Search found 500 matches

by muhammad_19k
Wed Jan 24, 2007 2:38 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 25 ------ Muhammad Khawar.
Replies: 4
Views: 434

Guzarish 25 ------ Muhammad Khawar.

Salam dosto, yaqeenun bohat ziadaa dair ho gayee ghazal paish karne meiN laikin mairaa khayal hai mujh jaise shakhs ka kuch paish kar dainaa hi bohat hai. jald ya dair to bohat door ki baat hai. :grin: Toa janab ye rahi mairi koshish. 1. mujh pe kia guzri bataaooN tujhe jaanaaN kia kia ho gaye ...
by muhammad_19k
Wed Jan 24, 2007 1:39 pm
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish 25 ke liYe meree adna see kaoshish!
Replies: 9
Views: 913

Salam Muzaffar Sb, aap ne ye ghazal sub se pehlay post ki meiN ne ussi waqt paRh li thi laikin taa-assurat qalm band karne ka moqaa ub milaa hai. chooNke saari ghazal hi achchhi hai iss leeaye saair ghazal par comments ke baja-aye un batoaN par zor dooN gaa jo aap ki ghazal paRne ke forun baad maire ...
by muhammad_19k
Wed Jan 24, 2007 1:17 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: i,laaj-e-talkhee-e-hijraaN naheeN hai,
Replies: 6
Views: 241

Salam Muzaffar Sb, aik khoobsoorat koshish par Mubarikbaad qabool keejiaye. tamaam hi shaAer achhay haiN. mujhe sub se ziadaa ye walaa shaAer pasanda aayaa, "Haqiqt tum bh~ee yeh tasleem kar lo hamare waSl ka imkaaN naheeN hai," bohat khoobsoorat sheAer hai. aor bohat ziadaa be saakhtigi hai ...
by muhammad_19k
Wed Jan 24, 2007 10:13 am
Forum: Moshaairah
Topic: guz # 25
Replies: 5
Views: 616

Salam Zarqa ji, aap ke ashaar ke leeaye Muzaffar sb ne behtareen jumlaa likha hai, wohi repeat kartaa hoon. "bohat mehnat oar talaash se kehe gay shair haiN" Allah kare zor e qalam oar ziadaa. haan aap ki ghazal aor ustaad e mohtaram ka tabsiraa paRhte huwe pehlay thori si hairat hoee laikh phir ...
by muhammad_19k
Wed Jan 24, 2007 8:29 am
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: MukhtaSar sawaalat
Replies: 7
Views: 3104

Sir,

ho mere qatl par us sang-dil ki kyoon ta'reef...
main apne haath par rakh kar khud apni jaan gaya


kia doosre misrA behar meiN hai? mairaa khayaal hai ke "par" ki jageh "pe" honaa chahiaye.

regards,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Fri Jan 19, 2007 9:06 am
Forum: Moshaairah
Topic: Ghazal # 25..........Sara Jabeen
Replies: 7
Views: 1817

Saaraa ji, abhi kuch dair ke leeaye log in huwa tao apa ki ghazal par nazar paRh gayee. aik khoobsoorat takhleeq par mubaarikbaad qabool keejiaye. aap mujh jaise naalaiq ki is bazm mairi hasiat jaanti haiN. aik tifl se ziada kia ho gi. mujh ye haq hi naheeN pohanchtaa ke kissi ki shaAeri par ...
by muhammad_19k
Tue Jan 09, 2007 11:28 am
Forum: Moshaairah
Topic: Meri nacheez Ghazal (Guzarish 25)
Replies: 12
Views: 1874

Ji Sir,

aap theek farmaate haiN. mairaa ilm itnaa naheeN ke meiN adbi HwaloaN se baat kartaa. issi leeaye meiN ne apni tashreeH ki sanad aap se chaahi thi. aap ke mazmoon ka intezaar rahe ga.


dua goa,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Mon Jan 08, 2007 10:33 am
Forum: Moshaairah
Topic: Meri nacheez Ghazal (Guzarish 25)
Replies: 12
Views: 1874

Mohtaram Jawaid sb oar ustaad e mohtaram. Agar ijaazat ho tao meiN sirf is leeaye yahaan par "eetaa" ke bare meiN kuch arz karnaa chahtaa hooN ke agar meiN ghalat hooN toa ustaad mohtaram taSHeeH farmaa hi daiN ge oar agar meiN saHeeH hooN ga tao ustaad e mohtaram ka kuch waqt bach sake ga. "eetaa ...
by muhammad_19k
Sat Jan 06, 2007 6:21 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek maAmooli see taazah ghazal - -- - Abdullah Nazir
Replies: 5
Views: 551

Sir, Iss meiN koi shak naheeN ke na hi mujhe shaaAeri ki kuch aisi samajh hai aor na hi mieN alfaaz ka koi aisaa achha khilaaRi ke aap ki ghazal par raa-aye zani kar sakhooN. laikin aik baat bohat eemandari se kahooN ga. Mosiqi oar shAeri, kam az kam maire leeaye, ais cheezaiN haiN jo damagh ki ...
by muhammad_19k
Thu Jan 04, 2007 6:15 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aakhir e Saal.
Replies: 5
Views: 351

Salam Saraa Ji,

ye yeqeenun aap ka husn e nazar hai jo aam se alfaazh meiN kuch aisi khoobsoorati daikh raheeN haiN. Allah taala se dua go hooN ke aap ki salaheetoaN ko aor ujaagar kare,

shukarguzar,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Wed Dec 27, 2006 7:26 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ai dil.e beqaraar Hud kar dee ..............................
Replies: 10
Views: 765

Salam Jawaid Sb,

Ghazal bohat achchi hai oar maqtaa bohat khobo ;-).

kub se baiThe ho raah meN :Jawaid:
iss qadar e'tbaar Hud kar dee.


wah janab kia be sakhtigi hay iss bayan meiN. "had kar dee" :-)

Allah taalaa aap ko khusho khurram rakhay.

Duago,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Wed Dec 27, 2006 1:37 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aakhir e Saal.
Replies: 5
Views: 351

sbashwar sb,

Ji inshaallah woa saal, woah, woh din, woh lamhaa zaroor aa-aye ga.

ameen.
by muhammad_19k
Wed Dec 27, 2006 1:34 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aakhir e Saal.
Replies: 5
Views: 351

Ahmed bhai,

aap ka shukriya.
by muhammad_19k
Tue Dec 26, 2006 9:40 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Aakhir e Saal.
Replies: 5
Views: 351

Aakhir e Saal.

Salam Muazazeen e Bazm aik adna koshishish, aik khayal ke saath haazir hooN. har saal ke aakhir meiN ik saal ke aane ki khushkhabri sunate ho yooN payar jataate ho woah saal kab aa-aye ga jub apni bhi aamdad ki khushkhabri sunao ge yooN payar jatao ge. Aap ki aaraa ka shukriya, Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Sun Dec 24, 2006 4:57 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: 2006 ki aakhri ghazal pesh e khidmet.................:))
Replies: 2
Views: 201

Good one Saaraa Ji.