Allama Iqbal ka kalaam

UstadaoN aur MuntaKhib ShoAraa ki shaayeri

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Allama Iqbal ka kalaam

Post by Mahtab Qadr »

Iqbal ki Ghazal " Meri nawa e shaouq"
Attachments
meri nawaye shouq ,Iqbal.gif
meri nawaye shouq ,Iqbal.gif (14.78 KiB) Viewed 946 times
tahira Masood
-
-
Posts: 338
Joined: Thu Dec 16, 2004 7:54 pm

Post by tahira Masood »

Jazaak Allah Khaira Mahtaab bhaaii.
salaam
aur bohat bohat shuekriyah hamaray saath abaaNtnae k liay.
wassalam
live and let live

Image
Hashmat Usmani
-
-
Posts: 1173
Joined: Wed Dec 08, 2004 1:00 pm
Location: Kitchener, Ontario, Canada
Contact:

Post by Hashmat Usmani »

salaam Sarfaraz saaHib,

aapne 'allaamah kii jo Ghazal post kii hai vo mujhe jii jaan se pasand hai. ek baar phir se paRhvaane ke liye aapkaa shukr_guzaar huuN. jahaaN tak mujhe yaad paRtaa hai maiN ne yeh Ghazal High School ke nisaab meN thii. aaj kaafii 'arsa ke ba'd is Ghazal ko paRh kar lutf aayaa.

Hashmat
Image
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Shukriyah

Post by Abdullah Nazir »

Janab
Mehtaab Qadr saahib

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aap ne Allamah Iqbal kii aik mash'hoor ghazal paish karke urdubandhan ke paRhne waalaoN ko mamnoon farmaayaa.

"MaiN hii tou aik raaz thaa seena-e-kaa'inaat meiN"

Is misreA meiN lafz "aik" kii bajaaye "ik" hougayaa hei jiski tasHeeH zaroori hei warnah aik site se doosri site per yooN hi muntaqil houti rahegi ye ghazal.

Aapka Mukhlis,

Nazir.

User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Shukriyah

Post by Mahtab Qadr »

WEBMASTER wrote:

Mohatram ul muqaam Abdullah Nazir sahib aappki tashreeh aur wazahat umeed ke qaraeen ne note karli hogi. mamnoon hoN aapkiis yaad dihaani ka magar is baat ki islah mere bas mai yoN nahi ke ye Ghazal khud unki published kitab se naql ki gai hai jo pakistan ki Iqbal Academy ki site par maujood hai.
Mahtab Qadr
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Shukriyah

Post by Abdullah Nazir »

[color]
Janab Bhaayi
Mahtab Qadr Saahib
[/color]

Purkhuloos Tasleemaat, :)

Aap ne likhkhaa hei:
(((
Mohatram ul muqaam Abdullah Nazir sahib aappki tashreeh aur wazahat umeed ke qaraeen ne note karli hogi. mamnoon hoN aapkiis yaad dihaani ka magar is baat ki islah mere bas mai yoN nahi ke ye Ghazal khud unki published kitab se naql ki gai hai jo pakistan ki Iqbal Academy ki site par maujood hai.
Mahtab Qadr )))

Zaahir he ke aap meri baat se muttafiq heiN aur aap kaa yeh kehnaa keh ghalati kii tasheeh apke bus meiN nahiN se yeh muraad hei keh aap ne ghalati nahiN kii balkeh woh jaisi kii waisi naql hougaii hei.

Baharhal agar TibaaAat kii ghalaTi ko jaisi kii waisi naql karke yeh samajhna ke ham aisaa karne per majboor heiN durust nahiN. Agar Allamah Iqbal zindah houte aur unki ghazal ke mazkoor misreA meiN lafz "ik" ke saath aati, tab bhii ham per yehi vaajib houtaa keh ham naql karte waqt "ik" kii tasheeh karke "aik" likhdeN kiyoonkeh unse aisi ghalati kii tavaqquA hii nahiN kii jaasakti.

Aik Arsah pahle aik Saahibah ne Urdustan per aisi hii aik ghalaTi ke saath Aik sheAr likkhaa thaa aur maiN ne ghalati kii nishandehi kii tou Muhtaramah bahut hii barham hougaieeN aur yeh cuboot mohayya kiyaa ke unhouN ne aik aisi site se naql kii jis jagah doosri site se usi taraH naql kii houi hei aur housaktaa hei ke Abdullah Nazir ghalaT heiN. Jab maiN ne qasam khaayi ke wo sheAr beHr se khaarij hei aur shayer se aisi ghalaTi kii bilkul tavaqquA nahiN housakti tou kehne lagiN ke unko sheAr ke vazn ke baare meiN koiee ilm nahiN.

Mukhtasar yeh ke agar ham bhii ghalaTi ko duhrayenge tou koiee yeh kahegaa ke us ne Urdubandhan se naql kii hei. Farz keejiye aisa kisi aur site ne naql kiyaa wo bhii kisi aur site kaa hawaalah degaa.

Naashireen kii ghalaTi yaa kaatib kii khaTaa ko balke khud shayer ke sahv ko usi ghalaT haalat meiN paish karnaa bhii aik ghalaTi hei.

Sawaal yeh uThtaa hei ke ham kyaa karsakte heiN?
Javaab yeh hei ke hameN naashireen ko likhnaa chaahiye ke wo doosre edition meiN us ghalati ko durust karleN aur housake tou Haaliyah edition ke jo nuskhe abhi nahiN faroukht houe heiN un meiN aik waraq izaafah karen jismeiN akhtaa aur unki tashheeh kaa zikr hou yani (aghlaaT naamah hou).

MaiN is tafseel ke liye muAafi chaahtaa hooN lekin yeh saare doust ahbaab ke ilm meiN laanne ke liye zaroori thii taake wo jo kuch aisi haalat meiN karsakte heiN kareN. Shukriyah.

Aapka Mukhlis,
Nazir.

User avatar
Mahtab Qadr
-
-
Posts: 559
Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
Location: Jeddah Saudi Arabia
Contact:

Re: Shukriyah

Post by Mahtab Qadr »

WEBMASTER wrote:[color]

ji bilkul sahi farmaaya aapne ,naql e kufr kufr nabashad .. mai ne kahiN se jaisi naql ki waisi hi pesh kardi .bilkul aapki saari bateiN baja haiN. mai samajhta hoNke ye ghalati tabaa'at ki hi hogi. aap chaheiN to is site ko contact kareiN ya khat likheiN, waqai aisa hona chahiye .
mashkoor hoN aap ki in qeemti aara ka aur urduadab ke lye aapki qadardani ka . Allah aapko salamat rakhe. aameen.
mukhlis
Mahtab Qadr
www.allamaiqbal.com site ka address hai.
Post Reply