a'jeeb kaif-o-sukooN teree justjoo meN th`aa

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

a'jeeb kaif-o-sukooN teree justjoo meN th`aa

Post by Sarwar A. Raz »

yaaraan-e-bazm: aadaab!

idh`ar muKhtalif asbaab kee binaa par Ghazal-goyee kaa silsilah sust ho gayaa hai. ek Ghazal kal hee mukammal huyee hai aur maiN us ko yahaaN pesh kar rahaa hooN. is kee zameen bh`ee mushkil hai aur maZ^aameen bh`ee qadre uljh`e huwe haiN. ma'loom naheeN keh maiN apne jaZbaat-o-eHsaasaat kis Had tak naz^m kar sakaa hooN. ba-har-kaif Ghazal dekh`iYe aur apnee raaYe aur ta,accuraat se aagaah keejiYe. mujh` ko yaqeen hai keh is Ghazal ke ash,a'ar aap ke Zehn ko aNgez kareN ge. aap ke tabSire mere liYe bh`ee lamHaat-e-fikr paidaa kar sakte haiN. shukriyah peshagee HaaZ^ir hai!

maiN ne mushkil alfaaz^ ke ma'nee de diYe haiN taa.k nafs-e-maZ^moon kisee Had tak hee sahee ziyaadah waaZ^eH ho jaaYe.

Sarwar A. Raz "Sarwar"

==========================
GHAZAL:

a'jeeb kaif-o-sukooN teree justjoo meN th`aa
gumaaN-naward maiN SeHraaYe-aarzoo meN th`aa!

nah shaa,i'ree meN, nah hee jaam-e-mushkboo meN th`aa
woh lut^f jo tire andaaz-e-guftgoo meN th`aa!

ik u'mr maiN rahaa Sad-fikr-e-laa-ilaah meN gum
magar a'yaaN too miree ek Z^arb-e-hoo meN th`aa!

rahaa hameshah muHabbat kee aabroo ban kar
woh iZ^t^iraab jo meree rag-e-guloo meN th`aa!

tire Khayaal ne kab furSat-e-naz^aarah dee?
hazaar kehne ko dunyaa-e-raNg-o-boo meN th`aa

jahaaN meN kis ko milaa shauq-o-jaZbah-e-Mansoor?
yeh iHtiraam-e-muHabbat kasoo kasoo meN th`aa!

Khud apne aap se begaanah kar gayaa mujh` ko
suroor-o-kaif-e-Khudee jo tire suboo meN th`aa

namaaz-e-i'shq meN "Sarwar" kahaaN peh jaa poNhchaa!
woh Ka'bah-roo th`aa, jahaaN manzil-e-wuZ^oo meN th`aa!

------------------------
naward = kash-makash, jaNg
gumaaN-naward = gumaan se jaNg kartaa huwaa
mushkboo = Khushboodaar
Sad = sau (hundred)
fikr-e-laa-ilaah = laa-illah kee fikr (laa ilaaha illa-Allah = Islam kaa kalimah hai)
Z^arb = choT
Z^arb-e-laa-ilaah = tasbeeH (worry-beads!) paRhte waqt ek maKhSooS jagah par zor se :illa-Allah: kahaa jaataa hai, goyaa is fiqreh kee choT lagaayee jaatee hai.
a'yaaN = z^aahir
rag-e-guloo = shaah-rag, jugular vein (Quran meN kahaa gayaa hai keh Allah hamaaree shaahrag se bh`ee ziyaadah qareeb hai)
Mansoor = Aurangzeb baadshaah ke zamaaneh ke ek buzurg jo :ana al-Haq: (maiN hee "Haq" hooN!-- "al-Haq" Khudaa ke naam ke t^aur par bh`ee liyaa jaataa hai) kehne ke ilzaam meN ph`aaNsee par chaRhaa diYe gaYe th`e.
kasoo = "kisee" kee puraanee shakl hai
suboo = SuraaHee, jug
Ka'bah-roo = Ka'bah kee t^araf muNh kiYe huwe, ya'nee meHv-e-i'baadat
wuZ^oo = namaaz se qabl jis KhaaS t^areeqeh se haath`-muNh dh`oyaa jaataa hai
Attachments
ajeebkaif_cr.gif
ajeebkaif_cr.gif (12.68 KiB) Viewed 134 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

Bahut hi dilkash ghazal hei

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,

PurkhulooS tasleemaat,

Aapki ghazal her liHaaz se bahut hii dilkash hei. ashAaar ke suboo se chalakti houi sehbaay-e-aarzoo se yooN lagtaa hei ke aap ne Huj kaa iraadah karliyea hei. Baharhaal is umdah ghazal per khaaksaar kii daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.

Kyaa khoob maTlaA kahaa hei aap ne:

a'jeeb kaif-o-sukooN teree justjoo meN th`aa
gumaaN-naward maiN SeHraaYe-aarzoo meN th`aa!



Shayad aap ne sahv-e-kitaabat kii vajh se (gumaaN nabard) ko "gumaaN navard" likhdiyaa hei jou aapki saharH-e-maAani se zaaHir hei jahaaN aap ne "gumaaN navard" ke maAni likhkhe heiN "gumaaN se jung karnaa" jabkeh yeh maAani (gumaaN nabard) se hii nikal sakte heiN.

nah shaa,i'ree meN, nah hee jaam-e-mushkboo meN th`aa
woh lut^f jo tire andaaz-e-guftgoo meN th`aa!


Waah waah bahut hii khoob. Taghazzul se bharpoor yeh sheAr paRhkar maiN sar dhuntaa rehgayaa.

ik u'mr maiN rahaa Sad-fikr-e-laa-ilaah meN gum
magar a'yaaN too miree ek Z^arb-e-hoo meN th`aa!


Bahut khoob, kyhaa hii achchaa andaaz-e-bayaan hei.

rahaa hameshah muHabbat kee aabroo ban kar
woh iZ^t^iraab jo meree rag-e-guloo meN th`aa!


Waah waah kyaa kehne heiN. Gou keh ghazal kii zameen se yooN maAloom houtaa hei ke maaZi kii baat hei lekin maAnavi liHaaz se yehi samjhaa jaayegaa ke (woh iZ^t^iraab jo meree rag-e-guloo meN th`aa! aur ab bhii hei).

tire Khayaal ne kab furSat-e-naz^aarah dee?
hazaar kehne ko dunyaa-e-raNg-o-boo meN th`aa


Achcha sheAr hei lekin Sadaay-e-baazgusht aayegi ke (tujh meiN taab-e-nazaarah kahaaN!)

jahaaN meN kis ko milaa shauq-o-jaZbah-e-Mansoor?
yeh iHtiraam-e-muHabbat kasoo kasoo meN th`aa!


SheAr khoob hei lekin yeh aek aisaa falsafah hei mujh Tifl-e-maktab kii fehm se bahut door hei.

Khud apne aap se begaanah kar gayaa mujh` ko
suroor-o-kaif-e-Khudee jo tire suboo meN th`aa


Bahut hii umdah, waah waah kyaa kehne.

namaaz-e-i'shq meN "Sarwar" kahaaN peh jaa poNhchaa!
woh Ka'bah-roo th`aa, jahaaN manzil-e-wuZ^oo meN th`aa!.


WaaH, kyaa hii dilkash maqTaA hei. Khudaa kare aapkaa khwaab pooraa houjaaye.

Ghazal paRhkar isqadr suroor o kaif paidaa hougayaa hei ke baar baar paRhne ko jee chaataa hei.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Nazir SaaHeb:aadaab!

nawaazish ke liye mamnoon hooN. aap ne Ghazal par naz^ar Daalee aur us ko pasand kiyaa to yeh meree i'zzat-afzaayee kaa sabab huwaa!

aap ne :gumaaN-naward: ke Hawaaleh se jo likh`aa hai woh Ghalat^-fehmee doosre eHbaab ko bh`ee huyee hai. ek meHfil ALUP meN to kayee dostoN ne is par sargarmee se beHc kee hai. aap ke tafannun-e-t^aba' ke liYe jo jawaab maiN ne likh`aa hai woh yahaaN de rahaa hooN. furSat se dekh` leejiYe gaa.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
==================================

Yaraan-e-ALUP: aadaab-o-tasleemaat!

maiN is ko apnee Khush-qismatee samajh`taa hooN keh is Ghazal kee wajh se bohat se puraane dostoN se ek muddat ke ba'd niyaaz HaaSil ho gayaa! agar mulaaqaat kee yehee shart^ hai keh maiN aise ash,a'ar kehtaa rahooN to zahe-naSeeb! kal se hee yeh kaam shuroo' kiyaa jaa saktaa hai!

:gumaaN-naward: par aap sab kee dilchasp beHc paRh kar mujh` ko Momin kaa woh mash,hoor-e-zamaanah she'r yaad aa gayaa:

tum mire paas hote ho "goyaa"
jab koyee doosraa naheeN hotaa

is she'r meN :goyaa: ke ma'nee :jaise: bh`ee ho sakte haiN aur :ham-kalaam: bh`ee! ab aap jaisaa chaaheN samajh` leN. lut^f donoN t^araH baraabar kaa hee hai! albattah itnaa Z^aroor hai keh har-chand keh :naward: aur :nabard, nabhurd: ke ek ma'nee :jaNg, laRaayee: bh`ee haiN lekin mere she'r meN yeh ma'nee nah to maqSood haiN aur nah hee qawaa,id ke liHaaz^ se SaHeeH. yeh ijmaal kuch` tafSeel chaahataa hai.

aap sab hee jaante haiN keh :naward: aur :nabard, naburd: ke kyaa ma'nee haiN. maiN itmaam-e-Hujjat kee Khaat^ir yeh ma'nee neeche likh`e detaa hooN:

(a) A Comprehensive Persian-English Dictonary: Steingass (online)

(1) naward, (p. 1433) :naward, A ply, fold, wrinkle, twist; a crease; a scroll; anything folded and round; a burrow; the hem or anything sewed round the edge of a garment; ready money; a brute; battle, combat, quarrel, law-suit; a gift, present; a weaver's beam, upon which he rolls the cloth; worthy, convenient, proper, excellent; approved, acceptable, agreeable; like, resembling, equal, of the same stature, breadth, weight, or measure; (in composition) going round, surrounding, travelling over; a traveller; collected, gathered, gained; [andar naward, In obscurity; -- dar naward kardan (kashidan, nihadan), To roll up, to conceal, to obliterate; to place in a hole; -- samandi rahnaward, A horse that can travel well;<-> saiyahi jahan-naward, A traveller who has gone round the world; -- sahra-naward shudan, To scour the country round;]<-> nord, Original name of the city of Gazirun.

(2) nabard, naburd, (p. 1385) :nabard, naburd, Battle, engagement, war, contest; bold, valiant; [nabard kardan, To contend;] -- na-barad, He bears not, &c. (3rd present sing. of the negative of burdan); -- na-burad, He cuts not, &c. (3rd present sing. of the neg. of buridan).

(3) sahra-nawardi, (p. 0782) : Traversing or wandering in a desert.

(B) Noor-ul-Lughaat^; Urdu Lughat^ (Lughat Board, Karachi, Pakistan)

(1) Nawardeedan : t^ai karnaa

(2) SeHraa-nawardee : jaNgaloN meN maaraa maaraa ph`irnaa

(3) Naward : teh, pech, t^ai karne waalaa

ik boo-e-rashk aatee hai Khat^ kee "naward" se
hai hai! kaheeN u'doo se to likh`waa diyaa naheeN? (Anwar Dehlawee)

paa-ba-daaman ho rahaa hooN bas keh maiN "SeHraa-naward"
Khaar-e-paa haiN jauhar-e-aa,eenah-e-zaanoo mujh`e (Ghalib)

too "reh-naward"-e-shauq hai manzil nah kar qubool
Lailaa bh`ee ham-nisheeN ho to meHmil nah kar qubool (Iqbal)

(4) nabard, naburd : jaNg, laRaayee
nabard-aazmaa : jaNgjoo, laRne waalaa
nabard-gaah : maidaan-e-jaNg

dh`amkee meN mar gayaa, jo nah "baab-e-nabard" th`aa
i'shq-e-"nabard-peshah" t^alab-gaar-e-mard th`aa

eHbaab chaarah-saazee-e-weHshat nah kar sake
zindaaN meN bh`ee Khayaal, "bayaabaaN-naward" th`aa (Ghalib)

in micaaloN se z^aahir hai keh :naward: hameshah ek :laaHiqeh: (tarkeeb ke aaKhiree lafz^) kee t^araH ista'mal hotaa hai (SeHraa-naward, dasht-naward, reh-naward, gumaaN-naward) aur is ke ma'nee :maaraa-maaraa, Hairaan-o-pareshaan ph`irne waale: ke haiN.

doosree jaanib :nabard, naburd: laaHiqah bh`ee ho saktaa hai aur :saabiqah: (tarkeeb kaa pehlaa lafz^) bh`ee (nabard-aazmaa, nabard-gaah, nabard-peshah, baab-e-nabard)! lekin jab bh`ee yeh ek laaHiqeh kee t^araH ista'maal hotaa hai iZ^aafat ke saath` aataa hai (baab-e-nabard, maqaam-e-nabard). agar kisee ko in shakloN se muKhtalif kisee aur shakl kaa i'lm hai to az-raah-e-karam bataa de taa.k hamaare i'lm meN iZ^aafah ho aur maiN apne Khayaal se rujoo' kar sakooN.

is kaa yeh mat^lab huwaa keh :gumaaN-naward: aise shaKhS ke liYe kahaa jaaYe gaa jo apne :gumaanoN ke jaNgal meN maaraa-maaraa ph`ir rahaa hai: lekin :gumaan-nabard: ke koyee ma'nee naheeN haiN. shaayad :nabard-aazmaaYe-gumaaN: keh sakte haiN?

meree Ghalat^ee yeh huwee keh maiN ne :naward: ke sabh`ee ma'nee naheeN likh`e aur is se yeh muGhaalit^ah paidaa huwaa keh is lafz^ se meree muraad :jaNg: th`ee, jab.k aisaa naheeN th`aa. ma'Zirat?

jab maiN ne yeh she'r kahaa th`aa keh:

a'jeeb kaif-o-sukooN teree justjoo meN th`aa
"gumaaN-naward" main SeHraaYe-aarzoo meN th`aa!

to mere Khwaab-o-Khayaal meN bh`ee naheeN th`aa keh is par itnee a'alimaanah beHc ho saktee hai. maiN :naward: (ba-ma'nee "Hairaan-o-pareshaan ph`irne waalaa") hee kehnaa chaahataa th`aa, :nabard, naburd: naheeN! maiN apne ash,a'ar meN alfaaz^ kaa intiKhaab bohat meHnat se kartaa hooN aur mujh` se aisee :typo: shaaZ-o-naadir hee sarzad hotee hai!

chooN.k :SeHraa: se :nawardee: kaa fit^ree aur qareebee ta,a'lluq hai is liYe mere liYe :gumaaN-naward: kehnaa bohat aasaan th`aa. chooN.k :gumaaN-nabard: Ghalat^ hai is liYe agar :nabard, naburd: kehnaa chaahataa to kisee aur tarkeeb kaa ista'maal kartaa. ab sawaal yeh hai keh yeh tarkeeb maiN ne is ma'nee meN lee th`ee to she'r kaa kyaa mat^lab hai?

Amjad SaaHeb ne farmaayaa hai keh jab maiN yahaaN maujood hooN to kyoN nah mujh` se hee pooch`aa jaaYe? baat b.ilkul durust hai. to suniYe!

a'ashiq kee aarzoo,eN apnee fit^rat meN naa-muraadee aur naa-kaamee kaa pehloo rakh`tee haiN aur us kee beshtar aarzoo,eN pooree naheeN hotee haiN. goyaa woh :SeHraaYe-aarzoo: meN be-yaqeenee kaa shikaar akcar Hairaan-o-pareshaan hee rehtaa hai. mere Zehn meN :SeHraaYe-aarzoo: men hee ek goshah aisaa bh`ee hai jo saraa-sar :gumaan hee gumaan: hai. isee goshah meN Hairaan ph`irnaa :gumaaN-nawardee: hai. :SeHraa: se is Soorat-garee kee bohat qareebee nisbat hai jis ne a'ashiq kee dilee kaifiyyat ko aur bh`ee digar-gooN kar diyaa hai. ya'nee ek to maiN :SeHraaYe-aarzoo: meN sar-gardaaN hooN aur us par mustazaad yeh keh wahaaN bh`ee be-yaqeenee ke patth`aroN se Khud apnaa sar ph`oR rahaa hooN!

itnee see baat th`ee jise afsaanah kar diyaa!

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
User avatar
Abdullah Nazir
-
-
Posts: 2681
Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
Location: Jeddah
Contact:

shukriya

Post by Abdullah Nazir »


MuHtarami
Sarwar A. Raz, :Sarwar: SaaHib,

Purkhuloos Tasleemaat,

Aapki apne maTleA kii tashreeH aur uski seHHet neeche diye houe maAni "navard" se darguzar karte hoe Theek hei.

MaiN is qaabil kahaaN ke lughaat ke Hawaale se mukhtalif maAani ko samajh paauN. Meri yehi kamzouri hei ke jab koii lafz zehn meiN aataa hei tou lughat meiN kaiee maAni dekhkar yeh samjhtaa hooN keh her maAni meiN jisTaraH bhii chaahooN isteAmaal karsaktaa hooN. Macalan naward ke maAni jang dekhkar baghair souche samjhe yooN isteAmaal kar baiThtaa hooN (maiN apne dushmanaoN se navard karra hooN). Zaroorat hei keh maiN koiee aisi lughat talaash karuN jis meiN her maAni ke saath lafz ko isteAmaal karne kaa Tareeqah likhkhaa houaa hou.


Aapka Mukhlis,
Nazir.

Image
Sarwar A. Raz
-
-
Posts: 518
Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
Location: Fort Worth, Texas
Contact:

Post by Sarwar A. Raz »

mukarramee Dunyaa (aka Nazir) SaaHeb:aadaab!

HaZ^rat! is :pardah-nisheenee: kee kyaa Z^aroorat th`ee? aap laakh` pardoN meN ch`upe hoN magar pehchaan,ne waale to pehchaan hee leN ge! daad ke liYe shukriyah.

Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa

Sarwar A. Raz :Sarwar:
Post Reply