooN? laikin aap ka hukm hey to likhna to paRe ga hi. 1. girah ka khya...
by muhammad_19k
Mon Sep 03, 2007 5:59 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 32 per meri nacheez ghazal....................
Replies: 12
Views: 2465

Jawaid bhai, Muzaffar SaHeb ne aap ke bare meN aor aor aap ne muzaffar SaHeb ke bare meN bilkul SaHeeH likhaa. aap baRay log heN. kalam par kudrat rakhte heN aor aor khyaalat ko alfaaz meN dhaalna khoob jaantay heN. laikin aap logoN ki guftagoo ke b'aad mas,alaa ham jaise shaagirdoN ko ho jaataa ha...
by muhammad_19k
Mon Sep 03, 2007 5:41 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: :: kabhi ik chiraaGh jalaa diyaa, kabhi ik chiraaGh bujhaa d
Replies: 3
Views: 504

Zia Balaoch SaHeb

aik achhi ghazal kehnay aor pesh karne par daad o mubaarakbaad qubool kijiaye.

regards,
Muhammad K Siddiqui.
by muhammad_19k
Fri Aug 31, 2007 7:31 am
Forum: Hamd aur Naat e Rasool
Topic: "tiree baargaa'h meiN aye khudaa"aik hamd peshay k
Replies: 3
Views: 624

Salam Mohtaram Haamid Baaqri SaHeb

aik baar phir aik shaandaar ghazal par daad o mubaarakbaad qubool kijiaye. girah oar maqta' khuSusan bohat pasand aa-aye.

khosha cheeN
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Wed Aug 29, 2007 2:58 pm
Forum: Kalaam-e-Asaatizah O Gauhar-e-Naayaab
Topic: Na kisi pe zakhm ayaaN koii........Faiz
Replies: 1
Views: 430

bohat khoob Saara ji,

kalaam, shaair, designing sab kuch bohat zabardast hai. daad o shukriyaa qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui
by muhammad_19k
Wed Aug 29, 2007 2:55 pm
Forum: IQBAALIYAAT
Topic: Aawaaz-e-ghaib
Replies: 4
Views: 1839

Zarqaa ji,

mujhe ye kehne meN koi aar naheeN ke in chopaloN par aap jis meHnat se urdu adab ki khidmat kar raheeN heN us ki micaal kam az kam maire ilm meN naheeN.

Allah aap ko khush rakhe,

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui
by muhammad_19k
Wed Aug 29, 2007 2:49 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Jo her su shakel teri dekhta huN
Replies: 3
Views: 268

Sohail bhai "jahaN anbaar thay kal khwahishoN kay " ye behtareen tabdeeli hai. 5. tiri aahat na mairi daikhtaa hooN aik to aahat ko daaikhnaa, phir tiri aor miri ka gad mad honaa. ye miSra mujhe to kuch jachaa naheeN. 'dekhta huN' do maani maiN istemaal hua hay 1. I see 2. let me check it...
by muhammad_19k
Wed Aug 29, 2007 7:46 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Araakeen ka t'aaruf - aik nazar!
Replies: 2
Views: 1227

Mohtaram Janab Meem Meem mughal SaHeb!

aisaa khoobSoorat oar tafseeli tua'ruf karwanay par maira shukriyaa qubool kijiaye.

mutashakkar,
Muhamamd K Siddiqui.
by muhammad_19k
Wed Aug 29, 2007 7:16 am
Forum: Hamd aur Naat e Rasool
Topic: ~~baar gaah-e-nabavii maiN Aqiidat hay Huroof~~
Replies: 5
Views: 782

Bohat khoob mughal SaHeb, mujhe khud bhi n'aat kehne ka shauq hai aor ussi shauq meN shaairi ke ye papaR bail rahaa hooN. aap ke n'aat masha-allah bohat khoob hai. tamaam ashaar bohat shaandaar heN aor mujhe bohat pasand aa-aye. maire leeaye bhi dua kijiaye ke meN bhi kabhi koi achchaa n'atiaa kalam...
by muhammad_19k
Wed Aug 29, 2007 6:02 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Rukhta tha jin ke khauf se main khirkiyan bhi bund
Replies: 2
Views: 152

Salam Afazal SaHeb, kahiaye kaise mizaaj heN? 1. bohat khoob. 2. ye khyaal kuch samajh naheeN aayaa. 3. bohat khoob. 4. raqS e gul se paroN ko kiyaa nisbat? patiaN ho to baat khoob hai. is ke allaawa lafz chhiRne shayed chhaiRne ka typo hai. 5. makaaN ka band honaa qaabil e ghor hai. 6. bohat khoob....
by muhammad_19k
Tue Aug 28, 2007 4:42 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: SukhanwaroN ke Huzoor chand ashaar!!!
Replies: 1
Views: 148

Ghazal in Roman YooNhi chalte chalte kissi ne kal zaraa aainaa jo dikhaa diyaa mujhe "meN" se "tu" ka HaseeN safar faqat aik pal meN karaa diyaa. huwaa Husn o ishq ka faiSlaa to ye faiSlaa kiyaa waqt ne. ke wajood Husn ko khaamshi se hi thaa khaak meN milaa diyaa. taire intezaar...
by muhammad_19k
Mon Aug 27, 2007 11:08 am
Forum: Moshaairah
Topic: guzarish #31
Replies: 2
Views: 740

Salam Rehanaa ji, kahiaye kaise mizaaj heN. is baar designing ka mai'yaar kuch bohat khoob na rahaa ;). haaN ghazal meN aap ka wohi raNg hai. 1. matlaa pasand aayaa. 2. pehla miSra meN alfaaz kuch ulaT pulaT lag raheN heN. 3. bohat khoob. donoN miSroN meN ham hai. pehlay miSra meN aap baithay thay h...
by muhammad_19k
Mon Aug 27, 2007 9:24 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: SukhanwaroN ke Huzoor chand ashaar!!!
Replies: 1
Views: 148

SukhanwaroN ke Huzoor chand ashaar!!!

Salam 'azeezan,

Sukhanwaraan e anjuman ke Huzoor chand ahsaar tabSira o rehnamai ke leeaye paish kar rahaa hooN. umeed hai ke shafqat farmaai jaa-aye gi.

paishgi shukriyaa qubool kijiaye.


niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Mon Aug 27, 2007 8:12 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Mana k main nishana-e-khauf-o-hirras houn
Replies: 3
Views: 234

Salam Afzal, maufi chaahtaa hooN ke kuch jaldi meN hooN 1. bohat khoob. 2. ab aao maire paas to naadan aandheeyo ye miSra kuch jachaa naheeN aor doosra miSra bhi kuch khaaS wazeH naheeN. 3. pakoN ki god meN koi aaNsoo chupaa gyaa ye miSra kayee taraH se behtar chaahtaa hai. palkoN ki god kaise ho sa...