salaamun alaikum
dosto
haalaate haazira per apne jazbaat peshe khidmat hai.n.
gar qubool uftad zahe .......
kya bataaye.n tumhe.n is daur mei.n kya kya dekha
qaume muslim ka bigadta hua chehra dekha
humse quraa.n ne kaha milke tumhe rehna hai
par musalmaan ko aapas hi mei.n ladta dekha
deene ahmed kee mohabbat ka jo dam bharte hai.n
un mei.n bhee bhaai ko ek bhaai peh hansta dekha
jo koyee bhaai kee ghurbat ka udaata hai mazaaq
usko ahmed ki nigaaho.n mei.n paraaya dekha
jo pasand apne liye ho wohee bhaai ke liye
humne yeh ahmede mukhtaar ko kehta dekha
koofe waalo.n ko sabhee log bura kahte hai.n
humne har gaao.n mei.n har shahr mei.n koofa dekha
nekiyaa.n karta chala jaa tu jahaa.n se haamid
humne baba ko hamesha yehi kehta dekha
nateejaye fikr
haamidbaaqri
alhamdulillah
"kya kya dekha"apne jazbaat
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
- haamidbaaqri
- -
- Posts: 567
- Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
- Location: bangalore, india 00-91-9341253797
- Contact:
"kya kya dekha"apne jazbaat
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa