Tanzia Nazm,"Ghazal ki pazeeraaii"....

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Tanzia Nazm,"Ghazal ki pazeeraaii"....

Post by jawaid badauni »



Ghazal ki pazeeraaii



Khat mila hai mujhe Urdu ki kisee mahfil meN
PaRhke ranjoor hoa Tees si uThTheee dil meN

Khat men mauSoof ne likhkha hai mujhe “how are you”
HaiN woh ik ahl-e suKhan unki zubaaN hai Urdu

Aage likhkha hai keh kyooN mujhe peh hai sustee ka “blame”
Aap maSroof haiN aur maiN bhi yahaN ‘all the same”

Ap ne ek ghazal “send” jo ki thee parsoN
MaiN ne dou baar “really”woh paRhee thee parsoN

Oos ka har sher mujhe “best” nazar aata hai
“Heart” meN seedha harik sher utar jata hai

Aapke sheroN meN insaan ki “feeling” hai nihaaN
Jo bhi kahte haiN bahut Khoob hai Zawaid miyaN

Waise har she’r ki “reading” se hi aata hai maza
MaiN ne per Matla.o.Maqte ko bahut “like” kiya

"I swear" aapke sheroN ka hai andaz “superb”
“Really” aap ki hai fikr ki perwaaz “superb”

Aapki ghazaloN se milta hai mire “heart” ko chain
“Send again and again and again and again”

Khat ko paRhte hi raha josh ka mere nah hisaab
Main ne bhi likh diya unki hi zubaaN meN yeh jawab

“Thanks” keh aap ne ashAAr mire “like” kiye
Mere “couplets” pazeeraai ke qabil to nah the

“Weldone” aap ne kah kar mire tAAreef jo ki
Is se himmat miree kuch aur baRhee aur baRhee

Miree har fikr thee sada mira har sher sapaT
Aap ne phir bhi kiya “like” unheN “thanks a lot”



Jawaid Badauni
Muscat - Oman
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote::lol: :lol: :lol: wah wah Jawaid bhai...........kya kehne.......

bohat......bohat hi khoob!

"I swear" aapke sheroN ka hai andaz “superb”
“Really” aap ki hai fikr ki perwaaz “superb”

ab asaani hogayi mujhe to daad dene mein :lol:

:rose jawaid bhai daad qubool keejiye aek zabardast ghazal per
jo udaas chehron ko muskurahaton se roshan kerde.

sara.


Yeh Nazm haNsne ke liye nahin rone ke liye kahi thee. Kaash mera paiGham aap tak pahooNch jata. Waise aapki Urdu bahut achchee hai aur kabhi Angrezi nahiN istaimal karti haiN yeh maiN maanta hooN.

Khoosh RaheN
Jawaid
jawaid badauni
-
-
Posts: 810
Joined: Sat Jan 01, 2005 5:38 am
Contact:

Post by jawaid badauni »

sara_j wrote:
jawaid badauni wrote:
sara_j wrote::lol: :lol: :lol: wah wah Jawaid bhai...........kya kehne.......

bohat......bohat hi khoob!

"I swear" aapke sheroN ka hai andaz “superb”
“Really” aap ki hai fikr ki perwaaz “superb”

ab asaani hogayi mujhe to daad dene mein :lol:

:rose jawaid bhai daad qubool keejiye aek zabardast ghazal per
jo udaas chehron ko muskurahaton se roshan kerde.

sara.

Yeh Nazm haNsne ke liye nahin rone ke liye kahi thee. Kaash mera paiGham aap tak pahooNch jata. Waise aapki Urdu bahut achchee hai aur kabhi Angrezi nahiN istaimal karti haiN yeh maiN maanta hooN.

Khoosh RaheN
Jawaid
"Aage likhkha hai keh kyooN mujhe peh hai sustee ka “blame”
Aap maSroof haiN aur maiN bhi yahaN ‘all the same”

Ap ne ek ghazal “send” jo ki thee parsoN
MaiN ne dou baar “really”woh paRhee thee parsoN "

aapka paigham hai kya hidden here :-) ?

lagta hai main tou urdu bhi nahi samajh sakti
aur angrezi 'I don't know' :roll:

waise apki ghazal mein rone wali baat kahan hai
zara quote keejiye taake thora ro kar bhi dikhaun :-)
humein tou urdu aur angrezi ka istemal bohat bhaya hai
ghazal mein aisa kamaal humne ab tak Janab Mustafa Zaidi sahib
ke kalam mein paya jinki shaayri main kabhi kabhi bohat
enjoy karti hoon.

shukriya bhai apka jawab bhi zabardast hai :grin:
Azeezah Sara, Doa

Hum Urdu wale Khood Urdu ke saath naincaafi kar rahe haiN. Yeh Urdish zubaan yAAni aadhee urdu aadhi English, Urdu ka Khoon hai. Bahut se UrdudaaN is ke Khilaaf haiN jinmeN Sarwar Aalam Raz sahab ka naam Khususan shamil hai. Is Nazm men mizaah ke andaaz meN yehi paiGham diya gaya hai.

Rone wali baat to ek muhawra thee, darasl yeh ek mizahiya nazm hai jis meN ek sanjeedah paigham diya gaya hai. Aap ne bhi apne paigham meN kum se kum jumla to Urdish men likh hi diya hai: "jinki shaayri main kabhi kabhi bohat enjoy karti hoon." Bahin, hameN is qism ki Urdu se gurez karna chahiye.

Ummid hai paGham aap tak pahoooNch gaya hoga aur nazm ke sanjeedah pahloo se ab aap aagaah ho gayee hoNgee.

Mukhlis
Jawaid
User avatar
Ehsan Raza
-
-
Posts: 46
Joined: Wed Jan 04, 2006 5:20 am
Location: Makkah, Saudi-Arabia
Contact:

Re: Tanzia Nazm,"Ghazal ki pazeeraaii"....

Post by Ehsan Raza »

[
JAWAID BHAI TASLIMAAT
TANZIYA ASHAAR NAZAR SE GUZRE BAHUT MAZA AYA URDU ZABAAN MEN ENG LISH FIKHRE APNA ALAG MAZA DE RAHE HAIN HALATE HAZRA NE INSAAN KI ANKHEN ASHKBAAR KARNE MEN KOI KASAR NAHIN CHORHI HAI WAHAN IS TARHA KI CHASHNI ZAROORI HAI
MAIN BHI KUCH MAZAHIYA BHEJNE KI KOSHISH KAROONGA
KHUDA HAFIZ
EHSAN BADAUNI]
Post Reply