Guz #8 khtaa hoti hai saaHib aadmi se ...!!!

Tarhi Moshaairah -ShoAaraa aur Shayeraat kii TabAaazmayi ke liye

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Guz #8 khtaa hoti hai saaHib aadmi se ...!!!

Post by hassan_bashir »

Assalam-o-alikum,

Guz #8 par ki gaee ek koshish ke saath pehli martabaa is bazm maiN haazir hooN ummid hai ki kalaam aap sab ko pasaNd aaYega. apni raaYe se zaroor navaazeN !


1.guzaarish hai yahi meri sabhi se
milaa do mujh ko meri zindagi se

2.kaho koee to jaa kar us pari se
kare woh bhi guzar meri gali se

3.kahaa tha door rehnaa aashiqi se
na aaya baaz phir bhi dillagi se

4.laRhe insaan kyuN insaan hi se
"khataa hoti hai saaHib aadmi se"

5.banaao sab ko apnaa dosti se
bhala kis ka huaa hai dushmani se

6.na yuuN rishtey nibhaao be-dilii se
raho mil-jhul ke bolo bhi khushi se

7.mujhe luta hai us ne is adaa se
milaa jab bhi milaa woh saadagi se

8.gaYe tum chhod kyaa kuNche ko mere
padosee bhee lage haiN ajnabi se

9.muqaabil rakhnaa apne aaYeene ko
kabhee naarazgee ho jab kisi se

10.qamar ruk jaao thodi shab hai baqi
kidhar ko chal diYe ho tum abhi se

11.yaqeenan paoge jo kuch bhi chaaho
duaa maaNgo to darbaar-e-wali se

12.kahaaN qabil tha maiN in shohratoN ke
milaa jo kuch bhi hai woh shaayri se



ara'a ka muntazir

Hassan
Last edited by hassan_bashir on Sat Aug 27, 2005 6:51 am, edited 1 time in total.
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
User avatar
Shummu
-
-
Posts: 733
Joined: Mon Dec 13, 2004 11:41 am
Contact:

Post by Shummu »

Sab se pehle to tah-e-dil se khushaamadeed...aap ko yahan dkeh kar bahut khushi ho rahi hai..meri invitation qubool karne ka shukriya :-) Ghazal pe doosri bazm mein reply de chuki hoon....wahi yahan chaspaan kar rahi hoon...
hassan_bashir wrote:
2.kaho koee to jaa kar us pari se
kare woh bhi guzar meri gali se
don't worry! main pahuchaa dungi aap ka message :twisted:

3.kahaa tha door rehnaa aashiqi se
na aaya baaz phir bhi dillagi se
wah wah wah beautiful sher...
5.banaao sab ko apnaa dosti se
bhala kis ka huaa hai dushmani se
ye to lag raha haim aap ne mere sher ke jawaab mein likh diya hahaha... rememebr I wrote "milo sab se milo tum khushdilii se..magar tum door rehnaa dosti se ;) "
6.nibhaa rishta na koi be dilii se
raho mil-jhul ke bolo bhi khushi se
nice..yeah this I tell to every1 :-)
7.mujhe luta hai us ne is adaa se
milaa jab bhi milaa woh saadagi se
is saadgii pe kaun na mar jaaye Aye Khudaa ;)

9.muqaabil rakhnaa apne aaYeene ko
kabhee naarazgee ho jab kisi se
hmm nice idea han :)
11.yaqeenan paoge jo kuch bhi chaaho
duaa maaNgo to darbaar-e-wali se

wah bahut achcha sher hai :)


sab se pehle to behr tak ka safar aap ko mubarak ho hassan jee..mashaAllah baDi jaldi aap behr mein likhna seekh gaye..bahut khushi ho rahi hai aap ki mehnat dekh kar..mashaAllah keep it up! Is ghazal pe bhi daad haazir hai..qubool farmaayein rose:

Shumaila

Koi pooche humse hamaari haalat ka sabab
to ashk baha kar bhi baat adhoori reh jati hai

Waqt jaise kahin thehar sa gaya hai
Na Gham jaata hai na khushi aati hai
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut khoob

Post by Abdullah Nazir »

[size-18]
MuHtarami
Hassan Bashir Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Saare ke saare ashAaar dilkash aur sabaq aamouz heiN. Aapka andaaz-e-bayaan bahut pasand aayaa. Is kaamyaab koushish per maiN aapko apni jaanib se daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.



Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/size]
Image
Star Mind
-
-
Posts: 365
Joined: Sat Dec 11, 2004 11:39 pm
Location: Balochistan
Contact:

Post by Star Mind »

moHtaram janaab Hasab basheer SaaHib, aadaab

janaab , aaj shaayad pehlee baar , aap ki koi Ghazal naz^ar-nawaaz hoi hai, maashaa Allah bohut Khoob likhte haiN aap , nehaayat hi pyaaraa andaaz hai ! aap ka lab-o-lehja pasand aayaa ! tamaam asha'aar Khoob haiN ! daad qabool kejeye ! shukriya

moKhliS:

Zia Baloch
Last edited by Star Mind on Sat Aug 27, 2005 2:47 pm, edited 1 time in total.
Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki

Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne

Zia Baloch
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

shummu wrote:
hassan_bashir wrote:
2.kaho koee to jaa kar us pari se
kare woh bhi guzar meri gali se
don't worry! main pahuchaa dungi aap ka message :twisted:

Thank god kisi ne to yeh zimmedaari lee warna koi mil hi nahiN raha tha is kaam ke liYe :D

3.kahaa tha door rehnaa aashiqi se
na aaya baaz phir bhi dillagi se
wah wah wah beautiful sher...

bohat shukriYa

5.banaao sab ko apnaa dosti se
bhala kis ka huaa hai dushmani se

ye to lag raha haim aap ne mere sher ke jawaab mein likh diya hahaha... rememebr I wrote "milo sab se milo tum khushdilii se..magar tum door rehnaa dosti se ;) "

hai na ? mujhe bhi aisaa hi lag raha hai :-)

6.na yuuN rishtey nibhaao be dilii se
raho mil-jhul ke bolo bhi khushi se
nice..yeah this I tell to every1 :-)

thanks alot...ab sahi ho gaya na :-) rose:
7.mujhe luta hai us ne is adaa se
milaa jab bhi milaa woh saadagi se
is saadgii pe kaun na mar jaaye Aye Khudaa ;)

tabhi to lut liYa unhoN ne :D ... thnx :-)

9.muqaabil rakhnaa apne aaYeene ko
kabhee naarazgee ho jab kisi se
hmm nice idea han :)


thnx again

11.yaqeenan paoge jo kuch bhi chaaho
duaa maaNgo to darbaar-e-wali se

wah bahut achcha sher hai :)


bohat bohat shukriya !

sab se pehle to behr tak ka safar aap ko mubarak ho hassan jee..mashaAllah baDi jaldi aap behr mein likhna seekh gaye..bahut khushi ho rahi hai aap ki mehnat dekh kar..mashaAllah keep it up! Is ghazal pe bhi daad haazir hai..qubool farmaayein rose:

Shumaila

Shumaila jee!

Mubaarak baad ke liYe bohat shukriYa magar yeh safar sirf aap hi ki wajah se taYe kar paaYa hooN agar aap ki baraarar madad aur hoNslaa afzaaee na milee hoti to yeh naachiz kahaaN is qaabil tha ki yahaaN tak pohaNch paaYe .

ek baar phir apne tute-fute alfaazoN maiN aap ka shukriYa adaa kartaa hooN ..beHaddd mamnoon.

Allah khush rakhe humesha ..AAmin Yaa Rabbul Aalameen !

Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Re: Guz #8 khtaa hoti hai saaHib aadmi se ...!!!

Post by hassan_bashir »

sara_j wrote:
hassan_bashir wrote:Assalam-o-alikum,

Guz #8 par ki gaee ek koshish ke saath pehli martabaa is bazm maiN haazir hooN ummid hai ki kalaam aap sab ko pasaNd aaYega. apni raaYe se zaroor navaazeN !


1.guzaarish hai yahi meri sabhi se
milaa do mujh ko meri zindagi se

2.kaho koee to jaa kar us pari se
kare woh bhi guzar meri gali se

3.kahaa tha door rehnaa aashiqi se
na aaya baaz phir bhi dillagi se

4.laRhe insaan kyuN insaan hi se
"khataa hoti hai saaHib aadmi se"

5.banaao sab ko apnaa dosti se
bhala kis ka huaa hai dushmani se

6.na yuuN rishtey nibhaao dilii se
raho mil-jhul ke bolo bhi khushi se

7.mujhe luta hai us ne is adaa se
milaa jab bhi milaa woh saadagi se

8.gaYe tum chhod kyaa kuNche ko mere
padosee bhee lage haiN ajnabi se

9.muqaabil rakhnaa apne aaYeene ko
kabhee naarazgee ho jab kisi se

10.qamar ruk jaao thodi shab hai baqi
kidhar ko chal diYe ho tum abhi se

11.yaqeenan paoge jo kuch bhi chaaho
duaa maaNgo to darbaar-e-wali se

12.kahaaN qabil tha maiN in shohratoN ke
milaa jo kuch bhi hai woh shaayri se



ara'a ka muntazir

Hassan
Hassan ashir saahib,

salaam aur khushamdeed!

bohat hi dilkash ghazal likhi hai aapne,
kya khoob ashaar nikaale hain.......

waah waah bohat khoob! aek kamyaab ghazal per daad
qubool keejiye.

mukhlis

sara
mohtarma Sara saaHiba:Aadab!

sab se pehle khush-aamdeed ke liYe bahad shukriya !

aap ne mere is kalaam ko pasaNd farmaaya aur itanee khubsurat aara'a se navaaza us ke liYe maiN aap ka behad mamnoon hooN bohat bohat shukriya.
ummid hai ki aainda'h bhi isii tarah apni raaYe se navaazti raheNgi !

Khush raheN

Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Re: Bahut khoob

Post by hassan_bashir »

WEBMASTER wrote:[size-18]
MuHtarami
Hassan Bashir Saahib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki ghazal paRhkar bahut luTf andouz houaa. Saare ke saare ashAaar dilkash aur sabaq aamouz heiN. Aapka andaaz-e-bayaan bahut pasand aayaa. Is kaamyaab koushish per maiN aapko apni jaanib se daad aur mubaarakbaad pesh kartaa hooN.



Aapka Mukhlis,
Nazir.

[/size]
janab mohtram Abdullah Nazir saaHab:Aadab!

aap ki qeemati aara'a ko paRhkar behad khushi ho rahi hai aap ne mere kalaam ko pasaNd farmaaYa to maiN samjhta hooN ki meree GHazal maqbool ho gaee !
mere kalaam mo khusbsurat daad se navaazne ke liYe aap ka behad mamnoon aur shukr guzaar hooN.
aainda'h bhi is naachiz ko apni raaYe se navaazte rahiYega.

Shukriya !

Talib-e-Dua'a

Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
hassan_bashir
-
-
Posts: 436
Joined: Fri Aug 26, 2005 6:22 pm
Location: Kuwait
Contact:

Post by hassan_bashir »

Star Mind wrote:moHtaram janaab Hasab basheer SaaHib, aadaab

janaab , aaj shaayad pehlee baar , aap ki koi Ghazal naz^ar-nawaaz hoi hai, maashaa Allah bohut Khoob likhte haiN aap , nehaayat hi pyaaraa andaaz hai ! aap ka lab-o-lehja pasand aayaa ! tamaam asha'aar Khoob haiN ! daad qabool kejeye ! shukriya

moKhliS:

Zia Baloch
mohtaram Zia saaHab:Aadab!

aap ne mere kalaam par raaYe dee aur usey pasaNd farmaaYa aur ek khubsurat aara'a se navaaza is liYe aap ka behad mamnoon hoon bohat bohat shukriya.
dar'asal UrdubaNdhan maiNe kuch din pehle hi join kiya hai so yeh mera pehle kalaam hee hai. ummid hai ki aainda'h bhi is naachiz ko apni qeemati raaYe se navaazte raheNge.

Shurkiya !

Hassan
Urdu hai jis ka naam hamiiN jaante haiN :Daagh:
saare jahaaN maiN dhum humaari zubaaN ki hai
Post Reply