Dil se tumhari yaad bhulane chala hun main

Kuhnah mashq ShoAraa kaa kalaam jo beHr meiN hounaa zaroori hei

Moderator: Muzaffar Ahmad Muzaffar

Post Reply
User avatar
Shafeeq
-
-
Posts: 26
Joined: Wed Feb 22, 2006 6:10 am
Location: Hyderabad, A.P., India
Contact:

Dil se tumhari yaad bhulane chala hun main

Post by Shafeeq »

Dil se tumhari yaad bhulane chala hun main
Lau aur sham-e-gham ki badhane chala hun main

Phir doob ne chala hun kisis ki nigaah mein
Phir hosh kho ke hosh mein aane chala hun main

Behtar woh maut hai jo mile zindagi se door
Veeraniyon mein khud ko lutane chala hun main

Bekaar zindagi ye khalish ke baghair thi
Haath apna haadison se milane chala hun main

Shame'n jala ke aarzuon ke mazhar par
Barbadiyon ka jashn manane chala hun main

Naakaam hasraton ke janaze liye huay
Duniya ko apne zakhm dikhane chala hun main

Thukra ke aaj saare saharon ko ae Shafeeq
Khud apni bigdi aap banane chala hun main


Shafeeq Ahmed
Post Box: 174
G.P.O.
Hyderabad - 500 001
INDIA
Shafeeq Ahmed
Ibn-e-siddique
-
-
Posts: 219
Joined: Thu Dec 16, 2004 4:12 am
Location: Doha Qatar
Contact:

Post by Ibn-e-siddique »

shafeeq saHib

salaam arz hai

bahot umda ghazal pesh ki aap ne. meri jaanib se daad qubool farmaaiN

amjad
Mire ash'aar ae Iqbal kyuN pyaare na hoN mujhko
mire TooTe hue dil ke ye dard.angez naale haiN
User avatar
yasir shah
-
-
Posts: 191
Joined: Mon Mar 14, 2005 2:17 pm
Location: karachi
Contact:

Re: Dil se tumhari yaad bhulane chala hun main

Post by yasir shah »

Shafeeq wrote:Dil se tumhari yaad bhulane chala hun main
Lau aur sham-e-gham ki badhane chala hun main

Phir doob ne chala hun kisis ki nigaah mein
Phir hosh kho ke hosh mein aane chala hun main

Behtar woh maut hai jo mile zindagi se door
Veeraniyon mein khud ko lutane chala hun main

Bekaar zindagi ye khalish ke baghair thi
Haath apna haadison se milane chala hun main

Shame'n jala ke aarzuon ke mazhar par
Barbadiyon ka jashn manane chala hun main

Naakaam hasraton ke janaze liye huay
Duniya ko apne zakhm dikhane chala hun main

Thukra ke aaj saare saharon ko ae Shafeeq
Khud apni bigdi aap banane chala hun main


Shafeeq Ahmed
Post Box: 174
G.P.O.
Hyderabad - 500 001
INDIA

shafeeq SaaHib!
salaam a'rZ hay

aap ki Ghazal Mukesh ke aik geet se mutaacir lagtee hay keh

tiree yaad dil se bhulaane chalaa hooN
meN khud apnee hastee miTaane chalaa hooN

kher koshish behtar hay,,kaheeN kaheeN miSre' kamzor bhi lagay- meree taraf se daad qubool keejiye -

khush rahye
du'aago
yasir
Post Reply