Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
tahira Masood
- -

- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Post
by tahira Masood »
Sabki Khidmatt meN salaam-e-khloos
moHtermah Sara ji ki irshaad per Haaizir hoN
Mashallah moHteram Abdullah Nazir Saheb ne bohat hi khoobsurat " misra-e-terHah diay hai. bohat dilnasheeN hai.
aik naacheez si adna koshish Haazir hai, gar qabul aftadd...
waqt Haa'il hai dermiyaaN yaaro!
"tum kehaN aur meN kehaaN yaaro!"
dil kee Haalat bayaan kerne ko
saath deti nahiN azbaaN yaaro
mauj mastee k din ga'e ab tau
dil meN reht'e heN gham nehaaN yaaro
aisee be-gaanagee ki surat hai
khud kaa miltaa nahiN nishaaN yaaro
weHshat-e-dil thakan musaafat ki
mere lehje se hai AyaaN yaaro
kuch kahe koee de mujhe aawaaz
yuN nah lo aur imteHaaN yaaro
le ga'ee umr saare suud meray
haath meN reh ga'e ziyaaN yaaro
aa k peeri meN yeh huaa idraak
ikk khudaa ki hai bas amaaN yaaro
aapni raaey se zaroor mutle fermaaiaye gaa
intezaar rahe gaa
wassalam
Last edited by
tahira Masood on Sun Jun 19, 2005 8:56 pm, edited 1 time in total.
live and let live

-
najma
- -

- Posts: 1213
- Joined: Fri Feb 04, 2005 10:37 pm
Post
by najma »
tahira Masood wrote:Sabki Khidmatt meN salaam-e-khloos
moHtermah Sara ji ki irshaad per Haaizir hoN
Mashallah moHteram Abdullah Nazir Saheb ne bohat hi khoobsurat " misra-e-terHah diay hai. bohat dilnasheeN hai.
aik naacheez si adna koshish Haazir hai, gar qabul aftadd...
waqt Haa'il hai dermiyaaN yaaro!
"tum kehaN aur meN kehaaN yaaro!"
dil kee Haalat bayaan kerne ko
saath deti nahiN azbaaN yaaro
mauj mastee k din ga'e ab tau
dil meN reht'e heN gham nehaaN yaaro
aisee be-gaanagee ki surat hai
khud kaa miltaa nahiN nishaaN yaaro
weHshat-e-dil thakan musaafat ki
mere lehje se hai AyaaN yaaro
kuch kahe koee de mujhe aawaaz
yuN nah lo aur imteHaaN yaaro
le ga'ee umr saare suud meray
haath meN reh ga'e ziyaaN yaaro
aa k peeri meN yeh huaa idraak
ikk khudaa ki hai bas amaaN yaaro
aapni raaey se zaroor mutle fermaaiaye gaa
intezaar rahe gaa
wassalam
waah tahira sahiba!
waah
bohat achayyy
masha allaah
khoob kha hay aap ne
khoob achay khayal, acha andaz
she,r bhi khoob nikale
dilii daad qubool kijiye

-
tahira Masood
- -

- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Post
by tahira Masood »
so kind of u Najma ji :rose
salaam
zah-e-naSeeb keh aap ne sab se pehle pazeeraaii ki
HauSlah afzaee k liay tahe-e-dil se mamnoon -o-mutashakkir hoN
khush rehN
ummeed hai keh aayndah bhi esi terah HauSalah beRhaati reheN gi
wassalam
dheron shukriye aur duaaoN k saath
live and let live

-
Mahtab Qadr
- -

- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
-
Contact:
Post
by Mahtab Qadr »
Tahira bahen aapki ghazal bahut achi lagi , mashallah Allah kare zoore bayaN aur ziadaa :)
-
tahira Masood
- -

- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Post
by tahira Masood »
Mahtab Qadr wrote:Tahira bahen aapki ghazal bahut achi lagi , mashallah Allah kare zoore bayaN aur ziadaa :)
biraader-e-mann
salaam-e-khuloos
meri es Haqeer si koshish ko seraahen aur dauaaien dene per aap ki dil se shukar guzaar hoN bhaaii
aalah aap ko khsuh rakeh.aameen
wassalam
live and let live

-
Ibn-e-siddique
- -

- Posts: 219
- Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
- Location: Doha Qatar
-
Contact:
Post
by Ibn-e-siddique »
tahira aapa
salaam arz hai
aap ki ye kaawish bahot pasand aayee, maashallah bahot ache mazaameen nikaale haiN aap ne
meri jaanib se daad qubool kijiye,
amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
-
tahira Masood
- -

- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Post
by tahira Masood »
sara_j wrote:tahira ji,
salaam.
bohat din baad apki tehreer dekh ker dil khush hua.
aapki ghazal bohat pasand aayi, sabhi ashaar bohat ache hain
daad aur mubarakbaad qubool keejiye.
sara
Salaam
saara ji
bohat bohat aur bohat shukeriyah :rose
maiN mamnoon hoN aap ki 
wassalam
Last edited by
tahira Masood on Wed Jul 06, 2005 12:33 pm, edited 2 times in total.
live and let live

-
tahira Masood
- -

- Posts: 338
- Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm
Post
by tahira Masood »
Ibn-e-siddique wrote:tahira aapa
salaam arz hai
aap ki ye kaawish bahot pasand aayee, maashallah bahot ache mazaameen nikaale haiN aap ne
meri jaanib se daad qubool kijiye,
amjad
shukeriyah Amjad bahii :rose
salaam
ap ne es per apni raaey de ker ese mo'atabir ker diyaa
Jazaakomullah
khush raheN
wassalam
live and let live
