Search found 500 matches

by muhammad_19k
Sat Feb 24, 2007 12:48 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Meri ek taza ghazal aapki samaatoN meN
Replies: 14
Views: 1299

Salam Rizwan Sb, aik khoobSoorat ghazal par mabarikbaad qabool keejiaye. Ghazal bohat pasand aai, khas toar par matla'A aor ye walaa sha'er, wahan ab kaunsa mausam bahareN leke ayega jahan sookhe darakhton ko bhi saya daar likkha hai haan maqtaA meiN mujhe lagaa jaise faa-il ghaaib hai. yani kiss ne...
by muhammad_19k
Thu Feb 22, 2007 10:33 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: hijr ki saat khudayaa ------ Muhamamd Khawar.
Replies: 6
Views: 227

hijr ki saat khudayaa ------ Muhamamd Khawar.

Salam Dosto, Tabsira ke leeaye aik ghazal paish kar rahaa hooN. aor aap ki mohabbat ka paishgi shukarguzaar hooN. choonke abhi sha'iri meiN nauwarid he hooN iss leeaye aap ka tabSiraa maire leeaye bohat mufeed ho gaa. khaaS tor par un alfaaz, tarakeeb, bayaanat ki baat zaroor kijiaye ga jo aap samaj...
by muhammad_19k
Wed Feb 21, 2007 9:35 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: "keh bolo kya tumhaara hai"taza tarhi kalaam aapka
Replies: 9
Views: 992

Mohtaram Haamid baaqri sb, is bazm meiN maiN khud ko aik "laadle" ki haciat meiN daikhtaa hooN. laadla iss taraH ke hooN to sub se chhotaa (ilmi a'etbaar se) magar phir bhi doosre ke kalaam par apne taSSuraat baghair kissi jhijhak ke paish kar daitaa hooN. umeed hai aap bhi dar guzar farma...
by muhammad_19k
Fri Feb 09, 2007 7:02 am
Forum: Moshaairah
Topic: mehfilay musaalema kayliye hamaari adna kaavish
Replies: 7
Views: 623

Janab Hamid baaqri sb,

aap ki mohabbat ka shukriyaa ke aap wazaahat kar ke mairi rehnami farmaee.

Allah aap ko khush o khurram rakhay,

dua go,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Tue Feb 06, 2007 10:19 am
Forum: Moshaairah
Topic: mehfilay musaalema kayliye hamaari adna kaavish
Replies: 7
Views: 623

Salam Haamid baaqri Sb, Allah taalaa aap par apni rehmatoaN aor naimatoaN ki baarish kartaa hi chalaa ja-aye. bohat khoobsoorat kalam likhaa hai aap ne. aik do batoaN ki wazahat agar naa cheez ke leeaye kar daiN to shukar guzaar hooN ga. aao guzaare.n zindagi 'ezzat say pyaar say karbobala yeh kehti...
by muhammad_19k
Tue Feb 06, 2007 6:06 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: rashk-e-faSl-e-bahaar hai Nazir*
Replies: 6
Views: 319

Saraa ji,

aap kaa shukriyaa.

Dua'go,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Sat Feb 03, 2007 6:38 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: rashk-e-faSl-e-bahaar hai Nazir*
Replies: 6
Views: 319

Muzaffar Sb, Jis faraakhdili se aap doosroaN ki Hoslaa afzaayi farmateiN haiN woah aap hi ka Turaa imtiaaz hai. maire maqtA ki hasiat aap ki ghazal ke khoobsoorat chehray par aik til se ziada naheeN hai. jo kissi ko khoobSoorat lag saktaa hai aor kissi ko bad numaa. aap ki baat par aitebaar kartaa ...
by muhammad_19k
Fri Feb 02, 2007 9:36 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: hastee-e-maohoom kaef-e-dao jahaaN kuch~ bh~ee naheeN!
Replies: 6
Views: 210

Janab Muzaffar Sb, aap ki shaa'iri hameshaa hi bohat pasand aati hai aor paRh kar khushi hoti hai. Allah taa'aala aap ko iss se bhi ziaaada nawazay. hasb e aadaat apne taaSurraat qalamband karne jaa rahaa hooN umeed hai ke aap mairi kam ilmi aor kam fehmi ko dar guzar farmaa-aiN gay. 1. matlA bohat...
by muhammad_19k
Fri Feb 02, 2007 7:11 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: rashk-e-faSl-e-bahaar hai Nazir*
Replies: 6
Views: 319

Muzaffar Sb, Gustakhi Mua'aaf, aap ki likhee huwee ghazal(qaSeedaa) haqeeqat par mabni aisi khoobsoorat ghazal hai ke aisaa lagaa jaise apne hi khyaalaat ki tarujmaani ho rahi ho. iss leeaye ghazal ke aakhir meiN aik gustakhi kar baithaa. yaqeenun ye (mairi ghalati) qabil e iSlaaH hai. aap jaisaa h...
by muhammad_19k
Thu Feb 01, 2007 12:40 pm
Forum: Moshaairah
Topic: guz.25 per meri ghazal. Irfan barabankwi.
Replies: 6
Views: 728

Re: guz.25 per meri ghazal. Irfan barabankwi.

Salam Mohtarmi, pehli baar aap ke roo buroo paish ho rahaa hooN. kissi bhi qism ki naa laaiqui k liaye paishgi muazirat Koii maatam, koii kartaa hei charaaghaaN kyaa kyaa Haadice dekhtaa hei deeda-e-HairaaN kyaa kyaa Bohat khoobsoorat matlA hai. purkashish aisaa ke aik dam se saari tawajja kheench ...
by muhammad_19k
Fri Jan 26, 2007 6:52 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 25 ------ Muhammad Khawar.
Replies: 4
Views: 410

Janab Muzafffar sb,

rehnamai oar hoslaa afzai ke leeaye aap ka bohat bohat sukirya.

shukarguzar,
Muhammad Khawar
by muhammad_19k
Fri Jan 26, 2007 6:48 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: us ka bhi gham (ghazal)
Replies: 5
Views: 467

Azeezam Saffy sahib, Salam arz hai. pehli baar aap ki mehfil meiN haazir ho rahaa hooN. aap ki ghazal yaqunun bohat khoobsoorat hai. phir pasand apni apni . Mujhe ye ye walaa sha'aer sub se ziadaa pasand aaye. ik baar log phir se dewaane ho rahaiN haiN kehte hain woa dobaraa maSoom ho chukaa hai. M...
by muhammad_19k
Fri Jan 26, 2007 6:39 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: i,laaj-e-talkhee-e-hijraaN naheeN hai,
Replies: 6
Views: 231

Azeezam Muzaffar sb,

aap ko mairi tajweez pasand aa-i, mairi qismat khul gayee. woh aise ke mairaa aitemaad kuch behtar huwaa hai. aor mujhe lagaa ke kabhi kabhi meiN koi baat saHeeH bhi samajh jaataa hooN. :-)

dua'a gao,

Muhammad Khawar
by muhammad_19k
Thu Jan 25, 2007 6:44 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 25 ------ Muhammad Khawar.
Replies: 4
Views: 410

Muzaffar Sb, aap ka ke mulaahizaat paRh kar khushi hoee. aap ne nehait khooobsoorat alfaaz meiN kuch achhay asbaaq se nawaaza hai. apni pehli post meiN ne maiN ne aik jumla ke izaafa kiaya hai. Jo surkh rang meiN likhaa huwaa hai. agar ho sake tao aik nazar uss par bhi daal leejiaye ga, aap ka mamno...
by muhammad_19k
Wed Jan 24, 2007 2:50 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal # 25..........Sara Jabeen
Replies: 7
Views: 1781

Saraa ji, aik do baar on line huwa to daikha ke aap ne baaqi logoaN ko jawab likhaa huwaa hay laikin maire sawalooaN ka jawab nadaarid. aik baar to aisa lagaa jaise aap ne ghussa kar leeaye ho. (iss ka izhaar meiN ne muzaffar sb ki ghazal par tabsira karte huway bhi kiyaa hai. ubb aap ke itnay itmen...