Search found 500 matches

by muhammad_19k
Sun Apr 13, 2008 8:35 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: NAII GHAZAL
Replies: 10
Views: 683

Sameer SaHeb,

aap ki ghazal par dobraa nazar paRi to is sher par aTTak gayee

tez suuraj maiN par ko jalaati raheeN
shub ko murjhaa kay sub titliyaaN so gayeeN


par sooraj jalaataa hai ke dhoop?
titliyaaN murjhaati heN ke thakti heN?

regards,
by muhammad_19k
Sun Apr 13, 2008 8:24 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN
Replies: 5
Views: 406

Re: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN

apni har haar meN ik jeet ka rasta daikheN ham agar haar ke har maat pe mucbat socheN moHtaram Khawar SaaHib, aadaab. yuN toh poori Ghazal hi ach~chi lagi, lekin uper diya huwa shair toh bahat hi Khoob laga, is nayee aur mushkill zameen ko aap ney Khoob nibhaya hai. naa cheez kii daad aur mubarakba...
by muhammad_19k
Sat Apr 12, 2008 6:58 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN
Replies: 5
Views: 406

kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN

Salam 'azeezan, aek mukhtalif andaaz ki koshish Haazir e khidmat hai aor aap ki raa-aye ki ashad zaroorat hai. Khawar. 1. kyooN na ham aaj se har baat pe mucbat socheN in badalte huway Haalat pe mucbat socheN 2. ham bhalaa janeN hi kyaa taaqat e parwaz abhi din nikal aa-aye agar raat pe mucbat soche...
by muhammad_19k
Thu Mar 27, 2008 4:39 pm
Forum: Moshaairah
Topic: "yeh khulday bareeN kay nazaaray tiray" guzarish #
Replies: 3
Views: 673

bohat khoob Hamid SaHeb,

ye sher bohat shaandaar hai.

[baye insaan sunlay keh mahshar kay din
nahiN chal sakayngay bahaanay tiray [/b]

daad qubool kijiaye.
by muhammad_19k
Wed Mar 26, 2008 5:41 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: ~:: aik Ghazal URDUBANDHAN par pehlii baar ::~
Replies: 5
Views: 528

bohat khoob
by muhammad_19k
Wed Mar 26, 2008 5:37 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: NAII GHAZAL
Replies: 10
Views: 683

raat, tablay kii dhun per khanak~tii rahiiN
subh utrii huiiN chuuR~yaaN so gayeeN
great one!
by muhammad_19k
Mon Mar 03, 2008 9:43 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: chand 'ash'aar
Replies: 2
Views: 195

chand 'ash'aar

Salam Dosto, chand ash'aar pesh e khidmat heN aor aap ki raa-aye ka intezaar hai. 1. kissi se dil lagaane ki Haqeeqat tum se seekhi hai. moHabbat zindigi hai aor mohabbat tum se seekhi hai. 2. kissi ik ki moHabbat meN Sanam sab se bigaR jaanaa, ye 'aadat kab thi apni par ye 'aadat tum se se seekhi h...
by muhammad_19k
Mon Mar 03, 2008 9:17 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: meri sada see Ghazal (Mushairah Urdu Duniya)
Replies: 7
Views: 353

Mohtaram Janab Javed SaHeb aap ghazal ke tamaam ashaar mani aafareeni men aaeenay ki taraH Saaf heN. aisi umdaa ghazal par daad qubool kijiaye. maqta' sab se zydaa pasand aayaa. aap ne aek sher likhaa hai. raha na aashna aiboN se apne woh jis se aaienah dekha nah jaaye mujhe donoN miSra meN zamanay...
by muhammad_19k
Mon Mar 03, 2008 8:55 am
Forum: Moshaairah
Topic: Guzarish # 37.......... Sara Jabeen
Replies: 4
Views: 702

Saara ji

mushaaira meN aap ki ghazal daikh kar bohat khushi hoee. dost eHbaab pehlay hi bohat khoobSoorat alfaaz meN is ki t'aareef kar chuke heN. mairi Taraf se bhi daad qubool kijaiye.

mukhliS,
by muhammad_19k
Fri Feb 29, 2008 8:58 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Ghazal-Both in Roman & Urdu - Baat Boloon ke....
Replies: 7
Views: 288

bohat khoob Muneer bhai

aap ko pehle hi bataa chuka hooN ke sh'er 2 samajh nahi aayaa. baaqi ghazal achhchhi hai.

wasalam,
by muhammad_19k
Wed Feb 27, 2008 1:42 pm
Forum: Moshaairah
Topic: GuZarish#37 pesh-e-khidmat hai.
Replies: 3
Views: 501

Mohtaram Janab Muzaffar SaHeb, kya mujhe ye baar kehne ki zaroorat hai ke meN aap ki shaairi se luTf andoz hotaa hooN aor bohat kuch seekhtaa hooN? yehi waja hai ke meN aap ko kuch tajaaveez bhi daitaa rehtaa hooN ta ke mujhe pataa chal sake ke konsi shakl behtar hai aor kyooN. aek baar phir Haazir ...
by muhammad_19k
Mon Feb 25, 2008 3:32 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: taZah Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Replies: 4
Views: 216

Muzaffar bhai,

waZaaHat ka bohat bohat shukriyaa.

niazmand,
by muhammad_19k
Mon Feb 25, 2008 3:31 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek sher.
Replies: 5
Views: 219

Muzaffar bhai,

meN koshish kartaa hooN

meN ne dil meN kissi ki taSweer sajani hai ( woh taSweer) kissi aise ki honi chahiaye ke dil ko aisaa lagay ( woh aisaa eHteram day) jaise khudaa hi dil men aa baiThaa hao.

khoshacheeN
by muhammad_19k
Sat Feb 23, 2008 1:31 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: Meri shadi ki pachchisveeN "anniversary"
Replies: 15
Views: 2110

waise suna hai Begam ko nazm pasand aaii hai aur unse bhi ziyadah mere bachchoN ko. sub ne "print out" nikaal liya hai aur logoN ko sunate phir rahe haiN yeh nazm hamare Papa ne Mummy ke liye likhi hai.

ye hoee na baat.
by muhammad_19k
Fri Feb 22, 2008 8:27 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: taZah Ghazal pesh-e-khidmat hai.
Replies: 4
Views: 216

Salam Muzaffar SaHeb, 'amoman aap ki ghazloN par tabSiraa baRay shauq se kartaa hooN aor 'amoman aap kissi qism ki waZahat se kinaara kashi kar jaate heN. chaliaye aap nahi badalte to meN kyooN badlooN [:)]. leejiaye aek baar phir Haazir e khidmat hooN. 1, uRaaee khaak hamaree yooN Aatish-e-Gul neY ...