yaaraan-e-meHfil: aadaab-o-tasleemaat!
ek muddat ke ba'd ek nayee Ghazal le kar HaaZ^ir ho rahaa hooN. wajh wohee puraanee hai:
Gham-e-Habeeb, Gham-e-aarzoo, Gham-e-dunyaa!
aur in se kaun aazaada hai? Khair! Ghazal kehte waqt yeh andaazah huwaa keh is kee zameen "du,a'a hone lage, kyaa hone lage" KhaaSee meHnat chaahatee hai. yeh is liYe keh rahaa hooN keh ba'Z auqaat dekh`ne meN zameen aasaan ma'loom hotee hai lekin Ghazal kehne baiThiYe to kuch` aur hee iHsaas hotaa hai. aap is kaa tajribah karnaa chaaheN to isee zameen aur beHr meN fikr keejiYe. seekh`ne sikh`aane ke liYe aisee mashq se behtar aur kyaa ho saktaa hai?
maiN Ghazal ke mushkil alfaaz^ ke ma'nee bh`ee likh` rahaa hooN. shaayad kisee ke kaam aa jaaYeN!
Ghazal par apnee raaYe se aagaah farmaa kar mujh` ko surKhroo keejiYe. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
==========================
GHAZAL:
jis qadar shikwe the, sab Harf-e-du,a'a hone lage
ham kisee kee aarzoo meN kyaa se kyaa hone lage!
be-kasee ne be-zabaanee ko zabaaN kyaa baKhsh dee
jo nah keh sakte th`e ashkoN se adaa hone lage!
ham zamaaneh kee suKhan-fehmee kaa shikwah kyaa kareN?
jab Zaraa see baat par tum bh`ee Khafaa hone lage!
raNg-e-meHfil dekh` kar dunyaa ne naz^reN ph`er leeN
aashnaa jitne bh`ee th`e, naa-aashnaa hone lage!
har qadam par manzileN katraa ke door hone lageeN
raazhaaYe-zindagee yooN ham peh waa hone lage!
sar-bureedah, Khastah-saamaaN, dil-shikastah, jaaN-ba-lab
a'ashiqee meN surKhroo, naam-e-Khudaa! hone lage!
aagahee ne jab dikh`aayee raah-e-i'rfaan-e-Habeeb
but th`e jitne dil meN, sab qiblah-numaa hone lage!
a'ashiqee kee Khair ho "Sarwar" keh ab is shehr meN
waqt woh aayaa hai, bande bh`ee Khudaa hone lage!
=============
Sarwar A. Raz "Sarwar"
------------------------------------------------------------
suKhan-fehmee = baat kaa samajh`naa
shikwah = shikaayat
ashk = aaNsoo
waa honaa = kh`ulnaa, z^aahir honaa
sar-bureedah = jis kaa sar kaT gayaa ho
Khastah-saamaaN = pareshaan Haal
dil-shikastah = jis kaa dil TooT gayaa ho
jaaN-ba-lab = jis kee jaan hoNToN par aTkee huyee ho
aagahee = i'lm honaa, jaan-kaaree
i'rfan = poNhach, rasaayee
Habeeb = meHboob, pyaaraa
but = moorat
qiblah = jis t^araf musalmaan namaaz paRhte haiN, Ka'bah
qiblah-numaa = Ka'bah kee Khabar dene waalaa
surKhroo = kaamyaab
jis qadar shikwe th`e sab Harf-e-du,a'a hone lage!
Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
jis qadar shikwe th`e sab Harf-e-du,a'a hone lage!
- Attachments
-
- gg-jisqadarshikwe_cr.gif (14.45 KiB) Viewed 329 times
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
yaaraan-e-bazm: aadaab!
meree is Ghazal meN ek dost Rishi jee ne she'r #5 meN ek Ghalat^ee kee nishaan-dehee kee hai jis ke liYe maiN un kaa shukr-guZaar hooN. is she'r ko yooN paRhiYe:
har qadam par manzileN kuch` door yoon hotee gayeeN
raazhaaYe-zindagaanee ham peh waa hone lage

- Abdullah Nazir
- -
- Posts: 2681
- Joined: Sat Dec 11, 2004 4:16 am
- Location: Jeddah
- Contact:
Hameshah ki TaraH aekshaahkaar ghazal
MuHtarami
Sarwar A. Raz :Sarwar: SaaHib,
PurkhulooS Tasleemaat,
Aapki aek aur shaakaar ghazal paRhkar khushi houi aur bahut kuch seekhne ko milaa.
GHAZAL:
jis qadar shikwe the, sab Harf-e-du,a'a hone lage
ham kisee kee aarzoo meN kyaa se kyaa hone lage!
be-kasee ne be-zabaanee ko zabaaN kyaa baKhsh dee
jo nah keh sakte th`e ashkoN se adaa hone lage!
ham zamaaneh kee suKhan-fehmee kaa shikwah kyaa kareN?
jab Zaraa see baat par tum bh`ee Khafaa hone lage!
raNg-e-meHfil dekh` kar dunyaa ne naz^reN ph`er leeN
aashnaa jitne bh`ee th`e, naa-aashnaa hone lage!
har qadam par manzileN kuch door yooN houti gaieeN
raazhaaYe-zindagee yooN ham peh waa hone lage!
sar-bureedah, Khastah-saamaaN, dil-shikastah, jaaN-ba-lab
a'ashiqee meN surKhroo, naam-e-Khudaa! hone lage!
aagahee ne jab dikh`aayee raah-e-i'rfaan-e-Habeeb
but th`e jitne dil meN, sab qiblah-numaa hone lage!
a'ashiqee kee Khair ho "Sarwar" keh ab is shehr meN
waqt woh aayaa hai, bande bh`ee Khudaa hone lage!
=============
Saare ashAar bahut hi dilkash hein. Khaaksaar ki daad aur mubaarakbaad qubool farmaayiye.
Aapka MukhliS,
Nazir.
- Mahtab Qadr
- -
- Posts: 559
- Joined: Sun Dec 12, 2004 7:36 am
- Location: Jeddah Saudi Arabia
- Contact:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
mukarram-e-bandah Janaab Nazir SaaHeb: tasleemaat!
aap kee i'naayat hai keh meree Ghazal ko daad-o-teHseen se nawaazaa hai warnah man aanam keh man daanam! abh`ee Muhammad Husain Azad kee kitaab Aab-e-Hayat paRh kar faariGh huwaa hooN. pich`le zamaaneh ke logoN kaa i'lm aur meHnat dekh`taa hooN to Khud par haNsee aatee hai aur nayee nasl par ronaa! be-beeN tafaawut-e-reh az kujaast taa ba-kujaa!
aap kee nawaazishaat kaa dilee shukriyah!
is se qabl guZaarish kee th`ee keh Urdu kee meHfiloN meN naYe likh`ne waaloN par tabSireh aur un kee iSlaaH kee takleef gawaarah keejiYe. taa dam-e-teHreer Sirf maiN hee yeh kaam kar rahaa hooN. aap ne agar koyee faiSilah kiyaa ho to aagaah farmaa,iYe. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
aap kee i'naayat hai keh meree Ghazal ko daad-o-teHseen se nawaazaa hai warnah man aanam keh man daanam! abh`ee Muhammad Husain Azad kee kitaab Aab-e-Hayat paRh kar faariGh huwaa hooN. pich`le zamaaneh ke logoN kaa i'lm aur meHnat dekh`taa hooN to Khud par haNsee aatee hai aur nayee nasl par ronaa! be-beeN tafaawut-e-reh az kujaast taa ba-kujaa!
aap kee nawaazishaat kaa dilee shukriyah!
is se qabl guZaarish kee th`ee keh Urdu kee meHfiloN meN naYe likh`ne waaloN par tabSireh aur un kee iSlaaH kee takleef gawaarah keejiYe. taa dam-e-teHreer Sirf maiN hee yeh kaam kar rahaa hooN. aap ne agar koyee faiSilah kiyaa ho to aagaah farmaa,iYe. shukriyah!
Sarwar A. Raz "Sarwar"
yooN aur bohat a'ib haiN :Sarwar: meN wa-lekin
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
kambaKht muHabbat meN to yaktaa nazar aayaa
Sarwar A. Raz :Sarwar:
-
- -
- Posts: 518
- Joined: Sat Jan 01, 2005 3:18 pm
- Location: Fort Worth, Texas
- Contact:
muHibbee Mahtab Qadr SaaHeb: aadaab!
Khat^ aur us meN likh`ee Ghazal kee daad kaa shukriyah! aap kee muHabbat hai jo aise achh`e Khayaalaat Khaadim ke liYe rakh`te haiN. Khush rahiYe.
yeh to kahiYe keh woh mere :site: par jaane kaa wa'dah kab wafaa ho gaa?