BADLA NAHEEN HAY EHL-E-JAHAAN KA CHALAN ABHII===NAFIS AHMAD

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

BADLA NAHEEN HAY EHL-E-JAHAAN KA CHALAN ABHII===NAFIS AHMAD

Post by najma »

saathiyo!
aadaab

apne walid marhoom ki ek ghazal aap sab se share kar rahay haiN, ummeed hay, apko pasand aaeygii. unka bohat kam kalaam apni saheeh halat meiN mill sakaa hay.
Attachments
badla naheeN----------nafis ahmad siddiqui.gif
badla naheeN----------nafis ahmad siddiqui.gif (9.39 KiB) Viewed 1363 times
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Waah kyaa mazaameen se bharpoor kalaam hei

Post by Abdullah Nazir »


MuHtaramah
Najma AnSaar Saahibah,


Purkhuloos TAsleemaat. :-)

Aapke waalid-e-marHoom, ustaad Nafees Ahmed siddiqui, kii pesh kardah ghazal bahut pasand aayii. Iske ashAar jo yooN heiN dil ko choote houe meHsoos houe:

(((1- badlaa nahiN hei ahl-e-jahaaN kaa chalan abhi
mukhlis hii apne fan se nahiN, ahl-e-fan abhi

2- guzraah hei her bulandi se insaaN ka qaafilah
Baaqi hei aek manzil-e-daar o rasan abhi

3- aazurda-e-jahaaN kii numaayish se faaidah
rehne do mere chereh ko zer-e-kafan abhi

4- taRpe hei intizaar ke kaanTaoN pah zindagi
aayaa nahiN chaman meiN who gul pairhan abhi

5- aasooda-e-bahaar nah shayad hou ab bahaar
rehne do zikr-e-jalva-e-sarv o saman abhi

6- sab valvale Hayaat ke gou sard paRchuke
zindah magar hei, apnaa mazaaq-e-sukhan abhi

7- gul bhii shiguftah, shaakh bhii raqsaaN, magar :Nafees:
maanoos hei khizaa'oN se, rooH-e-chaman abhi.)))

=======

Her sheAr aek dilkash aur mu'assir mazmoon liye houe hei. KiyuN nah hou, aek ustaad shaayer kii zindagi ke taweel tajribaat kii nishaandehi karrahaa hei.

Aapka bahut bahut shukriya ke hameiN Nafees Ahmed Siddiqui Saahib ke is nafees kalaam se mustafeed houne kaa mauqaA diyaa.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
waqar_masood
-
-
Posts: 134
Joined: Mon Dec 13, 2004 5:52 am
Location: khanewal
Contact:

Post by waqar_masood »

Assalam o alaikum najma ji

ghazal ka matla parha to bay ikhtiaar daad day uthaa, aghaz hi itna khubsoorat tha , baqi manda asha^aar bhi bay had umdah aur khubsoorat hein , janab nafees ahmed siddiqi, apnay walid e muhturam ki ki mazeed shairi bhi yehan likhyee takeh ham mazeed un ko parh sakain,

aazurda-e-jahaaN kii numaayish se faaidah
rehne do mere chereh ko zer-e-kafan abhi



taRpe hei intizaar ke kaanTaoN pah zindagi
aayaa nahiN chaman meiN who gul pairhan abhi

sab valvale Hayaat ke gou sard paRchuke
zindah magar hei, apnaa mazaaq-e-sukhan abhi

buhut khoob ghazal , share kernay ka shukria, mazeed ka intezar rehay gaa,

wassalam

waqar masood
hello
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: BADLA NAHEEN HAY EHL-E-JAHAAN KA CHALAN ABHII===NAFIS AH

Post by Mahtab Qadr »

Najma ji salaam
aap ke walid marhoom ki ghazal ka aik aik sher unki sukhanwarana mashshaqi ka pata deta hai. Allah unheiN ghareeqe rahmat farmaye . bahut shaandaar kalam pesh kia hai aapne , aap ke walid e mohatram ki ghazal se ye bhi pata chalta hai ke aap ke suthre zauq aur fahm ko idraak darasl aapko wirse maiN mile haiN. bahut khob aur shukria
Mahtab Qadr
najma wrote:saathiyo!
aadaab

apne walid marhoom ki ek ghazal aap sab se share kar rahay haiN, ummeed hay, apko pasand aaeygii. unka bohat kam kalaam apni saheeh halat meiN mill sakaa hay.
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: Waah kyaa mazaameen se bharpoor kalaam hei

Post by najma »

WEBMASTER wrote:
MuHtaramah
Najma AnSaar Saahibah,


Purkhuloos TAsleemaat. :-)

Aapke waalid-e-marHoom, ustaad Nafees Ahmed siddiqui, kii pesh kardah ghazal bahut pasand aayii. Iske ashAar jo yooN heiN dil ko choote houe meHsoos houe:

(((1- badlaa nahiN hei ahl-e-jahaaN kaa chalan abhi
mukhlis hii apne fan se nahiN, ahl-e-fan abhi

2- guzraah hei her bulandi se insaaN ka qaafilah
Baaqi hei aek manzil-e-daar o rasan abhi

3- aazurda-e-jahaaN kii numaayish se faaidah
rehne do mere chereh ko zer-e-kafan abhi

4- taRpe hei intizaar ke kaanTaoN pah zindagi
aayaa nahiN chaman meiN who gul pairhan abhi

5- aasooda-e-bahaar nah shayad hou ab bahaar
rehne do zikr-e-jalva-e-sarv o saman abhi

6- sab valvale Hayaat ke gou sard paRchuke
zindah magar hei, apnaa mazaaq-e-sukhan abhi

7- gul bhii shiguftah, shaakh bhii raqsaaN, magar :Nafees:
maanoos hei khizaa'oN se, rooH-e-chaman abhi.)))

=======

Her sheAr aek dilkash aur mu'assir mazmoon liye houe hei. KiyuN nah hou, aek ustaad shaayer kii zindagi ke taweel tajribaat kii nishaandehi karrahaa hei.

Aapka bahut bahut shukriya ke hameiN Nafees Ahmed Siddiqui Saahib ke is nafees kalaam se mustafeed houne kaa mauqaA diyaa.


Aapka Mukhlis,
Nazir.



JANAB A. NAZIR SAHIB

aadaab

aap ki is qadar pazeeraaee se hausla hua k aaindah bhi apne abuu jii ka kalaam pesh kartii rahooN.


un ka shaairii ka arsa bohat kam rahaa, is ke ilawa unhiN neapnii zindagii meiN kabhii apna majmoo chapwane ka sochaa bhi naheeN.

lekin ye hamarii aur ammi jaan ki khaahish hay, jis par ab ham kaam kar rahay haiN.

un k intiqaal ke waqt hii un ka bohat kalam azeezoN ne tabarruk ke taur pe chun liya, jo ab un sehameiN naheeN mil sakaa.isii tarah kaafii kalam idhar udhar hogaya.

ta-ham jo maujood hay, wo bhi purane boseeda risaloN se naql karna kafii dushwaar raha.

apka bohat shukriya

duaoN meiN unko bhi yaad rakhiye ga

:-)
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

salaam Najma baji:

vaah vaah !! aap ne apne vaalid-e-marHoom ki bahot umda ghazal sunaai. tamaam ash'aar bahot pasand aaye.

bahot lutf aaya paRh ker.

aik umda ghazal sunaane ke liye aap ka bahot bahot shukria :)

guldasta-e-aqeedat-o--o-khuloos-o-muvaddat aap ke liye :grin: :grin:

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
irfan abid
-
-
Posts: 98
Joined: Fri Dec 31, 2004 1:57 am

Post by irfan abid »

najma sahiba, aadaab!

aap ke vaalid saahib kii Ghazal nihaayat aalaa aur nafees hai. inaayat karne kaa shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

sara_j wrote:najma ji,

salaam.

mohtaram Nafees Ahmed saahib ki ghazal paRh ker dil khush hogaya, aur aapke walid hain ye jaan ker aur bhi acha laga.

ghazal ka har shair bohat alaa hai lekin main kuch ashaar bohat pasand se baar bar paRhti gayi usme se ye do tou bohat hi khoob hain.


taRapte hain intezar ke kaanton pe zindagi
aaya nahi chaman mein voh gul-pairahan abhi

gul bhi shagufta shaakh bhi raqsaan magar Nafees:
manoos hain khizaon se rooh-e-chaman abhi



sara j sahiba!

ham be-had mamnoon haiN keh aapko ye ghazal itneee pasand aaee

:-)

aapka be-had shukriya

:-)
taimoor
nau-waarid
Posts: 11
Joined: Mon May 02, 2005 10:31 am

Re: BADLA NAHEEN HAY EHL-E-JAHAAN KA CHALAN ABHII===NAFIS AH

Post by taimoor »

najma wrote:saathiyo!
aadaab

apne walid marhoom ki ek ghazal aap sab se share kar rahay haiN, ummeed hay, apko pasand aaeygii. unka bohat kam kalaam apni saheeh halat meiN mill sakaa hay.
salam
bohat lhoob najma sahiba bohat khoob "
najma sahiba mujhay bohat pasand aayeha appkay walid ki yah ghazal"
bohat nice ha "mujhay is ka yah ishar bohat achay lagay hain
taRapte hain intezar ke kaanton pe zindagi
aaya nahi chaman mein voh gul-pairahan abhi

gul bhi shagufta shaakh bhi raqsaan magar Nafees:
manoos hain khizaon se rooh-e-chaman abhi
ok
najma sahiba
allah hafiz
khurram_shaikh
-
-
Posts: 136
Joined: Sun Dec 12, 2004 5:21 am

Post by khurram_shaikh »

Assalaam o alekum,


waaaah waaah bahooot khoob najma baaji aapke abba hazoor marhoom ki ghazal behud pasand aayi humse share kernien kaa behud shukiryaa khush rahien aur Allaaah pak aapke abba hazoor ko jannat ul firdos mien jageh ata karien ameen summa ameen
RISK IS MY BUSINESS
DANGER IS MY GAME
DONT PLAY WITH ME
BCOZ KHURRAM IS MY NAME
User avatar
Anmol
-
-
Posts: 139
Joined: Sat Dec 11, 2004 9:32 pm
Location: California
Contact:

Post by Anmol »

Adaab Najma Ji,

Aap ke walid sahib ka kalaam acha laga, meri jaanib se un ko daad pohnche.

Shukria.
My Poetry Website>> http://www.tanhaa.net/anmol

A site for Raj Kumar Sahib>> http://rk-qais.bravehost.com
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

waqar_masood wrote:Assalam o alaikum najma ji

ghazal ka matla parha to bay ikhtiaar daad day uthaa, aghaz hi itna khubsoorat tha , baqi manda asha^aar bhi bay had umdah aur khubsoorat hein , janab nafees ahmed siddiqi, apnay walid e muhturam ki ki mazeed shairi bhi yehan likhyee takeh ham mazeed un ko parh sakain,

aazurda-e-jahaaN kii numaayish se faaidah
rehne do mere chereh ko zer-e-kafan abhi



taRpe hei intizaar ke kaanTaoN pah zindagi
aayaa nahiN chaman meiN who gul pairhan abhi

sab valvale Hayaat ke gou sard paRchuke
zindah magar hei, apnaa mazaaq-e-sukhan abhi

buhut khoob ghazal , share kernay ka shukria, mazeed ka intezar rehay gaa,

wassalam

waqar masood



waqar!

aadaab

is qadar pazeeraee dekh ka r phoole-na samaaee.mujhay apne abbu jee bohat shiddat ye yaad aaey, keh agar wo hayaat hote to khud hireply karte.
allaah unkk jawar-e-rehmat me rakhay.

aapka bohat shukriya

sada khush rahiyye

:-)
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Re: BADLA NAHEEN HAY EHL-E-JAHAAN KA CHALAN ABHII===NAFIS AH

Post by najma »

Mahtab Qadr wrote:Najma ji salaam
aap ke walid marhoom ki ghazal ka aik aik sher unki sukhanwarana mashshaqi ka pata deta hai. Allah unheiN ghareeqe rahmat farmaye . bahut shaandaar kalam pesh kia hai aapne , aap ke walid e mohatram ki ghazal se ye bhi pata chalta hai ke aap ke suthre zauq aur fahm ko idraak darasl aapko wirse maiN mile haiN. bahut khob aur shukria
Mahtab Qadr
najma wrote:saathiyo!
aadaab

apne walid marhoom ki ek ghazal aap sab se share kar rahay haiN, ummeed hay, apko pasand aaeygii. unka bohat kam kalaam apni saheeh halat meiN mill sakaa hay.


janab mahtab qadr sahib

aadaab

is qadar pazeeraaee k liye ham dil se mamnoon haiN.

khair andesh

najma
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

Ibn-e-siddique wrote:salaam Najma baji:

vaah vaah !! aap ne apne vaalid-e-marHoom ki bahot umda ghazal sunaai. tamaam ash'aar bahot pasand aaye.

bahot lutf aaya paRh ker.

aik umda ghazal sunaane ke liye aap ka bahot bahot shukria :)

guldasta-e-aqeedat-o--o-khuloos-o-muvaddat aap ke liye :grin: :grin:

amjad


bohat shukriya amjad!

khush raho


:-)
najma
-
-
Posts: 1213
Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm

Post by najma »

irfan abid wrote:najma sahiba, aadaab!

aap ke vaalid saahib kii Ghazal nihaayat aalaa aur nafees hai. inaayat karne kaa shukriya!

niyaazmand,
Irfan :Abid:

Irfan :Abid: sahib

aadaab

nawazish

:-)
Post Reply