Search found 500 matches

by muhammad_19k
Fri Jul 13, 2007 1:30 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal :
Replies: 4
Views: 294

jii aap ka Hukm sir aaNkhoN par :)
by muhammad_19k
Fri Jul 13, 2007 12:36 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal :
Replies: 4
Views: 294

Salam Armaan SaHeb, aap ki ghazal pehlay bhi daikhi thi laikin likhaa kuch na. kyooNke maire ta'currat se shaair ke naaraz hone ka khadsha bhi rehtaa hai. is leeaye koshish kartaa hooN ke pehlay kuch dost ghazal ki achchaa-oN par baat kar leN phir meN Hasb e 'aadat achchi bhali shaairi meN keeRay ni...
by muhammad_19k
Wed Jul 11, 2007 5:07 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aapkay
Replies: 2
Views: 200

Re: "hukoomat nafsay ammaara kee" tarhi kalaam aap

Assalaam o alaikum dosto :rose bahut dinoN baad hum yahaaN haazir huay haiN hamaari aik adna kaavish lekar gar qubool uftad zahay......... arz kiya hai.......... nateejaye fikr haamidbaaqari al hamdulillah[/color][/size] mohtaram janab HAMID BAAQRI SaHeb aik baar phir aap ke makhSooS rang meN ghaza...
by muhammad_19k
Wed Jul 11, 2007 4:36 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: shukr ke dil ne rahbari ki hai. - Muhammad K. Siddqui
Replies: 8
Views: 555

Re: shukr ke dil ne rahbari ki hai. - Muhammad K. Siddqui

'azeez dosto, leejiaye mujhe mubaarakbaad dijiaye. daikhiaye kaisaa kama huwaa ke meN aik hi haftay meN doosri ghazal keh Daali. meN abhi tak khud bhi Heeran hooN ;). aor sonay par suHaagaa ye ke meN jo aik ghazal meN 6 ya 7 ashaar likhne ke baad haftoN sochne par bhi koi nayaa sher na keh pataa th...
by muhammad_19k
Tue Jul 10, 2007 6:48 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: shukr ke dil ne rahbari ki hai. - Muhammad K. Siddqui
Replies: 8
Views: 555

moHtaram Janab Muzaffar Saheb, Salam o Adaab! aap ka behad mamnoon hooN ke aap in is moHabbat oar tawaaja se mairi ghazal koi daikhaa. meN aap ke tamaam mashwaraa jaat ke leeaye behad shukrguzaar hooN. aap jaante hi haiN ke abhi shaairi shroo hi ki hai. pukhtagi aate aate kuch to waqt lagaa gaa. 1,...
by muhammad_19k
Mon Jul 09, 2007 7:00 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Lab Sey Bian Bhi Na Ho
Replies: 1
Views: 229

Salam Suman, ashaar meN wazn ke kuch masaail lag raheN haiN. umeed hai ke koi maahir in ki bilkul theek theek nishaandahi kar de ga.is ke allawaa 1. pehlaa sher khud meN mukamal naheeN lagaa haaN doosre sher ke saath mil kar qitaa ki shakl me achchay ma'eni day rahaa hai. 2. achhchhaa khyaal hai. 3....
by muhammad_19k
Sat Jul 07, 2007 5:40 pm
Forum: Moshaairah
Topic: TarHi Ghazal Guzarish 30 - Muhammad K. Siddiqui
Replies: 10
Views: 1640

:) Jawaid SaHeb shukriyaa.

maire ishaaray se muraad thi ke pataa chal jaa-aye ke kyaa cheez behtar karni hai. ab pataa chal gyaa ke mafhoom kuch clear naheeN hai. meN zaroor behtarai laanay ki koshish karooN gaa.

bohat bohat shukriyaa.

mamnoon,
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Sat Jul 07, 2007 1:35 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: shukr ke dil ne rahbari ki hai. - Muhammad K. Siddqui
Replies: 8
Views: 555

mohtaram janab muneer SaHeb, aap ne mairi ghazal par apni jo raa-aye di hai. us ke paRhne ke b'aad mujhe is izhaar meN koi hichkachaahat naheeN ke aap bohat achchay Husn e zan ke maalik haiN ke saadaa si koshsish meN bhi aisi khoobSoorti dhooNd rahay haiN. meN to abhi is maqaam par hooN ke maire li...
by muhammad_19k
Sat Jul 07, 2007 5:19 am
Forum: Moshaairah
Topic: TarHi Ghazal Guzarish 30 - Muhammad K. Siddiqui
Replies: 10
Views: 1640

Re: TarHi Ghazal Guzarish 30 - Muhammad K. Siddiqui

Mohtaram Janab Jawaid SaHeb, meN aap ka bohat shukrguzaar hooN ke aap ne apnaa qeemti waqt nikaal kar chhoti chhoti tabdeelyoN se mairi ghazal ko saNwaar diyaa. ye yaqeenun aap jaise kohna mashq shaair ka hi kaam hai. aik do jagheN jahaaN aap ne behtari mujh par chhoRi, meN ye kehne meN bilkul bhi ...
by muhammad_19k
Fri Jul 06, 2007 11:14 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Tarahee Ghazal Urdu Duniya
Replies: 8
Views: 685

woh jo kahta tha buzdili hai Haram aaj usne hi Khud kushee ki hai ahaa haa. bohat khoob janab. bohat hi khoob. dar Haqeeqat jaise jaise is sh'er par sochtaa hooN nayee se mazmoon ka diaraa kaar wasee' hi hotaa nazar aaraa hai. idhar sochtaa hooN ke is meN bashri taqazoN ke teHt honay wali ghalati k...
by muhammad_19k
Fri Jul 06, 2007 10:22 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal - Humne Us Se Bhi Dosti Kii Hai........
Replies: 4
Views: 198

Muneer SaHeb, is meN kuch shak naheeN ke aap ki tarHi ghazal paRh mujhe eHsaa ho rahaa hai ke aap ne is par unti meHnat naheeN ki jitni doosri ghazloN par karte haiN. laikin chooNke shairy aap meN rachi basi hai is leeaye achchay sh'er to aap yaqeenun sotay meN bhi keh sakte haiN :-). meN pighal jaa...
by muhammad_19k
Fri Jul 06, 2007 9:19 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: shukr ke dil ne rahbari ki hai. - Muhammad K. Siddqui
Replies: 8
Views: 555

shukr ke dil ne rahbari ki hai. - Muhammad K. Siddqui

'azeez dosto, leejiaye mujhe mubaarakbaad dijiaye. daikhiaye kaisaa kama huwaa ke meN aik hi haftay meN doosri ghazal keh Daali. meN abhi tak khud bhi Heeran hooN ;). aor sonay par suHaagaa ye ke meN jo aik ghazal meN 6 ya 7 ashaar likhne ke baad haftoN sochne par bhi koi nayaa sher na keh pataa tha...
by muhammad_19k
Fri Jul 06, 2007 8:14 am
Forum: Moshaairah
Topic: TarHi Ghazal Guzarish 30 - Muhammad K. Siddiqui
Replies: 10
Views: 1640

mohtaram Janab jawaid SaHeb,

aap ke hukm ke mutaabiq ghazal urdu meN bhi likh di hai.

niazmand,
Muhammad K. Siddiqui.
by muhammad_19k
Thu Jul 05, 2007 11:32 am
Forum: Moshaairah
Topic: GuZarish#30 ke liye meree ma'muli see koshish!
Replies: 5
Views: 693

Muzaffar SaHeb, hasbe ma'mool aap ki ghazal ghair ma'mooli hai. is baar darj zail sh'er na khadang e naaz ka kaam kiyaa, maiN patthar hooN to phir namkeen panee miree AaNkhooN meN utraa hai kahaaN se! aor is ke allawaa ye waalay ashaar bohat zydaa pasanda aa-aye. KhadanG-e-naaZ jo seh le tumhara Jig...
by muhammad_19k
Wed Jul 04, 2007 6:17 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 30
Replies: 6
Views: 879

Sohail SaHeb,

wazaaHat ka bohat bohat shukriyaa.

aap ki shaairi aik sher meN hi naheeN balke baishter ashaar meN Iqbaal ka hi Hakeemanaa andaaza rakhti hai. agar kabhi ho sake to apni ko nazm bhi share ki jiiaye ga.

dua'go,
Muhammad K. Siddiqui.