Search found 500 matches

by muhammad_19k
Thu May 03, 2007 11:54 am
Forum: Moshaairah
Topic: GUZARISH #28 - kuraidooN jo insaaN nazar aa rahe haiN.
Replies: 17
Views: 2772

MOHTARAM JANAB HAMID SAHEB kaise mizaaj haiN aap ke? umeed kartaa hooN ke sub kuch khairiat se hoga. is maah ke TaraHi miSraa par aap ka nateeja e fikr aankhoaN ke saamne hai. maashaa Allah aap aik baar phir aap ne bohat khoobSoorat mazaameen baandhay haiN. maqta' ka khyaal bohat gehraa oar latef ha...
by muhammad_19k
Thu May 03, 2007 11:33 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish # 28 - Jawaid Badauni
Replies: 12
Views: 1514

Re: Tarahee Ghazal Guz: 28

MOHTARAM JANAB JAWAID BADAUNI SAHEB aik nehtait hi shaandaar ghazal par dilli mubarakbaad qabool kijiaye. agar isse gustakhi ke zimray meiN naa laayaa jaa-aye to meiN keh saktaa hooN ke meiN ab tak aap ko ja kalaam paRha hai us meiN ye behtareen ghazloaN me se aik hai. aik aik sh'er bohat zabardast ...
by muhammad_19k
Thu May 03, 2007 11:01 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Replies: 16
Views: 1866

SALAM REHANA JI, meiN aap ka dil ki ahtaa gehraoN se shukrguzaar hooN ke aap is qadr ikhlaS se mujhe apni raa-aye se nawaaz rahi haiN. Ye mujh par aap ka qarz huwaa. laikin such baat ye hai ke meiN yehi kehnaa chahtaa hooN ke "sharab peenay se koi dairaa Islam se khaarij naheeN hotaa" dar ...
by muhammad_19k
Thu May 03, 2007 10:34 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik khoobSoorat ghazal---------------Muhammad K. Siddiqui
Replies: 19
Views: 2363

GHAZAL IN ROMAN 1. Jo zulfoaN ko un ki ghataa baandhtay haiN woh sooraj ko goyaa diyaa baandhtay haiN 2. hawaa jo sharat karay un se koi woh aanchal meiN apni hawaa bandhtay haiN 3. zaraa sochiaye kiss ki ruswai ho gi agar dar pe ham boriyaa baandhtay haiN 4. hay kia 'aashiqi 'ishaq hai kiyaa m'uam...
by muhammad_19k
Thu May 03, 2007 9:59 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aik khoobSoorat ghazal---------------Muhammad K. Siddiqui
Replies: 19
Views: 2363

aik khoobSoorat ghazal---------------Muhammad K. Siddiqui

Salam Azeez sathio, aik mukhtaSir aor khoobSoorat ghazal paish e khidmat hai. khoobSoorat kehne ki jasaarat iss leeaye kar rahaa hooN ke meiN jub bhi isse paRha to mujhe khud ko achchi lagti hai. aap ka mujh ittefaq karnaa koi zaroori nahi :-). Yaqeenun mirii pasand ya na pasand abhi iss m'aiyaar pa...
by muhammad_19k
Thu May 03, 2007 9:43 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Replies: 16
Views: 1866

Janab MOHTARAM JAWAID SAHEB, mien typographical error ke maazirat chahtaa hooN. meiN ne taSHeeH kar di hai. aap ne likhaa. 1. Sharab peena sharaii e'tbaar se Ghalat hai magar yaqeenan eh aamaal ki Ghalatee hai aur pene wala gunaah ka murtakib hai magar Kharij-ul-deen nahiN. 2. Ammal aur aqeeedeh ki ...
by muhammad_19k
Thu May 03, 2007 9:20 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ManzilieiN mil jaeiN gi
Replies: 9
Views: 1176

MOHTARAM JANAB AKIF SAHEB,

kahiaye kaise mizaaj haiN?

aik aor khoobSoorat takhleeq par mirii taraf se bhi mubarakbaad qabool kijiaye. maqt'a sub ashaar se zyadaa mutaCir kun lagaa.

du'aa goa,
MUHAMMAD K SIDDIQUI.
by muhammad_19k
Thu May 03, 2007 6:05 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Replies: 16
Views: 1866

MOHTARAM JANAB JAWAID SAHEB, aap ki daad o tajaweez ke leeaye beHad shukrguzaar hooN. aor mamnoon hooN ke aap ne apne qeemti waqt meiN se kuch waqt nikaal kar mairi ghazal par tabSiraa karnaa ganwaaraa kiyaa. aakhiri sha'er par mazhabi tanqeed ke leeaye meiN likhte waqt hi meiN zahni Tor par tayyar ...
by muhammad_19k
Wed May 02, 2007 1:27 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Taaza Ghazal-meri bikhri hui hasti...
Replies: 11
Views: 1361

SHUMAILA JEE, aap ki ghazal ka ta-accur to achchchaa thaa hi. tabSiraa par jawab bhi kuch kam naheeN hai :-). aap ki tamaam wazaHateiN khoob haiN. aap ne ye bataa kar ke is beHr meiN pehlay runk ki jagaa fa'ilaatun bhi ist'emaal kiyaa ja saktaa hai. marie ilm mieN izaafa kiyaa hai. jis ke leeaye mei...
by muhammad_19k
Wed May 02, 2007 11:08 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish#28 ke liye apnee ma'mulee se koshish!
Replies: 12
Views: 1658

Janab Muzaffar SaHeb meiN jaantaa hooN ki aik lehar aa-ii, khyaalaat ki aamaad hoee aor aap ka qalam chal niklaa. aor ye bhi shroo aat hai. TaraH miSr'a daikh kar mujhe andaaza hotaa hai ke aap kam az aik aor ghazal to zaroor likhaiN gaiN. Do ho jaa-aiN to kuch ba'eed naheeN. :-). aap ke sub ashaar ...
by muhammad_19k
Wed May 02, 2007 6:49 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Replies: 16
Views: 1866

MOHTARAM JANAB ZIA BALOCH SAHEB, aap ne likhaa moHtaram janaab Khawar SaaHib, aadaab ! aap kii Ghazal se to go k bahut pehle lutf-andoz hovaa hooN , magar kuchh likhne ki naubat naheeN aa'ii ! jis ke liye aap se tah-e-dil se ma'zirat Khaah hooN ! jaisa k aap jaante haiN k maiN koi nukta-sanj naheeN ...
by muhammad_19k
Wed May 02, 2007 6:45 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Replies: 16
Views: 1866

Re: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui

MOHTARMA O AZEEZA REHANAA SAHIBA. aap ka tafseeli tabSira paRh kar be intehaa khushi hoee. agar aap dost ehbaab aap ki taraH tabSiraa farmateiN rahaiN to bohat jald theek ho jaa-ooN ga :grin: kuch bataiN jin ki wazaHat ki jaa sakti hai aik guzarish karon gee kah agar ko,i baat achhi nah lagee ho to ...
by muhammad_19k
Sat Apr 28, 2007 12:34 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Husn ik nuqta meiN jaa-aye ga simaT
Replies: 5
Views: 414

SHUMAILA JI

ghalateeoN ki nishandahi aor ghazal par daad ke leeaye aap ka shukriyaa adaa kartaa hooN. qabool kijiaye.

mutashakkar,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI
by muhammad_19k
Sat Apr 28, 2007 12:20 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Taaza Ghazal-meri bikhri hui hasti...
Replies: 11
Views: 1361

Salam Shumaila Ji, iss se pehlay ke koi sukhan shanas aap ki ghazal par izhar e raa-aye karay, mujhe ijaazat dijiaye ke meiN apni fazool si raa-aye se aap ki ghazal ke bakhiaye udhaiR sakooN. meri bikhri hui hastii ko ikhathTaa karne koi aa jaaye kahiN se mujhe poora karne! -------------------------...
by muhammad_19k
Sat Apr 28, 2007 8:23 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Husn ik nuqta meiN jaa-aye ga simaT
Replies: 5
Views: 414

GHAZAL ROMAN URDU 1. kia acar us par tirii taqreer kaa sun lay jo naalaa miray dil geer kaa 2. i'shq sodaa hai faqt taqdeer kaa i'shq se kyaa waastaa tadbeer kaa 3. Husn ik nuqtay meiN jaa-aye ga simaT mas'alaa hai i'shq ki tafseer kaa 4. ham naheeN lailaa tujhe kuch jaantay hay sabab majnooN tirii...