Search found 500 matches

by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 6:51 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: aek taazah TaraHi ghazal - -- - Abdullah Nazir.
Replies: 7
Views: 311

usaataza e karam! Sarwar sb ki taraf se ye jumlaa Abudllah Nazir sb ke leeaye paRha "aap kee hee t^araH adab-o-she'r kaa ek adnaa t^aalib-e-i'lm hooN aur abhee ghuTniyoN hee chal rahaa hooN!" jaise bijli koondta hai waise hi mere zahn mieN ye misraa aayaa. "ham to doobay haiN sanam tu...
by muhammad_19k
Thu Dec 21, 2006 5:18 am
Forum: Khushamdeed/Taarruf
Topic: Khushaamadeed
Replies: 26
Views: 8342

Mein webmaster ki taraf se Alwaysalone oar Rose ko Urdu Bandhan meiN khushamdeed kehtaa hooN.


Aap ka mukhlis,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Wed Dec 20, 2006 6:17 pm
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: MukhtaSar sawaalat
Replies: 7
Views: 3074

Salam Sir,

1. kia "mahiayaa" likhne ka bhi koi usool hai?
2. Ye shair konsi beHr meiN hai?

waqt k saath yeh azhaan badal jaate heiN
sach tau yeh hai keh insaan badal jaate haiN.

Sir agar aap digital taqteeA farmaa daiN to mujhe bohat aasaani ho gi

aap ka shukarguzaar,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Wed Dec 20, 2006 5:17 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: wajdaan badal jaate haiN
Replies: 5
Views: 412

kitnay pukhtah bhee hoN eeqaan badal jaate heiN

Salam Tahiraa ji, Aap ki ghazal paRhne ke baad apne kyalaat qalamband kar rahaa hooN. yaqeenun mera andaaz aap saa mutasir kun naheeN. Laikin phir bhi meiN samajhtaa hooN ke woah sub kuch likhne meiN koi aar naheen jo meiN ne mehsoos keeaye. Aap ki shaAer se ye mera qiaas hai ke aap aik bareek naza...
by muhammad_19k
Wed Dec 20, 2006 5:05 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: baat mere dil ki taire lab pe
Replies: 5
Views: 309

naachta phirta hooN taaj e ishaq meiN Sir par leeaye.

Salam Tahira Ji :-) Khawara bha'ee nehaayat khoobsurat maZaameen aur andaaz se muzaiyyan ghazal aik murassa ghazal per dilee mubarakbaad khush rehiye aur yuNhi zindigi k husn per likhte rehiye wassalam [/size] Khawara ke saath to aap ko bhai ke baja-aye behan likhna chah-aye thaa. :lol: Ji meiN jaa...
by muhammad_19k
Wed Dec 20, 2006 1:08 pm
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: baat mere dil ki taire lab pe
Replies: 5
Views: 309

Chaar Din ki zindigi ki kyooN shikayat "FAIZ" ji.

SalaaM Saleem Bhaswar Sb. Mein aap ki daad ke leeaye shukar guzaar hooN. agar aap ko dobara time mile oar aap ye likh sakaiN ke aap ko kahaaN kahaaN par behtari ki gunjaish mumkin hai to meiN shukar guzaar hooN ga. aasaateza ke ra-aye ka bohat muqaam hai. Laikin iss ke saath saath har saathi ki rai ...
by muhammad_19k
Wed Dec 20, 2006 7:01 am
Forum: Kalaam-e-Sukhanwar
Topic: baat mere dil ki taire lab pe
Replies: 5
Views: 309

baat mere dil ki taire lab pe

BuzargoaN oar DostoaN ki khidmat meiN Salam. aik nayee koshish ke saath haazir khidmat hooN. Qara-eeN jitna ziada meri takhleeq ko kari nazar se daikhaiN ge, umeed kartaa hooN utni hi achchi koshish ke saath dobaarat haazir khidmat hooN ga. aap ka shukarguzar, Muhammad Khawar Ghazal 1. baat maire d...
by muhammad_19k
Mon Dec 18, 2006 6:55 am
Forum: Moshaairah
Topic: agar pardees say tum louT aavoo....by farhan
Replies: 15
Views: 1837

Farhan Sb.

aap ki khoobsoora ghazal daikh kar khushi hoee.

samajhtay hain,,tirii majbooriyooN ko,
hameeN maloom haiN, tayray bahanay.


aap ka ye shair bohat pasand aaya. daad qabool keejiaye.

Mukhils,
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Mon Dec 18, 2006 6:50 am
Forum: Moshaairah
Topic: "to shaYad laoT aaeeN din purane" aek aor koshish!
Replies: 7
Views: 566

Muzaffar Sb,

Aadaab,

aap ka ye shaAer bohat pasand ayaa.

"Haqiqat jaan le to bh~ee maseeHa!

maraZ^ baRh~a diYa teree dawa ne!
"

Allah taala aap ko oar taraqee day.


Mukhlis
Muhammad Khawar.
by muhammad_19k
Fri Dec 15, 2006 7:59 pm
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: MukhtaSar sawaalat
Replies: 7
Views: 3074

Sir meiN aap ki itni shaandaar wazaahat ka bay had shukar guzar hooN. oar inteha se ziaada khiffat zada. kyooN ke meiN "misra likhne meiN aik ghalati kar gaya thaa. asal misraa hai, "ik qiamat hai na jaane kab guzr ja-aye." Jo mujhe lagtaa hai ke "faa ilaa tun faa ilaa tun faailu...
by muhammad_19k
Fri Dec 15, 2006 6:46 am
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: MukhtaSar sawaalat
Replies: 7
Views: 3074

Sirs,

iss agar iss misraa ki alaamti taqteeA oar beHr ki maloomat faraham kar di ja-ain to banda shukar guzar ho ga.

"ik qiamat hai najanee guzar ja-aye"

oar kia ye misraa kissi kaabil e zikr shaAer ne isteAmaal kiya hai?
by muhammad_19k
Fri Dec 15, 2006 6:43 am
Forum: BeHc o MubaaHica
Topic: MukhtaSar sawaalat
Replies: 7
Views: 3074

MukhtaSar sawaalat

Mein :Internat: ka isteAmaal bohat ziaada kartaa hooN. meri "job" hi kuch aisi hai. iss leeaye jub kuch seekhne ka moqaa aataa hai to :ustaad google: se madaad laitaa hooN. ShaAeri kaa shauq huwaa to kissi dost ke ka shaAery ke fan par kahaa huwa aik lafz "Arooz" yaad aa-gia. bu...
by muhammad_19k
Fri Dec 15, 2006 6:19 am
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 43997

"Achhhi Soorat ko sanwarne ki zaroorat kiya hai
Saadgi mieN bhi qiamat ki adaa hoti hai"
by muhammad_19k
Thu Dec 14, 2006 3:36 am
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 43997

Sara ji aap ka shukriya. agar waqt ne ijaazat di oar koi topic dil ka bhayaa to zaroor likhooN ga.

"aadam ke kissi roop ke tehqeer na karnaa
Phirtaa hai yahaaN khud khudaa bhais badal kar"
by muhammad_19k
Wed Dec 13, 2006 7:03 am
Forum: Anjuman
Topic: sabaq_aamoz ash'aar likhiiye
Replies: 243
Views: 43997

"InsaaN ko hiqaarat ki nazar se na daikho
takhleeq e do alam ka sabab hai ke naheeN hai?