"hamsafar koyee nahi.n"taza tarhi kalaam pesh hai

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

"hamsafar koyee nahi.n"taza tarhi kalaam pesh hai

Post by haamidbaaqri »

salaamun alaikum
dosto

mehfile husne talab(bangalore) ki jaanib se aik misra diya gaya tha

misra hai: "betakalluf aaiye deewaar o dar koyee nahi.n"

apni adna kaavish aap ke saath hum sher kar rahe hai.n.

gar qubool uftad zahe...........

arz kiya hai....

chal rahe hai.n sab safar mei.n hamsafar koyee nahi.n
pyaar jo sab se kare aisa bashar koyee nahi.n

meri daulat mera ghar meri zamee.n sab kuch mera
khud gharaz insaan jaisa jaanwar koyee nahi.n

^ilm rakhte hai.n yeh insaa.n per nahi.n karte ^amal
isliye inki zubaa.n mei.n ab acar koyee nahi.n

bhook se apni tadap kar margaya hai ek ghareeb
uski is haalat pe yaaro nauhagar koyee nahi.n

keh nahi.n sakta hai haamid baat yeh daana kabhie
"be takalluf aaiye deewaar o dar koyee nahi.n"

nateejaye fikr
haamidbaaqri
al hamdulillah
mai.n to karta nahi.n kuch aur ebaadat ke siwa
paas mere nahi.n kuch aur mohabbat ke siwa
Raji
-
-
Posts: 211
Joined: Fri Dec 31, 2004 6:58 am
Location: Home Sweet Home
Contact:

Post by Raji »

moHtaram Haamid Baaqri SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

aap ke Ghazal kee zameen bohat hee KhoobSoorat hai. jahaN aap ke Khayaalaat ache heN waheN Ghazal meN zaraa Ghazliyaa rang kee kamii ka shiddat se eHsaas ho rahaa hai.

aap ek taveel arSe se likh~ rahe heN aur mashaAllah har doosree meHfil meN mutaHarrik naZar aate heN.

agar aap kee ijazat ho tu maiN is Ghazal par apnii raaYe khul ke denaa chah rahii hooN lekin yeh baat bhi kehnaa chahooNgii keh is raaYe se aap ka ittifaaq karnaa zaroori naheeN hai haaN jahaN peh maiN ghalat hoN wahaN aap se rehnumayii kee darKhwaast zaroor hai.

chal rahe hai.n sab safar mei.n hamsafar koyee nahi.n
pyaar jo sab se kare aisa bashar koyee nahi.n
malta'a ke donoN miSray apnii jaga ache heN aur saamne kee mazameen par bhaandhe gaye heN

lekin miSrah-e-caanii kee Haqeeqat ke baare meN mujhe zaraa iKhtilaaf hai. voh isliye keh aaj bhi dunya meN aise logoN kee kamii naheeN hai jo insaan se moHabbat Khuda kee razaa ke liye karte heN unheN insaaniyat se pyaar hai. agar aisaa nah hotaa tu dunyaa meN eHsaas ka vajood hee Khatm ho jaataa.

meri daulat mera ghar meri zamee.n sab kuch mera
khud gharaz insaan jaisa jaanwar koyee nahi.n
Khayaal acha hai lekin aap ke Khayal kee puree vaZaHat naheeN ho sakee hai.

aap ne pahle miSrah meN ek mutakkabbir insaan kee Sifaat kaa bayaan kiyaa hai lekin doosre meN Khud-Gharz keh diyaa hai. meree naZar meN is par naZr-e-caanii zaroorii hai.

is she'r ke doose miSrah ne mujhe mere das baarah saal qabl kee ek Ghazal ka ek she'r yaad dilaa diyaa hai:

uThnaa chaYe tu falak se bhi hai ooNchaa insaan
aur gir jaaYe tu baRh kar koyii eHvaan naheeN
^ilm rakhte hai.n yeh insaa.n per nahi.n karte ^amal
isliye inki zubaa.n mei.n ab acar koyee nahi.n

bhook se apni tadap kar margaya hai ek ghareeb
uski is haalat pe yaaro nauhagar koyee nahi.n
yeh donoN ashaar ache heN.
keh nahi.n sakta hai haamid baat yeh daana kabhie
"be takalluf aaiye deewaar o dar koyee nahi.n"
miSrah-e-taraH kee girah maa'nee ke leHaaz se tu Teak hai lekin pur-acr naheeN hai.

apne tabSare ke iKhtitaam par aap se yeh zaroor kehnaa chahooNgii keh agar meree kisee baat se aap kee dil-aazaarii hoovii ho tu uske liye bohat ma'azrat Khwah hoN. meraa maqSad tanqeed karnaa har-giz naheeN hai balkeh ho saktaa hai keh in choTee moTee baatooN ke ma'aloom hone ke ba'ad aap inheN duaraane se ijtinaab kareN.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:
Meree sha'iree se mujhe jaan Lo
ke yeh aa'enaa hai meri zaat ka
(Raji)
User avatar
haamidbaaqri
-
-
Posts: 567
Joined: Tue Oct 11, 2005 10:50 am
Location: bangalore, india 00-91-9341253797
Contact:

shukriya

Post by haamidbaaqri »

Raji wrote:moHtaram Haamid Baaqri SaaHeb:
Aadaab-o-tasleemaat,

aap ke Ghazal kee zameen bohat hee KhoobSoorat hai. jahaN aap ke Khayaalaat ache heN waheN Ghazal meN zaraa Ghazliyaa rang kee kamii ka shiddat se eHsaas ho rahaa hai.

aap ek taveel arSe se likh~ rahe heN aur mashaAllah har doosree meHfil meN mutaHarrik naZar aate heN.

agar aap kee ijazat ho tu maiN is Ghazal par apnii raaYe khul ke denaa chah rahii hooN lekin yeh baat bhi kehnaa chahooNgii keh is raaYe se aap ka ittifaaq karnaa zaroori naheeN hai haaN jahaN peh maiN ghalat hoN wahaN aap se rehnumayii kee darKhwaast zaroor hai.

chal rahe hai.n sab safar mei.n hamsafar koyee nahi.n
pyaar jo sab se kare aisa bashar koyee nahi.n
malta'a ke donoN miSray apnii jaga ache heN aur saamne kee mazameen par bhaandhe gaye heN

lekin miSrah-e-caanii kee Haqeeqat ke baare meN mujhe zaraa iKhtilaaf hai. voh isliye keh aaj bhi dunya meN aise logoN kee kamii naheeN hai jo insaan se moHabbat Khuda kee razaa ke liye karte heN unheN insaaniyat se pyaar hai. agar aisaa nah hotaa tu dunyaa meN eHsaas ka vajood hee Khatm ho jaataa.

meri daulat mera ghar meri zamee.n sab kuch mera
khud gharaz insaan jaisa jaanwar koyee nahi.n
Khayaal acha hai lekin aap ke Khayal kee puree vaZaHat naheeN ho sakee hai.

aap ne pahle miSrah meN ek mutakkabbir insaan kee Sifaat kaa bayaan kiyaa hai lekin doosre meN Khud-Gharz keh diyaa hai. meree naZar meN is par naZr-e-caanii zaroorii hai.

is she'r ke doose miSrah ne mujhe mere das baarah saal qabl kee ek Ghazal ka ek she'r yaad dilaa diyaa hai:

uThnaa chaYe tu falak se bhi hai ooNchaa insaan
aur gir jaaYe tu baRh kar koyii eHvaan naheeN
^ilm rakhte hai.n yeh insaa.n per nahi.n karte ^amal
isliye inki zubaa.n mei.n ab acar koyee nahi.n

bhook se apni tadap kar margaya hai ek ghareeb
uski is haalat pe yaaro nauhagar koyee nahi.n
yeh donoN ashaar ache heN.
keh nahi.n sakta hai haamid baat yeh daana kabhie
"be takalluf aaiye deewaar o dar koyee nahi.n"
miSrah-e-taraH kee girah maa'nee ke leHaaz se tu Teak hai lekin pur-acr naheeN hai.

apne tabSare ke iKhtitaam par aap se yeh zaroor kehnaa chahooNgii keh agar meree kisee baat se aap kee dil-aazaarii hoovii ho tu uske liye bohat ma'azrat Khwah hoN. meraa maqSad tanqeed karnaa har-giz naheeN hai balkeh ho saktaa hai keh in choTee moTee baatooN ke ma'aloom hone ke ba'ad aap inheN duaraane se ijtinaab kareN.

Khair andesh

Zahida Raees :Raji:
salaamun alaikum
mohtaramah zahida raees raji saahebah

aapne hamaare kalaam ko apne tabsere ke qaabil samjha hame.n badi khushee huee.

hum sab taalibe ^ilm hai.n aur har lamha seekhte hai.n aik doosre se.

hamaari is poori ghazal ka maqsad yeh hai keh yu.n tau kehne ko bahut se log aapko miljaaye.nge jo zaahiran insaano.n se mohabbat ka zabaani dawa karte ho.n.

lekin hamaari apni zindagi mei.n humne kabhie nahi.n dekha keh koyee insaan apne jaise doosre insaan keliye wohi pasand kare jo apne liye pasand karta ho(a'malan)

hamaari yeh kaavish apne nafs ke saath saath doosre insaano.n ko apni zimmhedaari ka ehsaas dilaane ki samt aik adna koshish hai.
nateejah allah(sbhnwt) ke haath mei.n hai.hai na..........?

baharhaal aapne humse mukhaatib ho kar itni mufeed baate.n hum se kee.n jiske liye hum aapke behad mamnoono mashkoor hai.n.

umeed hai aap aaindah bhi hamaari rehnumaayee farmaati rahe.ngee.n

allah(sbhnwt) aap per apni rehmato.n ki baarish kare.aameen

mukhlis