Search found 500 matches

by muhammad_19k
Sat Apr 28, 2007 8:22 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Husn ik nuqta meiN jaa-aye ga simaT
Replies: 5
Views: 414

Husn ik nuqta meiN jaa-aye ga simaT

Salam dosto,

leejiaye aik aor ghazal paish e khidmat hai. aap ki aaraa ka intezaar rahay ga.

mamnoon,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI.

* Ghazal Roman meiN bhi likh di gayee hai.
by muhammad_19k
Sat Apr 28, 2007 7:28 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal Mehfil e sukhan ke liye
Replies: 7
Views: 981

Salam Sara Ji daikhiaye is baar mujhe dair ho gayee. JANAB SARWAR SB, MUZAFAR SB, ZIA BALOCH BALOCH SB AOR SHAMMU SAHIBA aap ki ghazal par apni aaraa likh chukay haiN. ub bhalaa miray pass kia bachaa kehne ko ? So aik khoobSoorat ghazal par daad qabool kijiaye. aap ki is ghazal meiN ye walaa sha'er ...
by muhammad_19k
Fri Apr 27, 2007 8:15 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "jo laug auroN ki ezzat pe"taaza kalaam aapke hawa
Replies: 8
Views: 492

Janab Haamid Baaqri SaHeb Urdu adab ki jin web sites par mairaa guzar hotaa hai. wahaaN par aap ki mustaqil mizaaji, aap ke mozooat maire leeaye bohat mutaSSir kun haiN. aor hamesha motivation ka baaic bantay haiN. mujhe apni dua-oaN meiN khaSooSi Tor par yaad rakhaa karain. jo log auroN ki ezzat p...
by muhammad_19k
Fri Apr 27, 2007 8:00 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Replies: 16
Views: 1866

Mein

JANAB MUZAFFAR AHMED MUZAFFAR SAHEB
JANAB SALEEM BASHWAR SAHEB
OAR


JANAB HAAMID BAAQRI SAHEB
ka mamnoon hooN ke unhoaN ne mairi ghazal paRhi, pasand farmai aor HaSla afazai ki.

Khaksaar,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI
by muhammad_19k
Fri Apr 27, 2007 7:39 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish#27
Replies: 6
Views: 860

Salam REHAANA JI, aap ne kamaal kar diyaa hai. ghazal bohat shaandaar hai. aik aik lafaz moteeyoN ki taraH sajaa huwaa hai. aor har har khyaal subH roshan ki taraH Saaf hai. matl'a, girah aor maqt'a bhi zabardast haiN. ghazal aisi lateef hai ke girah meiN "go" ka wao giraana jaisi maamooli...
by muhammad_19k
Thu Apr 26, 2007 10:13 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal- Hay judai kia qiamet
Replies: 9
Views: 803

Siddiqui Saaheb assalam o alaekum Waaikum us Salam Doctor SaHeb, ------------------------ hay judai kia qayamat dekhiay TuTanay waloN ki halat dekhiay maira khyaal hai ke matlA par iss se zydaa meHnat honi chahiaye. aji yeh zulm nah kijiay---- mehnet say to pehlay hi ji churatay haiN. waisay kis li...
by muhammad_19k
Wed Apr 25, 2007 1:38 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal- Hay judai kia qiamet
Replies: 9
Views: 803

Doctor Sb,

ye tajweez daikiaye,

dard e dil ka barihaa qiSSa kahooN

ya


dar e dil ka barihaa charchaa karooN

doosri Soorat mujhe nisabtan behtar lag rahi hai. laazmi baat hai aap ki baa adaa hoti hai ke naheen ye toa aap hi samajh sakte haiN.

regards,

MUHAMMAD K. SIDDIQUI.
by muhammad_19k
Wed Apr 25, 2007 1:17 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal haazir-e-khidmat he !
Replies: 9
Views: 810

JANAB AZM BEHZAAD SAHEB,

apni iss khoobSoorat kaavish ko hamaray saath share karne ke leeaye mirii taraf se bhi mubarakbaad qabool kijiaye.

ALLAH karay zor e qalam aor zyaadaa.


dua'aa goa,
MUHAMMAD K. SIDDIQUI
by muhammad_19k
Wed Apr 25, 2007 12:58 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal- Hay judai kia qiamet
Replies: 9
Views: 803

hay judai kia qayamat dekhiay TuTanay waloN ki halat dekhiay maira khyaal hai ke matlA par iss se zydaa meHnat honi chahiaye. aarzu nah intizar o bey kassi chaar din Thehray ghaneemat dekhiay intizor o bay kasi aik tarkeeb hoee. Ub is se pehlay na hai to matlab huwa ke na intezaar hai na bay basi. m...
by muhammad_19k
Mon Apr 23, 2007 5:16 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: MeHfil-e-Mushae'rak ke t^arHee muqabilah ke liye meri Ghazal
Replies: 6
Views: 492

janab MUZAFFAR SAHEB, aap ne ghazal TarHi mushairaa mieN muqabalaa ke leeaye paish ki hai. meiN aap ki kaamyaab ke leeaye ALLAH TA'AALA ke HuZoor dua goaN hooN. Abhi thoRi dair ke leeaye on line huwaa hooN baad meiN tassali se daikh kar apne taCCuraat bhi bayaan karooN gaa. Haan agar aap ne kahaa ho...
by muhammad_19k
Fri Apr 20, 2007 2:15 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Replies: 16
Views: 1866

saaraa ji and shammu ji

aap ki pazeerai ka shukriyaa

mamnoon,
Muhamamd K. Siddqui.
by muhammad_19k
Fri Apr 20, 2007 2:09 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish # 27.......Saara Jabeen
Replies: 4
Views: 432

Salam Saraa ji, aap ne choonke baRay khaaS tore par typing ki mistake ka poochaa hai. to pehlay yehi kaam kar laitay haiN. 4. nahi hai koii shireeN saaz ab barbaT ke taaron meiN --------barbaT ke taaroN meiN. barbaT to-aye se hai. urdu meiN bhi theek karaiN mere naghmon ki dhun Khud mujh se pehchaan...
by muhammad_19k
Thu Apr 19, 2007 2:50 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui
Replies: 16
Views: 1866

Guzarish 27 -------------- Muhammad K. Siddiqui

Tamam yaaraan e bazm ko salam, chooNke safar meiN hooN iss leeaye koi khaaS iraadaa na thaa is bar tarHi moshairay ke leeaye kuch likhne ka. Laikin ustaad e mohtaram Janab Nazir SaHeb ki ghazal daikhi to dil kiyaa ke kuch likh hi dooN. do chaar sha'er pehlay ke likh rakhay thay. do chaar oar Daal ka...
by muhammad_19k
Thu Apr 19, 2007 8:27 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 27 par Janab Nazir Saheb ki mukhtasar Ghazal
Replies: 6
Views: 452

Salam! Kaash ke maire saamne bhi alfaaz aisi hi haat baandh kar khaRay hotay jaise ke muzaffar sb ke saamne khaRay rehtay haiN toa apne jazbaat ka khoob izhaar kartaa. urdu bandhan meiN shair paRh kar "His e jamaal" ko khourak milti hai oar ustaad mohtaram ki shirkat se rooH baagh baagh ho...
by muhammad_19k
Thu Apr 19, 2007 8:22 am
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: Meer-o-Saudaa
Replies: 7
Views: 2601

Shukriyaa Yasir Sb, Darasal meiN ne doosre sha'er pasand kiyaa thaa. aor meiN chahtaa thaa ke meiN us ki wajaa bhi bayaan kar dooN. Jub meiN ne pehli baar donoaN sha'er paRhay to pehlay hamlay meiN mujhe pehlaa sha'er bohat pasand aayaa. phir meiN ne ghor kiyaa toa pataa chalaa ke soora sha'er bohat...