Search found 500 matches

by muhammad_19k
Sun Jul 22, 2007 5:07 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal - Khushboo se Milo
Replies: 8
Views: 1040

mohtaram janab munir armaan nasimi SaHeb, aaj kal to lagaa hai mashq e sukhan zoroN par hai. pehlay chanaNdni, ab khushboo oar phir............ ;-). chaliaye daikhte haiN ke pardaa uthhay ga to kyaa niklay ga :-). ghazal bohat achhchhi hai. aor mujhe bohat bhalil lagi, mubarakbaad oar daad qubool ki...
by muhammad_19k
Sun Jul 22, 2007 4:51 pm
Forum: Moshaairah
Topic: "UThe gaa sar nah tere aastaaN se"...... S. J.
Replies: 4
Views: 789

Salam Sara, chaliaye shukr hai k aap ki bhi koi ghazal nazar to aa- ii. pehlaa sher to mujhe samajh naheeN aayaa. haaN baaqi ashaar achchaay haiN. un meN se bhi number 4 zydaa pasand aayaa. daad qubool kijiaye. aap doosre shuaraa ki ghazaloN ka sjaa saNwaar kar paish karti hai oar apni ghazal aisi s...
by muhammad_19k
Sun Jul 22, 2007 4:45 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik ik kar ke voh rukhsat hue haaye ghar se
Replies: 5
Views: 583

amjad SaHeb,

aap ki ghazal urdubandhan par daikh kar bohat khushi hoee. daad o mubarakbaad qubool kijiaye.

mukhliS,
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Fri Jul 20, 2007 1:51 pm
Forum: Anjuman
Topic: Kalaam e Nazir se intekhaab!
Replies: 7
Views: 2708

NaheeN thi jurrat e izhaar e Haal e dil mujh ko
junoon e shauq meN bay saakhtaa pukraar uthaa
by muhammad_19k
Fri Jul 20, 2007 1:38 pm
Forum: Anjuman
Topic: Kalaam e Nazir se intekhaab!
Replies: 7
Views: 2708

ye keh ke us ne mirii zindagii badal Daalii.
ke rasm o raah e moHabbat meN 'atedaal naheeN
by muhammad_19k
Fri Jul 20, 2007 1:37 pm
Forum: Anjuman
Topic: Kalaam e Nazir se intekhaab!
Replies: 7
Views: 2708

Kalaam e Nazir se intekhaab!

'azeezan!

kyaa meN aap se darkhaast kar saktaa hooN ke ustaad e mohtaram janab Abdullah Nazir SaHeb ke voh ash'aar yahaaN par likheN jo aap ko beHad pasand aa-eN hoN?


shukrguzaar,
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Fri Jul 20, 2007 1:32 pm
Forum: Anjuman
Topic: PASANDEEDA ASH,AAR
Replies: 652
Views: 102008

ahaahaa! kyaa zabardast sher paish kiyaa hai aap ne. shukr hai us ne be wafaee kee maiN kaRe imteHaan se niklaa! bohat khoob muzaffar SaaHeb, ---------------------------------------------------------- @topic apnaa chehraa hi muzayyan ho agar daaghoN se, aaeenoN se to vazaaHat naheeN maaNgi jaati -- ...
by muhammad_19k
Thu Jul 19, 2007 5:44 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal: tum to nahiiN ho
Replies: 2
Views: 449

Mayank ji, mashalllaH aap ki ghazal bohat achhchhi hai. men ne bashir badar SaHeb ki ye ghazal to naheeN paRhi laikin mazmoon daikh kar mujhe aisaa lagtaa hai "tum to naheeN ho" ko sawaaliya nishaan par khatam honaa chahiaye yani jaise, jo mai,y meN chhupaa hai vo nashaa tum to naheeN ho? ...
by muhammad_19k
Thu Jul 19, 2007 5:30 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: yehi derd hay yehi soz hay
Replies: 2
Views: 217

Waah Sohaib bhai. aisi shaandaar ghazal kahi ke waah kehne ke allawaa kuch oar bachtaa hi naheeN. sub se zydaa khushi ke baat hai ke Iqbaal ka raNg bohat numaayaaN hai. meN issay khushi baat samajhaa hooN. agar aap ko buraa lagay to ma'zirat chaahtaa hooN. mairi Taraf se mubaarakbaad qubool kijiaye....
by muhammad_19k
Thu Jul 19, 2007 4:48 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik aor ghazal.
Replies: 6
Views: 703

Khawer sahib! aap ki ghazal kuch din huay paRhi yaqeen kijiay buhut pasand ,go tabiat ki kharaabi ki wajah say jawaab likhnay mien dair huee magar saara waqt aap ki ghazal kay baaray mien hi sochtay guzra is ghazal ko daikh kar maHsoos hota hey kah aap isi aik ghazal main barsoon ka safar tay kar g...
by muhammad_19k
Tue Jul 17, 2007 6:08 am
Forum: Anjuman
Topic: "misr'a lagaaiye"
Replies: 22
Views: 4735

leejiaye ye thaa,

yooNhi mosam ki adaa daikh ke yaad aaya hai,
kis qadar jald badal jaate haiN insaaN jaanaa
----------ahmed faraz.

naya tarHi miSra,

maire maaHol meN har shakHs khudaa ho jaise
by muhammad_19k
Mon Jul 16, 2007 11:07 am
Forum: Anjuman
Topic: "misr'a lagaaiye"
Replies: 22
Views: 4735

ub ho kis baat pe deewana preshaaN SaHeb---------------------Khawar.
jabkeh daaman hei salaamat na girebaaN SaaHib


miSra'

kis qadar jal badal jaatay haiN insaaN jaanaaN
by muhammad_19k
Mon Jul 16, 2007 7:31 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik aor ghazal.
Replies: 6
Views: 703

Mohtaram janab SOHAIL SaHeb
Mohtaram janab JAWAID BADAUNI SaHeb


meN bohat shukrguzaar hooN ke aap ne mujhe aisi izzat bakhshi. aap ki aaraa maire leeaye bohat qeemti haiN. aor meN in ka zaroor khyaal rakhooN ga,

shukrguzar,
Muhammad K. Siddiqui
by muhammad_19k
Sun Jul 15, 2007 9:24 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik aor ghazal.
Replies: 6
Views: 703

Roman 1. abhi bulbul kiye rakh saaya tu gul ke shabistaaN par " abhi baaqi hai kuch kuch dhoob dewaare gulistaaN par 2. lagaa saktaa hai wo kaise koi ilzaam jaanaaN par sajaayaa jis ne hai farmaan us ka Taaq e nisyaaN par 3. khudaa se shikwaa hai tum ko mujhe hai maan ik but par khudaa kyooN k...
by muhammad_19k
Sun Jul 15, 2007 9:12 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik aor ghazal.
Replies: 6
Views: 703

aik aor ghazal.

Salam Dosto, aik Tarhi ghazal ke saath Haazir hooN. meN ne meHsoos kiyaa hai ke pichlay aik do maah se meN shaa'iri ko kuch zydaaa time day rahaa hooN. shayed kuch samajh aane ka waqt hai. is leeay aap logoN se darkhaat hai ke bharpoor tabSiraa se nawaaziay taa ke meN in ibtadaai ayyam meN hi ghalat...