majboor-e-muHabbat hooN gunahgaar naheeN hooN!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
bahut khoob waah waah
MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapki taazah ghazal beHad pasand aayi. Saare ke saare ashAar bahut hii dilkash aur bahut hii gehre maAani se bharpoor heiN. Aapki is ghazal se bhii khaaksaar ko bahut kuch seekhne ko milaa. Dili daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Mandarja-e-zel misreA meiN (roman aur urdu rasmulkhaT dounoN meiN) TibaaAat kii ghalaTi hei:
"aasaaN naheeN to aisaa bh`ee dushwaar naheeN hooN! "
((waawo ke saath saath lafz "aisaa" ke "Harf" alif kaa girnaa theek nahiN maAloom hourahaa hei.)
Ghaaliban aSl meiN yeh miSraA yooN hei:
"aasaaN tou naheeN, aisaa bh`ee dushwaar naheeN hooN!
(yeh mas'alah aap per mauqoof hei.)
is se pahle ke mandarja-e-zeil miSreA ko roman meiN tou Theek likhkhaa gayaa hei lekin urdu meiN lafz "maiN" chooT gayaa hei.
"bas yeh hai keh maiN us kaa t^alabgaar naheeN hooN! "
Ummeed ke taSHeeH farmaalenge.
Note: apni comments meiN kuch edit karnaa paRaa hei.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
muHtaramee Nazir SaaHeb: aadaab!
Ghazal kee paZeeraayee aur daad ke liYe maiN aap kaa dil se mamnoon-o-mutashakkir hooN. aap kee mehrbaanee hai keh waqt nikaal kar meraa kalaam dekh` lete haiN.
jin do miSro'N kee jaanib aap ne ishaarah kiyaa hai un meN se pehlaa (aasaaN---) maiN ne aise hee kahaa hai aur is meN kitaabat kee koyee Ghalat^ee naheeN hai. maiN aap kee tajweez par mazeed Ghaur karooN gaa aur Z^aroorat meHsoos huyee to badal dooN gaa.
doosre miSre' meN mujh ko Urdu Ghazal meN koyee Ghalat^ee naheeN milee. Roman bh`ee durust hai. maiN koshish kartaa hooN keh apnaa likh`aa huwaa dobaarah ba-Ghaur paRh looN. ph`ir bh`ee Ghalat^ee kaa imkaan to hai hee.
ab aap se ek sawaal hai. maiN USA meN hooN. GhazaleN jama' hotee jaatee haiN aur yeh samajh` meN naheeN aataa keh in ko kaise meHfooz^ kiyaa jaaYe. mere ba'd meraa saaraa adabee sarmaayah :daryaa-burd: ho jaaYe gaa kyoN.k waise to bachche sab Urdu rawaanee se bolte haiN lekin adabee Zauq to kisee meN naheeN hai aur yahaaN reh kar ho bh`ee naheeN saktaa. isee liYe maiN un ko taakeed kar rahaa hooN keh meraa web-site mere ba'd bh`ee qaa,im ch`oR diyaa jaaYe. mumkin hai keh isee t^araH meHfooz^ reh jaaYe.
nayee GhazaloN kaa mas,alah aur hai. kitaab ch`apwaataa hooN to woh ek dard-e-sar hai aur us kee nikaasee joo-e-sheer se kam naheeN! aap ne is kaa kyaa Hal sochaa hai?
Sarwar A. Raz :Sarwar:

yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
shukriya
MuHtarami
Sarwar A. Raz. :Sarwar: Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aapka tafSeeli javaab paRhkar bahut khushi houii. Is meiN jin baataoN kaa zikr kiyaa gayaa hei, unke baare meiN fauran kuch kahnaa tou mushkil hei lekin inshaallah maiN aapko PM yaa Email se likhkhungaa. Waise, aap ne jou kuch souchaa hei wo aek saHeeH Hal hei.
MaiN ne jis TibaaAt kii ghalaTi kaa zikr kiyaa thaa usko maiN qausain ke darmiyaan likhrahaa hooN:
Aapka miSraA hei:
yeh baat Ghalat^ hai keh (maiN) hushyaar naheeN hooN!
urdu meiN lafz (maiN) chooT gayaa hei. Shukriyah.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
janaab Nazir SaaHeb: aadaab!
:yeh baat----: meN :maiN: ch`ooT gayaa th`aa. is se qabl aap ne :bas yeh--: kaa Zikr kiyaa th`aa aur maiN us ko hee dekh` kar mut,main ho gayaa th`aa. ab bh`aa aap ke pich`le Khat^ meN yehee likh`aa huwaa hai!
kitaaboN ke Hawaaleh se aap ke jawaab kaa intiz^aar rahe gaa.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
Haashiyah: maiN apnee Ghazal ko dobaarah yahaaN de rahaa hooN. dekh`iYe durust karne meN kahaaN tak kaamyaabee hotee hai!
================================
yaaraan-e-meHfil: aadaab!
ek Ghazal-e-musalsal le kar HaaZ^ir ho rahaa hooN. is ke vurood kee tafSeel Urdu tamheed meN likh` dee hai. Ghazal par aap kee raaYe kaa intiz^aar rahe gaa. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==============================
Ghazal
majboor-e-muHabbat hooN, gunahgaar naheeN hooN
maiN gardish-e-hijraaN kaa sazaawaar naheeN hooN!
ik jaam meN behke, maiN woh maiKhwaar naheeN hooN!
yeh kis ne kahaa SaaHeb-e-kirdaar naheeN hooN?
wallaah! keh dunyaa se maiN bezaar naheeN hooN!
bas yeh hai keh maiN us kaa t^alabgaar naheeN hooN!
Khud apnee i'naayaat kaa maSloob hooN aisaa
shaa,istah-e-daam-e-rasan-o-daar naheeN hooN!
deewaanah hooN! laa-raib hooN deewaanah! wa-lekin
yeh baat Ghalat^ hai keh maiN hushyaar naheeN hooN!
be-baal-o-paree meree zamaaneh pah a'yaaN hai
woh Haal hai maiN apnaa bh`ee Gham-Khwaar naheeN hooN!
Khud se hee miree jaNg hai maidaan-e-Khudee meN
auroN se to maiN bar-sar-e-paikaar naheeN hooN!
ik Harf-e-muHabbat hooN Zaraa paRh ke to dekh`o
aasaaN naheeN to aisaa bh`ee dushwaar naheeN hooN!
maiN Khud pah a'yaaN hooN sar-e-haNgaamah-e-hastee
saayah kee t^araH gum pas-e-deewaar naheeN hooN!
hooN Khud se bh`ee aagaah, zamaaneh se bh`ee aagaah
momin hooN pah begaanah-e-zunnaar naheeN hooN!
apnee hee Haqeeqat se jo begaanah ho, "Sarwar"!
aisaa to maiN mast-e-mai-e-pindaar naheeN hooN!
------------------------------------

- Attachments
-
- harfeawwal_cr.gif (26.86 KiB) Viewed 725 times
-
- gg-majbooremuhabbat_cr.gif (16.07 KiB) Viewed 725 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
moHtaram Sarwar A.Raz Sarwar SaaHib , aadaab
ta`Kheer keleye ma'zirat ! aSl maiN kal se Net ko mushkilaat kaa saamnaa thaa !
aap ki ye Ghazal , yaa yoN kaheye Khud-kalaami bhi aek liHaaz se ! aap ne apnee zaat se chaNd sawaalaat keye aur phir jawaabat deye ! woh bhi kis Haseen aur shaandaar andaaz maiN ! mazaa aagayaa !
bilaashuba koi bhi insaan Khud ko mukammal t^or par daryaaft nahiN karsaktaa ! yehi to insaanee a'zmat kee daleel hai !
aur ye aayat-e-shareefa bhi yehi kehtee hai :
"wa fee anfusikum afalaa tubSiroon!"
aap ka kalaam nehaayat pur-lu^f hai ,aur aap ki dil-chasp aur behtareen shaKhSiyyat ka tarjumaan bhi !
is k siwaa keh bhi kyaa saktaa hai mujh sa kam i'lm !
so be-shumaar daad qabool kejeye ! shukriya
moKhliS :
Zia Baloch

Dikhaadi shaan, phir ahl-e-chaman ko, Be-niyaazi ki
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
Khamoshi se jhatak kar, aaj phir, dast-e-sabaa maiN ne
Zia Baloch
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
muHibbee Zia SaaHeb: aadaab!
maiN soch hee rahaa thaa keh aap to aise Ghaa,ib huwe jaise "------" ke sar se seeNg! ph`ir yeh bh`ee Khayaal aayaa keh ho saktaa hai ke Ghazal hee is qaabil nah ho keh aap rasmee "waah, waah" hee kar deN! aaj aap kaa muHabbat-naamah dekh` kar it^meenaan huwaa keh :Zikr meraa mujh` se behtar hai keh us meHfil meN hai!:
Ghazal kee daad kaa shukriyah to farZ^ hai so HaaZ^ir hai! qubool keejiYe aur dua'a-e-Khair meN apne doosre dushmanoN ke saath is Haqeer-e-pur-taqSeer ko bh`ee yaad kar leN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
maiN soch hee rahaa thaa keh aap to aise Ghaa,ib huwe jaise "------" ke sar se seeNg! ph`ir yeh bh`ee Khayaal aayaa keh ho saktaa hai ke Ghazal hee is qaabil nah ho keh aap rasmee "waah, waah" hee kar deN! aaj aap kaa muHabbat-naamah dekh` kar it^meenaan huwaa keh :Zikr meraa mujh` se behtar hai keh us meHfil meN hai!:
Ghazal kee daad kaa shukriyah to farZ^ hai so HaaZ^ir hai! qubool keejiYe aur dua'a-e-Khair meN apne doosre dushmanoN ke saath is Haqeer-e-pur-taqSeer ko bh`ee yaad kar leN!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Mohtarmee Sarwar Raz Sahab, Aadaab
Aapki musalsal Ghazal jo murassah bhi hai behud pasaNd aaii.
Meri nacheez daad.o.tahseen qubool farmaaiye. Ummi dhai
aaindah bhi aise kalam se nawazte rahnge.
Ek adabee nukte per apne aur deegar membraan ke ilm
meN izafeh ki Gharaz se ek sawaal poochne ki jisarat kar
raha hooN. YEH, WOH aur NAH jaise alfaaz ka istailmal bawazn
"FA" funny e'tbar se durust hai aur jaa,iz bhi. Aap ne bhi iss
Ghazal meN kaii jagah YEH lafz ko bawazn "FA" istaimal kiya
hai. Buzurg asatizah ne bhi akcer aisa kiya hai.
Magar jaisa keh hamare Ustaad Raunaq Badauni marhoom
farmaya karte thay adaayegee meN misArey ka husn baRh
jata hai agar in alfaaz ka istaimaal "HEY" ko girakar kiya
jaye yAAni "FA" ka 50% (yAAni sirf Ye aur zer ka istaimal
ho hey ka nahiN). Kyaa aap is mere iss nukte se muttafiq haiN?
Khair andesh wa muntazir-e jawaab,
Ahqar
Jawaid Badauni

mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!jawaid badauni wrote:Mohtarmee Sarwar Raz Sahab, Aadaab
Aapki musalsal Ghazal jo murassah bhi hai behud pasaNd aaii.
Meri nacheez daad.o.tahseen qubool farmaaiye. Ummi dhai
aaindah bhi aise kalam se nawazte rahnge.
Ek adabee nukte per apne aur deegar membraan ke ilm
meN izafeh ki Gharaz se ek sawaal poochne ki jisarat kar
raha hooN. YEH, WOH aur NAH jaise alfaaz ka istailmal bawazn
"FA" funny e'tbar se durust hai aur jaa,iz bhi. Aap ne bhi iss
Ghazal meN kaii jagah YEH lafz ko bawazn "FA" istaimal kiya
hai. Buzurg asatizah ne bhi akcer aisa kiya hai.
Magar jaisa keh hamare Ustaad Raunaq Badauni marhoom
farmaya karte thay adaayegee meN misArey ka husn baRh
jata hai agar in alfaaz ka istaimaal "HEY" ko girakar kiya
jaye yAAni "FA" ka 50% (yAAni sirf Ye aur zer ka istaimal
ho hey ka nahiN). Kyaa aap is mere iss nukte se muttafiq haiN?
Khair andesh wa muntazir-e jawaab,
Ahqar
Jawaid Badauni
Ghazal kee teHseen-o-taayeed ke liYe mamnoon hooN. aap kaa sawaal meree samajh` meN naheeN aayaa keh :fa': kee 50% adaa,igee se kyaa muraad hai aur yeh kis rukn ke mut^aabiq ho gee. agar aap koyee micaal de sakeN to behtar ho gaa. chooN.k Raunaq SaaHeb ko aap ne is Khayaal kaa qaa,il bataayaa hai to un kaa hee koyee she'r namooneh ke t^aur de kar baat waaZ^eH kar deejiYe. aap apnaa bh`ee koyee she'r deN to aur bh`ee achh`aa ho gaa.
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Sarwar Raz wrote:mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!jawaid badauni wrote:Mohtarmee Sarwar Raz Sahab, Aadaab

Mohtarm Sarwar Sb, Tasleem
Aap ne mundarjazel misAroN meN "Yeh" ko bawazn "fa" istaimal kiya hai, jo funny e'tbaar se saheeh aur jaa.iz hai.
yeh baat Ghalat^ hai keh maiN hushyaar naheeN hooN!
yeh kis ne kahaa SaaHeb-e-kirdaar naheeN hooN?
Mere arz karne ka matlab yeh tha keh "Yeh", "Nah" aur aise hi alfaz ko agar "hay" giraker sirf "ye" aur zer ke wazn men istaimal kiya jaye to ziyada haseen lagta hai. MaclaN Ustaad Auj Sabzwari sahab marhoom ka yeh misrArah dekhiye jismeN "Yeh" lafz ko ek baar aur "Nah" lafz ko dou dou baar bawazn "Fa" ki bajaye "hay" giraker istaimal kiya gaya hai:
"Yeh kya kahaa bekasoN ke aaheN nah kaam aayeeN nah kaam aayeN"
Iss maisAray meN YEH aur NAH ko "heY' giraker "FA" ke 50% wazn per istaimal kiya gaya hai jo bahut haseen lagta hai, bus yehee meri arz thee.
Nacheez,
Jawaid
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
mukarramee Jawaid SaaHeb: aadaab!
yaad-aawaree ke liYe mamnoon hooN. ab jab.k aap ne micaal de kar baat waaZ^eH kar dee hai to aap ke sawaal kaa jawaab aasaan ho gayaa hai. maiN aap ke Khat^ kaa iqtibaas darj kar rahaa hooN taa.k mas,alah saamne rahe aur guftgoo meN mushkil nah ho.
"Aap ne mundarjazel misAroN meN "Yeh" ko bawazn "fa" istaimal kiya hai, jo funny e'tbaar se saheeh aur jaa.iz hai.
yeh baat Ghalat^ hai keh maiN hushyaar naheeN hooN!
yeh kis ne kahaa SaaHeb-e-kirdaar naheeN hooN?
Mere arz karne ka matlab yeh tha keh "Yeh", "Nah" aur aise hi alfaz ko agar "hay" giraker sirf "ye" aur zer ke wazn men istaimal kiya jaye to ziyada haseen lagta hai. MaclaN Ustaad Auj Sabzwari sahab marhoom ka yeh misrArah dekhiye jismeN "Yeh" lafz ko ek baar aur "Nah" lafz ko dou dou baar bawazn "Fa" ki bajaye "hay" giraker istaimal kiya gaya hai:
"Yeh kya kahaa bekasoN ke aaheN nah kaam aayeeN nah kaam aayeN"
Iss maisAray meN YEH aur NAH ko "heY' giraker "FA" ke 50% wazn per istaimal kiya gaya hai jo bahut haseen lagta hai, bus yehee meri arz thee."
aap kee pich`lee teHreer se waaZ^eH naheeN th`aa keh "fa" se aap kee muraad :faa: (fey, alif) hai yaa :fa': (fey, a'in). :faa: alag se koyee rukn naheeN hai aur :fa': baZaat-e-Khud ek rukn hai. mazeed yeh keh ":fa: ke 50%" kaa koyee mat^lab hee naheeN th`aa. micaal se ma'loom huwaa keh dar-aSl aap kyaa kehnaa chaahate th`e. aap ke sawaal ke jawaab ko maiN aap ke diYe huwe miSro'N kee taqt^ee' se waaZ^eh kartaa hooN:
(1) yeh kis ne kahaa SaaHeb-e-kirdaar naheeN hooN
is miSre' kee taqt^ee' Hasb-e-Zel hai. is meN :yeh: ko :maf: se adaa kiyaa gayaa hai jo :maf-o'o-lu: kaa ek HiSSah hai aur baZaat-e-Khud koyee rukn naheeN hai.
maf-o'o-lu; mu-faa-e'e-lu; mu-faa-e'e-lu; fa-o'o-lun
(2) yeh kyaa kahaa bekasoN kee aaheN nah kaam aayeeN nah kaam aayeeN
is miSre' kee taqt^ee' Hasb-e-Zel hai. is meN :yeh: ko :fa: (fey par zabar) se adaa kiyaa gayaa hai jo baZaat-e-Khud koyee rukn naheeN hai bal.k :fa-o'o-lu: kaa ek HiSSah hai. Ghaaliba" isee ko aap ":fa: kaa 50%" keh rahe th`e!
fa-o'o-lu; fa'-lun; fa-o'o-lu; fa'-lun; fa-o'o-lu; fa'-lun; fa-o'o-lu; fa'-lun
asaatiZah ke yahaaN darj-e-baalaa donoN Soorat^eN be-shumaar ta'daad meN mileN gee. z^aahir hai keh jo cheez a'rooz ke uSooloN kee bunyaad par mo'tabar hai us kaa ista'maal a'am ho gaa.
ab reh gayaa Raunaq Badauni SaaHeb kee raaYe meN doosree shakl kaa behtar honaa to yeh un kee raaYe hai aur ham par us kaa iHtiraam laazim hai. albattah un kee raaYe se ittifaaq laazim naheeN hai kyoN.k pehlee shakl bh`ee a'rooZ^ ke liHaaz^ se b.ilkul durust aur ciqah hai!
she'r kaa Husn-o-qubH ek shaKhSee cheez hai. ya'nee jo shakl aap ko achh`ee ma'loom hotee hai Z^arooree naheeN hai keh har ek ko achh`ee ma'loom ho. aap ne sunaa ho gaa keh :Lailaa raa baa chashm-e-MajnooN baayad deed: (Lailaa ko MajnooN kee nigaahoN se dekh`naa chaahiYe). sunaa hai keh woh nek-baKht bohat siyaah-faam th`ee lekin MajnooN ko to beHad Haseen lagtee th`ee! ham us kee jagah hote to shaayad Lailaa ko naz^ar-andaaz kar ke Mall kee sair ko chale jaate!
she'r ke Husn kee baat ch`iRee hai to Ghalib kaa ek she'r sun leejiYe aur dekh`iYe keh kitnaa bhaauNDaa fiqrah likh`aa gayaa hai. lekin Ghalib ko achh`aa lagaa ho gaa jabh`ee to baaNdh`aa hai!
"bhauN paas aaNkh` qiblah-e-Haajaat chaahiYe"
masjid ke zer-e-saayah Kharaabaat chaahiYe
ummeed hai keh aap ko apne sawaal kaa jawaab mil gayaa ho gaa!

Tabaadila-e-khayaal
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Janab Jawaid Badayuni Saahib aur aapke darmiyaan "yeh", "woh" aur "nah" ke baare meiN jo guftagu houi hei us meiN aap dounouN meiN mujhe koii ikhtilaaf nazar nahiN aayaa albattah tarjeeh ke mas'aleh meiN ikhtilaaf-e-raye hei.
Aapke javaab meiN mandarja-e-zeil jumlah dekhkar, samajh meiN nahiN aayaa ke aap kyaa kehnaa chaate heiN:
(((fa': baZaat-e-Khud ek rukn hai)))
afaa'Aeel-e-haftgaanah meiN "fa" koii rukn nahiN hei. Isko ham "faa'i'laatun" yaa 'faa'ilun" meiN sabab-e-khafeef kaa naam de sakte heiN.
Mehrbaani farmaakar meri is uljhan ko door keejiye. Shukriya.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
-
- -
- Posts: 810
- Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
- Contact:
Re: Tabaadila-e-khayaal
Mohtaram Abdullah Nazir Sahab, AadaabWEBMASTER wrote:
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Janab Jawaid Badayuni Saahib aur aapke darmiyaan "yeh", "woh" aur "nah" ke baare meiN jo guftagu houi hei us meiN aap dounouN meiN mujhe koii ikhtilaaf nazar nahiN aayaa albattah tarjeeh ke mas'aleh meiN ikhtilaaf-e-raye hei.
Aapke javaab meiN mandarja-e-zeil jumlah dekhkar, samajh meiN nahiN aayaa ke aap kyaa kehnaa chaate heiN:
(((fa': baZaat-e-Khud ek rukn hai)))
afaa'Aeel-e-haftgaanah meiN "fa" koii rukn nahiN hei. Isko ham "faa'i'laatun" yaa 'faa'ilun" meiN sabab-e-khafeef kaa naam de sakte heiN.
Mehrbaani farmaakar meri is uljhan ko door keejiye. Shukriya.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
Aap kis amal ko tarjeeh dete haiN, YEH, WOH aur NAH ko bawazn FAA' istaimal karna ya HEY giraker istaimal karna? Mere Khiyal meN HEY giraker istaimal ziyadah munasib hai, iss se misArey ka husn siva ho jata hai.
Mutazir-e Jawaab,
Nacheez,
Jawaid
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Ham sab kii aek hii raye houjaayegi
MuHtarami
Jawaid Badayuni Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aap ne achcha sawaal kiyaa hei lekin is ke javaab meiN mukhtalif loag mukhtalif raaye rakh sakte heiN.
Bunyaadi Taur per aap ne 3 alfaaz ke baare meiN daryaaft kiyaa hei tou unkaa zikr bhii zaroori hei:
1- yeh. Hindi kaa lafz zmeer-e-ishaarah hei. Iske talaffuz ke baare meiN likhkhaa hei (ba-haaye havvaz o mukhtafi her do durust). Iski micaaleN heiN:
alif)
:Anwar:
Thak ke baiThe hou dar-e-SaumaAah per kyaa :Anwar:
Do qadam aur ke yeh khaana-e-khammar rahaa.
MajrooH:
Dar-e-maikhaanah yeh rahaa MajrooH
Aap jaate heiN ai janaab kahaaN.
Bey)
Zaki)
MaiN kahooN kiyunkar khamoushi meiN mazah houtaa nahiN
Hai ye'sheereeni ke lab se lab judaa houtaa nahiN
Wazeer)
Martaa hei jahaaN tujh pah yeh ai qaatil-e-Aalam
Ab zindah bhii pahne houe phirte heiN kafan ko.
Note: doosre isteAmaal kii micaaleN be-Hisaab heiN.
Lafz (wo)
Ghalib:
Ghalib wazeefah-khwaar hou do shaah ko duAaa
Wo din gaye ke kahte thay naukar nahiN hooN maiN.
Dard:
Wo din kidhar gaye ke hameN bhii faraagh thaa
yaAni kabhoo tou apnaa bhi dil thaa dimaagh thaa.
Wo kii bhii (hey ke baghair yani aek Harf kii aavaaz ke saath) be-Hisaab micaaleN heiN.
Lafz (nah)
Is lafz kii hey ke talaffuz ka saath bahut hii shaaz micaaleN heiN yahaaN tak ke is lafz ko agar koii "hey" kii aavaaz ke saath isteAmaal kare tou ghalaT hii kahaa jaataa hei.
Mandarja-e-baalaa baataoN ke zehn meiN rakhte houe agar maiN aapke sawaal kaa javaab dooN tou yehi kahoongaa gaa kaa ye, wo aur nah kaa isteAmaal (aek Harf kii aavaaz kii shakl meiN) qaabil-e-tarjeeH hei.
Albattah agar koii yeh kehe ke "yeh" ko yaa "wo" ko baghair "hey" kii aavaaz ke hii isteAmaal karnaa durust hei aur doosraa qaaAidah ghalaT hei tou yeh baat durust nahiN hougi.
Agar meri maAloomaat meiN koii khaami hou tou aapko ikhtiyaar hei ke kitaabi HavaalaoN se mujh per iAtiraaz kareN.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
kitaab kii ishaaAat
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: Saahib,
Purkhuloos Tasleemaat,
Aap ne likhkha thaa:
(((nayee GhazaloN kaa mas,alah aur hai. kitaab ch`apwaataa hooN to woh ek dard-e-sar hai aur us kee nikaasee joo-e-sheer se kam naheeN! aap ne is kaa kyaa Hal sochaa hai?
Sarwar A. Raz :Sarwar: )))
MaiN ne jab apnaa pahlaa majmooAa-e-kalaam shaayeA karwaayaa tou deewaan kii nikaasi ke baare meiN bilkul ghaur nahiN kiyaa.
Ab kii baar "Taar-e-anfaas-e-ghazal" chapwaate waqt yehi souch rakhkhaa thaa ke agar jitnaa sarmaayah kharch hourahaa hei kam se kam utnaa hii waapus mil jaaye tou aayindah apni kisi kitaab kii ishaaAat ke baare meiN souchoongaa warnah nahiN. Ab tak kaamyaabii ke koii aacaar nahiN heiN.
Sunte aaye thay ke shayer se kalaam sunaa jaataa hei lekin us ko koiiee muAaviZah nahiN miltaa jabke qavval ko bhii achchi khaasi aamadani houjaati hei. Ab tou yeh bhii tajribah hougayaa hei ke shayer ko apnaa deewaan chapwaakar muft taqseem karnaa paRtaa hei.
Aap apnaa kalaam apni site per meHfooz keejiye aur agar maiN koii aisi site qaayim karsakuN jis meiN mukhtalif asaatizah kaa kalaam meHfooz karsakuN tou vahaaN bhii aapkaa kalaam naql kardoongaa. Muddat se meri justajoo rahii hei ke Lucknow aur Delhi ke b'az kutubkhaanaoN meiN jou ghair shayeA shudah kalaam milsake usko aek site per meHfooz karsakuN lekin yeh tamanna bhii naakaam rahi. Bahut se doustaoN ne waAdah kiyaa lekin paabajaayi unke liye naamumkin hougaii.
Aapka Mukhlis,
Nazir.
[